![]() |
how to remove visual editor mode in WordPress in hindi |
Hello, Dosto Kya aap bhi wordpress se visual editor ko remove karna chahte hai. Dosto visual editor hume wordpress me content likhne ke liye WYSIWYG interface deta hai. isme dosto apko simple tarike se aap apna post likhte hai or use edit karte hai.
Lekin dosto aap me se bahut se aise log honge jinhe HTML code ki jaankari hogi. isi liye dosto bahut se aise log jo basic html likhne me khud ko sahaj mehsus karte hai. wo sabhi text editor me apna post likhna pasand karte hai.
Isiliye dosto yah post un logo ke liye hai jinhe html ki basic jaankari hai. Jo apna article ya post visual editor me nahi balki text editor se likhna chahte hai. aaj ke is post me hum apko yah batane ja rahe hai ki kaise aap apne wordpress me visual editor ko disable kar sakte hai.
The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 1
WordPress Me Visual Editor Ko Kyo Remove Kare
Jaisa ki hum sabhi jante hai dosto ki visual editor hume wordpress me apna content likhne ke liye tarika pradaan karta hai. yah ek achha user interface hume provide karta hai. jiski wajah se aap post likhte time colours select kar sakte hai format choose kar sakte hai.
![]() |
Example WordPress Visual Editor Mode |
Iski ek khaas baat yah hai dosto ki visual editor ki help se aap apna post apne wordpress theme ke samaan. ya usse milte julte fonts or colours ka use karke aap apni post ko apni theme se match karke bhi show kar sakte hai.
The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 2
Lekin kai aise wordpress user hai jo sirf simple text editor ko hi use karte hai. isme jo bhi likha jaata hai wo sab html ke code me likha jaata hai. Dosto visual editor ki sabse badi problem yah hai ki, jab aap visual text mode switch karte hai, to yah apke post ke format ko affect karta hai.
How to Remove Visual Editor Mode in WordPress Hindi
Disable Visual Editor Mode in WordPress

Sabse pahle dosto apko wordpress me login karke apne Dashboard>User>Your Profile par jaana hai. Uske baad apko visual editor ke samne jana hai or dekhna hai ki visual editor ke samne wala check box tick kijiye or fir Save Changes par click karke use save kar dijiye.
Dosto ab aap ek new post likhne ke liye ja sakte hai. aap dekh sakte hai ki ab aapke wordpress me visual editor show nahi kar raha hai.

Jaisa ki aap upar image me dekh sakte hai dosto hum ab jo post likh rahe hai. Wo sab html code ke sath hi likh rahe hai. dosto apko apne wordpress me visual editor ko sirf tabhi disable karna hai jab aap iske liye puri tarah se taiyaar ho.
World Best WordPress Hosting in 2019
Umeed hai dosto apko humara yah article pasand aaya hoga. isi tarah ki informational post padhne ke liye humare blog ko subscribe kijiye. Humare post ko apne dosto ke sath social media par jyada se jyada share kijiye. taaki wo sabhi log humare blog se jud sakte jo english na aane ki wajah se internet ki suvidhaon se vanchit hai.
Dosto agar aapka koi sawaal hai to aap is post ke niche comments karke humse puchh sakte hai. agar apko kisi tarah ki perssonal help chahiye to fir aap humare contact us page par ja kar hume mail kar sakte hai.