WordPress SEO Guide for Beginners (Step by Step) in Hindi-Second Part

wordpress seo guide for beginners step by step second part in hindi

Hello, Dosto jab hum samajh chuke hai ki humari website or blog ke seo kitna important part hai. to hume is par jyada se jyada dhyaan dene ki jarurat hoti hai. lekin jab aap ek baar aap apne blog or website ko seo friendly bana lete hai to apko ise baar baar karne ki jarurat nahi hai.
Aaj hum aage ki process janenge ki kaise hum apni website or blog ko fully seo friendly bana sakte hai.

( 1 ) Properly Using Categories and Tags in WordPress

Dosto wordpress hume yah allow karta hai ki hum apni sabhi post me categories or tags add kar sakte hai. inki madad se aap apne content ko jyada achchi tarike se manage kar payenge. iske sath hi apki website or blog par aane wale visitor ke liye yah bahut hi helpfull hota hai.
Dosto yah na sirf aapki website ke look ko change karta hai balki yah search engine ke liye bhi achha hai. kyoki category or tag ki wajah se search engine ko yah pata chal paata hai ki aapke blog or website par kis tarah ke content maujud hai.

WordPress SEO Guide for Beginners (Step by Step) in Hindi

Agar aap abhi wordpress par naye hai to aap yah soch rahe honge ki apni post me categories or tags kaise use kare. yah bahut hi asaan hai dosto aap ko ek hi categories me usse jude sabhi post ko rakhna padta hai. maan lijiye aap books par review dete hai.
To aapko apne un sabhi blog post me books review ke naam se ek category add kar dena chahiye. isse hoga yah dosto ki agar kisi user ko sirf books reviews hi read karni hai to wah sidhe books review category par click karega. isse us user ko aapke wo sabhi post ek hi jagah par mil jayenge jo alag alag books ke review par post huye hai.
Ab baat aati hai Tags ki to dosto ek hi categories ke andar bahut se tag ho sakte hai. jaise ki agar aap food blogger hai. to aap food category create karnge jisse apki wo sabhi post jo food par base hai sab food category me add ho jayegi.

Godaddy Hosting Par WordPress Install Kaise Kare

Lekin dosto food me bhi bahut se sub-category bhi ho sakte hai. jaise ki aap food me kya bana rahe hai – jaise ki salaad, breakfast, pancakes, etc. Dosto yah sab food category me aate to jarur hai lekin yah khud bhi alag alag sub-category me bhi aate hai. in sub-category ko hi aapko tags ke roop me create karna hai.
Dosto apne blog or website me tags add karne se yah fayda hai ki agar kisi user ko food category me salaad ke baare me padhna hai to wah food category me ja kar sidha salaad tag par click karega. isse uske samne wo sabhi post or article open ho jayenge jo aap ne salaad par kiye hai.

( 2 ) Always Use Internal Link on Your Post

Dosto aapko humesha apne sabhi blog post me internal link ka use karna chahiye. jahan tak ho sake aap apne har post me jyada se jyada internal link add kare. aisa karne se search engine apke website or blog ko index karta hai to usme aapke internal link bhi index ho jaate hai.
Internal link ki wajah se ek taraf jahan user ko apke dusre post padhne me or apki puri post or related post ko padhne or use samajhne me asaani hoti hai. wahi dusri taraf aapke website or blog par visitor jyada se jyada time spend karta hai joki apke blog or website ki ranking ko behtar banane me madad karta hai.

WordPress Blog Homepage Layout के बिच में Ads कैसे लगाते है ?

Internal link use karne ke liye apko jis jagah ya word me internal link add karna hai use select kijiye or link option par click karke internal link add kijiye. iske liye aap niche image ko dekh sakte hai-
how to add internal link in wordpress for seo


( 3 ) Optimize WordPress Comments

Dosto bahut se blogger or website owner aise hai jo apne post me mojud comments ko optimize nahi karte. humare khyaal se shayad aap bhi abhi tak apne commets ko search engine me optimize nahi karwaye honge.
Dosto commets humare blog or website par user ko baandhe rakhte hai. jiski wajah se wo humare blog par jyada se jyada time spend karte hai or humare blog ki ranking badhne lagti hai. iske sath hi aapke blog par traffic badhne lagta hai or aap jyada se jyada earn karne lagte hai.

किसी भी वर्डप्रेस वेबसाइट की थीम कैसे पता करें ?

Lekin dosto isse pahle ki aap apne comments ko optimize kare usse pahle aapko yah jaan lena chahiye. ki apke blog par jo commets aaye hai wo genuine commet hai ya nahi. comment spam hone par yah ulta effect dalega aapke website or blog par.
Comments ko optimize karne ke liye apko wordpress Dashboard>Settings>Discussion ‘Break comments into pages’ option par aapko 50 comments set karna hai. kyoki aisa karke hi aap apne blog par traffic earn kar sakte hai.
Dosto jyada se jyada comments agar aapke blog par hai or agar search engine ne un sabhi ko optimize karne laga to isme bahut jyada samay lagega. isse aapki website slow ho jayegi jo ki achha nahi hai. isi liye apko apne comments section me sirf 50 comments ko optimize karna hai. or ha save button par click karna na bhule.

( 4 ) Optimize Your Site’s Speed and Performance

Dosto research batate hai ki koi bhi visitor usi website par jyada jaate hai jo kuch hi second me badi hi tazi se open ho jaate hai. isi liye yah jaruri hai dosto ki aap apni website ki download speed ko banaye rakhe or use slow hone se bachaaye.

( 5 ) Optimizing Images in WordPress for SEO

Dosto agar aapko apni website ki ranking badhani hai to yah jaruri hai ki aapke website or blog me mojud har ek image seo friendly or search engine optimize honi chahiye. kyoki jab koi user internet par kuch search karta hai to internet sabse pahle apke blog par maujud image ko crawl karke index karta hai.

वर्डप्रेस साईट और ब्लॉग पर infinite scroll feature कैसे ऐड करें ?

Isi liye yah jaruri hai dosto ki jab bhi aap apne blog post me image add kare. To aap us image ke baare me detail jarur add kare. isse search engine ko yah pata chal jaata hai ki aapke us post me kis tarah ka content hai or ise search me show karna hai ya nahi. example ke liye aap niche dekh sakte hai.
how to optimize image in wordpress for seo


( 6 )Security and Safety of Your WordPress Site

Dosto aapko yah jaankar hairani hogi ki google har saptaah kam se kam 20000 hajaar website or blog ko blacklist me daal deta hai kyoki ye website or blog maleware attack karti hai. wahi dusri taraf 50000 hajaar se jyada website or blog ko isliye blacklist kar deta hai kyoki ye phishing ka shikaar ho jaati hai.
Isi liye dosto yah jaruri hai ki aap apni website ki security se kisi prakaar ka samjhota na kare. kyoki aap nahi chahenge ki aapki puri mehnat sirf ek hi jhatke me humesha ke liye barbaad ho jaaye. ji ha dosto agar search engine ya google ne apki website or blog ko blacklist me daal diya.
To fir kabhi bhi aapki website search karne par show hi nahi karegi. isi liye yah jaruri hai ki aap apni website ko fully secured banaye.

( 7 ) Always Use SSL Certificate

Dosto agar aap ne abhi tak ssl certificate apni wordpress website or blog par use nahi kiya hai to aap apne liye ek ssl certificate kharid lijiye. lekin dosto agar aap abhi wordpress me naye hai or aapki website abhi grow kar rahi hai.
Agar aapke blog par abhi jyada visitor nahi aa pa rahe to aap ssl certificate na bhi use kare to bhi chalega. waise agar aap chahe to aap free ssl certificate bhi le sakte hai. agar aap chahte hai ki hum free ssl certificate ke upar ek new post publish kare to aap niche comments karke hume bata sakte hai.
Dosto SSL aapki website ko secure rakhta hai or kisi bhi tarah ke maleware or phishing attack se apki website or apke website ke visitors ko bachata hai. aap dekh sakte hai ki humara blog abhi sirf ssl certificate se secure nahi hai.
Kyoki humara blog abhi grow kar raha hai or abhi yah apni shuruaati stage me hai. isi liye humne ssl certificate nahi liya hai,lekin dosto iska matlab yah nahi ki hum apne blog ko secure nahi rakhte hai. hum har roj apne blog ka backup rakh lete hai, jisse agar kabhi humara blog hack bhi ho jaaye to bhi hume koi kuch khaas fark nahi padne wala.
Aap agar abhi begginer hai to aap bhi apne blog or website ka har roj regular backup jarur le. isse apke website ke sabhi post comments page image settings sab kuch aapke paas hoga. or sirf ek click se aap use upload karke apni website or blog ko fir se online la sakte hai.
Umeed hai dosto aapko humara yah post pasand aaya hoga. agar apko humara yah post pasand aaya to humare blog ko subscribe kijiye or is post ko apne dosto ke sath social media par jyada se jyada share kijiye. taki wo bhi apne blog or website ko jyada se jyada secure or seo friendly bana sake.

0 comments:

Post a Comment