Website Kaise Banaye Full Guide

Md Danish Ansari
10 minute read
0
how to make a website in hindi


How to Make a Website Full Guide in Hindi Latest Update 2019

Hello dosto aaj puri duniya online ho rahi hai. sabhi tarah ke business bhi online aa rahe hai. aise me dosto aap khud bhi apni website bana kar online jyada se jyada rupaye earn kar sakte hai. iske liye yah jaruri nahi hai ki aap ek business men hi ho.
Agar aap student hai to bhi aap online rupaye kama sakte hai. agar aapko yah lagta hai ki website banana bahut kathin kaam hai to hum aapka kaam aasan kar rahe hai. humari is post ko pura padhe or jo bhi steps bataye ja rahe hai use follow karte jaaye.
Dosto jab aap koi new business shuru karte hai to usme apko lakho rupaye invest karna padta hai. lekin agar aap sirf saal ke 5000 se lekar 6000 rupaye saal ka invest karke agar aap lakho rupaye kamana chahte hai. to uska ek hi tarika hai ki aap khud apni website bana len.

WordPress SEO Guide for Beginners (Step by Step) in Hindi

Dosto aap chahe student ho ya fir aap ek house wife ho ya fir aap berojgaar ho. aap engineer ho ya docter aap jo kuch bhi hai aapko bas wahi online lana hai. agar aap ek house wife hai or khana achcha bana leti hai to aap apne food recipes dusre logo ke sath share kar sakti hai.
Agar aap student hai ya teacher hai to aap apni knowledge duniya bhar ke logo se share kar sakte hai. agar aap mechanic hai to aap product review ya fir apni skills dusro ke sath share kar sakte hai. agar aap garderner hai to aap flower or plants ke baare me likh sakte hai.
Aap jo bhi hai aap usi feild me kaam karte huye apni knowledge dusro ke sath share karke lakho rupaye mahine ke kama sakte hai. Wo bhi apne ghar baithe, sawal ye hai ki yah hoga kaise ?

WordPress SEO Guide for Beginners (Step by Step) in Hindi-Socond Part

Dosto aapko bas apni knowledge ko apni website par share karna hai. jab aapki website par traffic aane lage to aapko google adsense ke liye apply karna hai. or google adsense ko apni website par lagana hai. jab bhi koi user aapki website par aayega to wah un ads ko dekhega.
Ho sakta hai unme se bahut se user un ads par click kare. google apko in sabhi ads ko apni website par show karne ke liye paise deta hai. aapki website par jitna jyada traffic hoga aap utna hi jyada rupaye kamayenge. Dosto apko jaankar hairani hogi ki aaj india me bahut se aise blogger hai jo mahine ke carore rupaye kama rahe hai.
jisme sabse top par hai Labnol yah bharatiya blog hai. to dosto agar aap bhi apne liye website banana chahte hai to aapko sabse pahle kuch jaruri chuijo ki jarurat hai – jaise ki 1. Domain 2. Hosting or 3. Appka Time.

Blogger Me Label Ka Use Kaise Kare Post Categories Ke Liye

Dosto domain kaise kharide or use hosting se kaise jode iski puri jaankari is post me hai aap ise padh kar isme bataye sabhi steps ko follow kijiye. WordPress Blog Kaise Shuru Kare 6 Easy Steps
Dosto apne domain or web hosting ko jod lene or wordpress ko install karne or theme ko select kar lene ke baad ab paari aati hai us theme ki setting karne ki or apni website ko apne man mutabik adjust karne ki.
To dost sabse pahle apko apne Dashboard>Appearance>Customize option par jana hai. yah ek theme customizer open karega jisme aap badi hi aasani se apni website ki puri settings kar sakte hai wo bhi live. matlab aap kya change kar rahe hai or wah kaise dikhega kaha dikhega sab kuch aapko live dikhega.
Dosto yahan yaad rakhne wali yah baat hai ki apko apne theme ki sabhi settings turant karne ki jarurat nahi hai. balki ise aap thoda thoda karke kare aap apni website me content add kare post kare article publish kare. uske baad aap thoda thoda karke apne website ki theme ki settings karte rahe or dekhe ki usse aapki website kaisi dikhti hai.

( 1 ) Add Content on Your Website

Dosto wordpress do tarah ke content types me aata hai ek Page or dusra Post. Dosto post me hum kisi ek ya adhik subject par likhte hai or post alag alag subject par ho sakte hai ise hum article bhi kahte hai. jaise ki aap online news padhte hai use post yani article kaha jaata hai.

Blogspot Blog Me Default Hyperlink Color Change Kare

Page wo hai jisme aap kisi ek khaas subject ya kisi khaas kaam ke liye use kiya jaata hai. jaise ki contact us page aapne bahut si website par contact us ka option dekha hoga. asal me yah page hai jise open karne par aapke samne contact form open ho jaata hai jiske jariye aap us website ke owner se contact kar sakte hai.
Isi tarah ki kuch or pages aapne har tarah ki website par dekhi hogi jaise ki – About us, Privacy Policy, Disclamare, Terms & Condition yah sab website ke page hai. jisme se har page me alag tarah ki information hoti hai aapki website ke baare me or aapke baare me.
Waise to dost defualt roop se wordpress apke sabhi blog post ko apki website ke home page par show karta hai. lekin agar aap chahte to aap blog post ko front me show karne ki bajaye uski jagah par koi dusra page bhi show karwa sakte hai.
Create Pages on Your Website

Dosto apni website me page add karne ke liye apko apne Dashboard>Pages>Add New par click kijiye. ab jaise ki hum home page create karna chahte hai to aap Title me likhe Home Page or fir aap home page par jo bhi show karna chahte hai wah add kar den.

Godaddy Hosting Par WordPress Install Kaise Kare

Aap apne home page me koi khaas article ya image ya video ya links ya fir or dusri tarah ki jaankari bhi show kar sakte hai. yah kar lene ke baad aap ko simple right side corner me publish button par click karna hai, jisse aapka home page apki website par live ho jayega.
How to write a post and Publish on your website

Isi tarah se aap dusre pages bhi create kar sakte hai jaise ki contact us, about us, privacy policy etc. har page me alag tarah ki information hoti hai dosto agar aap chahte hai ki hum apko website pages par alag se special article publish kare to aap niche comments kar sakte hai.

( 2 ) Apni Website Ko Customize Kijiye

Dosto jab aap apni website par kuch article publish kar le to uske baad apko apni website customize karna chahiye. iske liye dosto sabse pahle apko yah set karna chahiye ki aapki website par sabse pahle kya show karega. aapko yah set karna chahiye. aap apni website ke front page me static post ko set kijiye.
Cutomize your home page show content

Dashboard>Settings>Readings
 par click kijiye uske baad apke samne ek interface open hoga. Jisme apko Front Page Display me A Statics Page ke option par tick karna hai. Fir aapko save button par click karke apni settings ko save kar lena hai.

Change Website Title or Tagline

Uske baad dosto aapko apni website ka title or tagline change karna hai. iske liye Settings me ja kar General par click kijiye. aapke samne new interface open hoga jisme aap apni website ka title change kar sakte hai or apni website ka tagline bhi change kar sakte hai.
Customize website title or tagline

Jaise ki humari website ka title humare website ke url se match hota hai. yah jaruri hai ki aapke website ka title apke website ke url se match ho. jaise ki humari website url hai http://yourpassion.in or humari website ka title hai Your Passion iske sath hi humari website chuki internet se judi information aapke sath share karti hai.
Isliye dosto humari website ka tagline hai – Internet ki puri jaankari hindi me
Sabhi settings kar lene ke baad apko save button par jarur click karna hai. warna aapki change kiya kuch bhi save nahi ho payega.

Setup Comments Settings

Comments section ki settings karne ke liye apko Discussion option me jaana hai. waise to dosto wordpress pahle se apko default commets system deta hai. jisme user apke blog post article or website par comments kar sakte hai.
Setup your website comments section

Lekin dosto kai baar hacker bhi isi ka fayda utha lete hai wo bhi apni virus or phishing links ko apki website ke comments me add kar dete hai. jiski wajah se apki website ya to hack ho jaati hai ya fir search engine se hi delete kar di jaati hai.

How to add pin it hover button in Blogger image in Hindi

Isse bachne ke liye apko kuch settings karne ki jarurat hai. Discussion par ja kar aapko scroll karte huye niche aana hai. uske baad apko Before a comments appears me dono check box ko tick kar lena hai or save button par click kar dena hai.
Isse hoga yah dosto ki user apki website par commets to karenge. lekin wah show hone se pahle aap se approval mangega. agar apko lagta hai sab kuch thik hai to aap approve par click karke commets ko apni website me show hone de sakte hai. agar aapko lagta hai kuch galat hai ya comments me kisi tarah ka link ya url hai to aap aise comments ko delete bhi kar sakte hai.

Create Navigation Menu

Dosto navigation menu apke website user ko apki alag alag pages or service ko use karne ka option deta hai. jisse user ko help milta hai or aapki website pahle se behtar hoti jaati hai. apni website me navigation menu create karne ke liye.
How to create menu on your website

Sabse pahle apko apne Dashboard>Appearance>Menu par click karna hai. uske baad apko create menu button par click karna hai. ab wordpress aapke liye ek menu navigation to bana diya hai lekin abhi yah black hai khaali hai.
Isi liye dosto ab aapko apne menu me un sabhi pages ko add karna hai jise aap apne menu bar me show karna chahte hai. jaise ki contact us page, About us page, Privacy Policy Page, etc. yah kar lene ke baad apko simply Add Menu Button par click karna hai.
Jaisa ki aap dekh sakte hai ki aapke page ko select karte hi wo sabhi menu navigation ke khaali area me show hone lagti hai. aap ise simply click karke drag karte huye ek dusre se change kar sakti hai yani aap inhe rearrange kar sakti hai sirf drag karke.
Uske baad apko yah select karna hai ki jo pages aap ne select kiya hai. wo kin kin jagho par show karega jaise ki agar aap primary menu par tick karte hai to sabhi pages website ke right corner me upar ki taraf show karega jaise ki aap humari website par dekh sakte hai.
Wahi agar aap chahte hai ki sabhi pages footer me show kare to aap footer ko select kar sakte hai. lekin agar aap chahte hai ki sabhi pages header or footer dono jagho par show kare to aap primary menu or footer menu dono check box ko tick kar le or fir save button click kar den.
Dosto baki ki or dusri tarah ki settings ke bare me janne ke liye aap humara yah article padh sakte hai. iske sath hi aapko apni website me kis kis tarah ke Plugins use karne hai uski jaankari bhi isi post me de di gayi hai. apne website me Contact Form kaise add kare iski bhi puri jankari apko niche diye link me mil jayegi.

WordPress Blog Kaise Shuru Kare 6 Easy Steps

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)

#buttons=(Ok, Go it!) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Check Now
Ok, Go it!