how to start a WordPress blog in 6 easy steps |
How to Start a WordPress Blog in 6 Easy Steps
Hello, Dosto kya aap bhi apna khud ka wordpress blog banane ke baare me soch rahe hai. lekin aap bana nahi pa rahe kyoki aapko sahi tarika nahi pata wordpress blog banane ka, to dosto aaj hum aapko batane ja rahe hai 6 steps jise follow karke aap apne liye ek achha wordpress blog bana sakte hai.
Dosto agar aapke paas kisi tarah ka koi technical knowledge na bhi ho tab bhi aap yahan bataye 6 steps ko follow karke badi aasani se apne liye wordpress blog bana sakte hai. aap chahe 18 saal ke ho ya fir 60,70 saal ke aap yah kaam badi hi aasani se kar sakte hai.
WordPress blog shuru karne ke liye aapko kya chahiye:
Dosto wordpress blog banane ke liye firstly aapko sirf 3 chijo ki jarurat hai. (1) Aapke pass ek domain name hona chahiye. Domain name humare blog ka address hota hai. (2) Aapke paas ek web hosting account hona chahiye. or (3) Hume chahiye aapka full focus 40 minute keliye. what do you need to start a WordPress blog?
Dosto is post me hum janenge ki hum free domain kaise register kare, best web hosting kaise choose kare, wordpress kaise install kare, apne blog ka theme kaise change kare, apne blog par first post kaise likhte hai, wordpress ko kaise customize kare plugins ke use se, contact form kaise add kare, google analytics traking ko setup kaise kare, apni website or blog ko optimize kaise seo ke liye, apne blog se rupaye kaise kamaye.
Step ( 1 ) Purchase Domain Name or Web Hosting
Dosto sabse pahle apko apne liye ek achha sa domain kharidna hai. jyadatar blogger jo blogging me naye hote hai.
wo badi mistake yah kar dete hai ki wo blog ke liye rong platform ko select kar lete hai. 95% user wordpress.org ko use karte hai. kyoki yah free hai aap ise fully customize kar sakte hai. iski sabse badi wajah yah hai ki is apko sirf plugins install karke apne website ko design karna hai.
Dosto blue host company se aap hosting kharde kyoki yah company bahut purani hai. 1996 me yah company bani thi sath hi inki service bhi bahut achchi hai. blue host wordpress hosting company me sabse bade brand me se ek hai or sath hi yah trusted hai.
Chaliye dosto blue host se domain name or hosting kharidte hai. Sabse pahle apko Get Started par click karna hai. agar aap begginer hai to aap basic plan ko select kare agar chahe choise plan bhi le sakte hai.
Dosto jaise hi aap apna plan select karenge waise hi aapke samne ek new interface open hoga.
Ab aapko apne blog ke domain choose karna hai. domain mil jaane ke baad apke samne ek new interface open hoga.
Dosto aapko account information me aap se jo bhi manga ja raha hai wo sab fill kar de.
Uske baad dosto apko apne hosting ka package select kar lena hai. humne 36 month liya hai. dosto 36 months ka plan value sabse best hota hai.
Dosto agar apko extra package me kuch chahiye to use tick rahne de. warna sabko untick kar dijiye jisse apki price kam ho jayegi.
Uske baad dosto apko payment information me apne credit ya paypal se apna payment kar dijiye.
Payment ho jaane ke baad apko aapke email par ek mail milega. jaha se aap apne cpanel par ja sakte hai.
Step ( 2 ) Install WordPress
Aapko apne cpanel me jana hai wahan aapko bahut saare features dikhenge apko scroll down karke. website section me jana hai or install wordpress option par click karna hai. click karte hi aap sidha bluehost ke marketplace me pahunch jayenge.
Wahan apko Get Started par click karna hai. uske baad apke samne ek new interface open hoga. jisme apko apne domain ko select karna hoga jo aap ne bluehost se liya tha. apna domain choose kijiye or Next button par click kijiye.
Uske baad apke samne ek new interface open hoga jisme apko apna site name yani site ka title or user name or user password dalna hai. uske baad jitne bhi check box hai unhe tick kar lijiye or fir Install par click kijiye.
Uske baad apka wordpress install hona shuru ho jayega. aapko kuch minute wait karna hai wordpress install ho jaane ke baad apko sucessfull message show hoga.
Apko installation details me ek link diya jayega apke domain ke sath apko us par click karna hai. ab apko user name or password daal kar login kar lena hai.
Step ( 3 ) Select Theme for Your WordPress Blog
Apko apne Dashboard>Appearance>Theme par click karna hai. uske baad apko Add New par click karna hai.
Add New par click karte hi aapke samne bahut saare theme open ho jayenge. aap apne liye koi bhi ek best theme install kar lijiye. aap agar theme ka preview dekhna chahte hai to preview par click karke dekh sakte hai.
Jab aap apna theme install kar le to aap Appearance me Customize ke option par ja kar apne theme ko customize kar sakte hai.
Step ( 4 ) First Blog Post Kiase Likhe
Iske liye dosto apko apne wordpress Dashboard>Posts>Add New par click karna hai. ab aapke samne ek new interface open hoga jisme sabse pahle apko apne post ka Title likhna hai.
Fir uske niche apko apna blog post likhna hai. jab aap apna post likh le to uske baad apko right side me Publish ka button show kar raha hai us par click karke apne blog post ko publish kar dena hai.
Step ( 5 ) Install Plugins & Customization
Dosto jab aap apna first post publish kar de uske baad baari aati hai. kuch important or jaruri plugins ko install karne ki or unhe customize karne ki jaise ki contact form jisse log aapse contact kar sake.
WordPress Me Contact Form Kaise Banaye
Iske liye dosto apko Dashboard>Plugins>Add New par click karna hai. uske baad apko search box me wpform lite likhna hai fir use install karke activate kar dena hai.
Uske baad apko Dashboard>WPForms>Add New par click karna hai. uske baad apke samne ek new interface open hoga. usme sabse pahle apko form name likhna hai uske baar Simple Contact Form par click karna hai.
Aapke samne saare option open ho jayenge apko jo bhi hatana hai or jo bhi add karna hai aap kar sakte hai. ek baar jab aap contact form edit ho jaye to apko upar corner par save button dikh raha hoga uspar click karke save kar dena hai.
Dosto ab humne contact form to bana liya ab hume is form ko publish karna hai. iske liye apko Dashboard>Pages>Add New par click karna hai. uske baad apko Title me contact us likhna hai or fir Add Form par click karna hai, jaise hi aap add form button par click karenge.
Apke samne ek pop up window open hoga jisme apko apna contact form select karna hai. uske baad apko add form par click karna hai. jisse apke page par contact form ka link add ho jayega. yah kar lene ke baad apko right corner me publish button par click karke page ko publish kar dena hai.
Google Analytics Tracking Setup Kaise Kare
Dosto google analytics aapki website ke liye bahut jaruri hai. kyoki google analytics ki madad se aap yah jaan sakte hai ki aapki website par kitne log aa rahe hai. wo kaha se aa rahe hai or kya kar rahe hai. unhe kis tarah ke post article sabse jyada pasand aa rahe hai.
Iski madad se aap apne future plan bana sakte hai iski madad se aap yah jaan sakte hai ki kis tarah ki post aapko or likhna chahiye. isi liye dosto yah jaruri hai ki aap apni website ko google analytics me submit jarur kare.
Sabse pahle dosto aapko Google Analytics ke official website par jana hai or sign in karna hai apne Gmail Account se. jab aap login kar lenge to google analytics aap se kuch information mangega. jaise ki aapka name apki website or blog ka url apki website kis baare me hai.
Sabhi jaankari de dene ke baad apko google analytics tracking code milega. ab apko yahi rukna hai or wapas apne wordpress ke dashboard me jana hai kyoki hume ek plugins install karna hai apne blog me.
Aap Dashboard>Plugins>Add New par ja kar MonsterInsights plugins ko install karke activate kar lijiye. Activatation ke baad left side me insight ka option dikh raha hoga us par click kijiye or General par jaiye. Uske baad apko waha google authentication ka ke samne Authentication of your Google Account par click karke apna google analytics connent kar lijiye.
SEO Ke Liye Apna WordPress Blog Kaise Optimize Kare
Jyadatar user apne blog ko seo friendly nahi bana pate jiski wajah se unka blog seo optimize nahi ban pata. Apke blog ka seo optimize hona bahut jaruri hai. kyoki yah search engine ko apke blog ko dhundne me madad karta hai. or user ko search result me show karta hai.
Agar aap shuru se hi jyada se jyada traffic earn karna chahte hai to aap shuru se hi apne blog ko seo friendly bana kar rakhiye.
Sabse pahle apko ek plugins install karna hai jiska naam hai Yoast SEO is plugins ko install kijiye or activate kar lijiye. yoast seo plugin aapki madad karta haiapne blog ko seo optimize banane me. activate ho jaane ke baad aap dekh sakte hai ki SEO naam se ek option aapke left side me show ho raha hai.
Us par click kijiye jisse aap setting page me pahunch jayenge. Ab quick configuration wizard aapki madad karega baki settings ke liye wah jo bhi details aap se mangta hai dete jaiye or Next par click karte jaiye.
Dosto agar aap chahte hai ki hum Yoast SEO plugins par ek alag se post publish kare to aap niche comments karke hume bata sakte hai.
Install Some More Important Plugins
Dosto ab apko kuch or plugins install karne hai jo aapke wordpress blog ke liye bahut important hai. Sabse pahle apko apne wordpress blog ke Backup ke liye UpdraftPlus naam ka plugins install karna hai. yaad rahe aapko har roj apne blog ka backup lena hai taki kuch bhi galat hone par aapke paas backup ho.
Apne wordpress blog ki Security ke liye apko Sucuri Security plugins ko install karna hai. uske baad dosto apko apne blog ki loading time ko speed banana hoga. hum sab jante hai dosto hum sirf usi website or blog par jana pasand karte hai jo jaldi se open ho jaye.
Apne blog ki Performance ko improve karne ke liye WP Super Cache Plugins apko install karke activate kar lena hai.
Step ( 6 ) Apne Blog se Paisa Kamana | Make Money
Dosto ek baar jab aap apna blog bana le or sabhi tarah ki settings kar lene ke baad ab baat aati hai ki aap apne blog se paise kaise kamayenge. ek baat to aap note karke rakh lijiye dosto agar aap raato raat rupaye kamana chahte hai to bhul jaiye aisa nahi hone wala.
Aap apne blog se kai tarike se paise kama sakte hai. Aap Adsense Ads laga kar rupaye kama sakte hai aap Affiliate Marketing se rupaye kama sakte hai. Agar apka koi store hai ya aap business men hai to aap apne khud ke product ke review apne blog par daal kar usse bhi rupaye kama sakte hai.
To is tarah se dosto aap apna khud ka ek official blog bana kar us par post publish kar sakte hai. apne blog se rupaye kama sakte hai,Agar aapko yah article pasand aaya to ise like kijiye humare blog ko subscribe kijiye or ha is post ko apne sabhi dosto ke sath social media par jarur share kare.
0 comments:
Post a Comment