WordPress Me Feedburner Subscription Widget Kaise Add Kare ?

Md Danish Ansari
0
how to add Feedburner subscription widget in WordPress

Dosto kya aap apne wordpress website me feedburner subscription box add karna chahte hai. jaisa ki aap humare blog par dekh sakte hai right side me sabse upar apko ek email subscribe ka widget show ho raha hoga.

wordpress website or blog me email subscribe box kaise add kare?

Iski madad se dosto aapke user badi hi aasani se aapke blog or website ka subscription le sakte hai. yah suvidha bilkul free hai, apni website me feedburner subscribe box add karne se aap apne liye regular readers prapt kar sakte hai.

WordPress Me Feedburner Subscription Form Add Kaise Kare ?

WordPress me feedburner subscription form aap do tarike se add kar sakte hai. pahla hai ki aap html coding ka use kare or dusra hai ki aap wordpress me plugins ka use kare. hum aapko yahan dono tarike bata rahe hai aap ko jo thik lage wo tarika use kariye.

Coding Ke Dwara WordPress Me Feedburner Subscription Form Add Kare-


Sabse pahle aap FeedBurner ki website me apne gmail account se login kijiye.
Uske baad apko Burn a feed right this instant. Type your blog or feed address here: me apko apne blog ka address add karna hai. jaise ki humare blog ka address hai http://yourpassion.in Uske baad Next par click kar dijiye. jaisa ki image me dikhaya gaya hai.


Uske baad dosto aapke samne ek Identify Feed Source naam se ek new interface open hoga. usme aapko do check box dikh rahe honge jinke samne do alag alag tarah ke link honge. aap apne man mutabik jise bhi tick karna chahe kar sakte hai. main yahan pahle wale ko hi tick rahne de raha hun. Uske baad apko Next par click karna hai.
Uske baad aapke samne ek or interface open hoga jisme aapko apka feed address show ho raha hoga. aapko kuch nahi karna bas Next par click kar dena hai. uske baad ek or interface open hoga aapko isme bhi kuch nahi karna sirf Next par click karna hai.


Iske baad aapke samne Get More Gusto From Your Feed Traffic Statistics ke naam se ek new interface open hoga aapko usme maujud sabhi check box ko tick kar lena hai or fir se Next par click kar dena hai.
Next par click karte hi dosto aapka feed ban kar ready ho chuka hai. ab aapko bas feedburner ka subscription box apne wordpress blog ya website me aapko lagana hai. ab chuki hum yahan aapko coding ke jariye subscribe box add kaise karte hai. apne wordpress website or blog me wo batane wale hai to thoda dhyaan dijiye.

Sabse pahle aapko Publicize ke option par click karna hai uske baad apko right side me Email Subscription ka option dikh raha hoga apko us par click karna hai. uske baad apko email subscription ko activate karne ke liye Activate par click karna hai.
Activate par click karte hi aapke samne Subscription Management ke naam se ek box open hoga. jisme ek HTML code wala box bhi hoga. aapko isi html code ko pura copy karna hai.

Code ko pura select karke Copy karne ke liye aap Ctrl+A key press karne ke baad Ctrl+C press kar de. ab aapka html code pura copy ho gaya hai.
Ab aapko is code ko apne wordpress website me add karna hai. Iske liye apko apne wordpress ke Dashboard>Appearance>Widgat par click karna hai.
Uske baad apke samne widget add karne ka interface open hoga. jisme se aapko Custom HTML widget ko Drag karte huye us jagah par le ja kar chhodna hai jahan par aap Subscribe Box add karna chahte hai. Jaisa ki aap humare blog par dekh sakte hai ki humara blog ka subscribe box upar right side me hai. to aapko bhi navigation bar ke thik niche ise Drag karke laana hoga.

Uske baad apko custom html ke arrow par click karna hai jisse wah open ho jaaye. ab aapko Title me subscribe now likhna hai or content box me apko copy kiye gaye HTML code ko paste kar dena hai. uske baad apko save button par click karke setting ko save kar lena hai.
Ab aap ek new tab apne chrome me open karke apni website ko open karke dekh lijiye. aapko apki website par feedburner ka subscription box show ho raha hoga. agar aapko isme kisi tarah ki dikkat aati hai to aap niche commet karke humse puchh sakte hai.

Plugins Ki Madad Se WordPress Me Feedburner Subscription Form Add Kare-

Iske liye dosto apko apne wordpress me ek plugins install karke use activate karna hoga. plugins install karne ke liye aap apne wordpress ke Dashboard>Plugins>Add New par click kijiye. Uske baad apko WP Subscribe naam ka plugins install kar lijiye or use activate kar lijiye.
Ab aap apne wordpress ke Dashboard>Appearance>Widget par click kijiye. uske baad apke samne widget ke kai option show honge. usme se aapko WP Subscribe widget ko drag kar karke aap jahan bhi subscribe box add karna chahte hai. wahan par le ja kar chhod de, uske baad aapko WP Subscribe widget me apne Feedburner ID add karni hai.
Feedburner ID add karne ke baad save button par click kare. ho gaya dosto aapki website par bhi email subscribe box add agar aapko isme kisi tarah ki koi problem ho rahi hai to aap niche commets karke humse madad le sakte hai. hume aapki madad karke khushi hogi.
Umeed hai dosto aapko humara yah article pasand aaya hoga. apne dosto ke sath is post ko social media par jarur share kare.

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)

#buttons=(Ok, Go it!) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Check Now
Ok, Go it!