Akismet Kya Hai ? Hume Iska Use Kyo Karna Chahiye

Md Danish Ansari
0
what is Akismet and why you should start using

Hello Dosto is post me hum yah janenge ki akismet plugins kya hai or iska use hume kyo karna chahiye apni website or blog ke liye. Dosto waise to har wordpress website or blog me do plugins pahle se install rahte hai. jisme se ek akismet hai.
Lekin akismet bhale hi humare blog or website me pahle se install hota hai. lekin yah active nahi hota isi liye hume akismet ko activate karne ke sath sath isme kuch settings bhi karni padti hai. Dosto aap is post me sikhenge ki kaise aap akismet ko activate karenge. iske sath hi kaise aap iski puri settings karne wale hai.

How to Remove Visual Editor Mode in WordPress Hindi

Hum aapko akismet ke bare me yahan puri jaankari de rahe hai isliye is article ko pura padhe.

What is Akismet ? Akismet Kya Hai ?

Dosto akismet ek spam filltering service hai jo humare comments section ke jariye jyadatar hoti hai. Dosto Automattic company ne hi akismet ko banaya hai. ise tab banaya gaya tha jab wordpress ko lounch kiya gaya tha. iske sath hi iski sthapan wordpress ke co-founder Matt Mullenweg ne ki thi.
Dosto Akismet ek aisa software hai jo apke website or blog me pade comments ko scan karta hai. yadi apke commets me kisi tarah ka koi spam message aata hai to akismet use pakad leta hai. akismet ka ek or kaam hai yah pingback spam ko bhi pakadta hai.

The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 1

Dosto yah software automatic hone ki wajah se yah apke dwara ki gayi galtiyon or khud ke dwara ki gayi galtiyon se lagataar sikhta rahta hai. is dauran akismet un galtion se sikh kar khud ko pahle se behtar bana leta hai joki ek kamaal ki baat hai.
Jaise ki maan le ki bahut si aisi website hai jo ki ek hi tarah ki dikhti hai. to aise me hoga yah dosto ki wo sabhi website ek dusre ko spam ke raur par report karne lagti hai. ab aisa hone par yah hoga dosto ki future me is tarah ki ghatna ko akismet pahle hi pahchan lega ki kya ho raha hai.
Akismet ne 2013 me 83 billions se bhi jyada spam comments ko pakda tha joki ek record ban gaya.

Why you should use Akismet? Apko Akismet Kyo use Karna Chahiye?

Dosto jab aap apni khud ki website shuru karte hai to us par jyada spam comments ya message nahi aate. lekin jaise hi dosto apki website jyada famous hone lagti hai to achanak hi aapke commets section me spam comments ki bhar maar aa jaati hai.

The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 2

Popular websites me spam ki yah matra 85% se jyada ho sakta hai. iska matlab yah hua dosto ki har 100 comments me se sirf 15-20 comments hi original or organic hai baki sab spam hai.
Dosto comments me spam moderation manually khud karna hai bahut hi jyada samay lene wala kaam hai. isi liye lagbhag har website owner akismet ka use karta hai. kyoki iske istemaal se time ki bachat hoti hai. Iske sath hi yah apko original commenters ke upar kaam karne ke liye kahta hai or apko isse fayda bhi hoga.
Agar aapke comments ko spam ke taur par akismet ne mark kar rakha hai to aap awaiting moderation nahi dekh payenge. agar kabhi aap kisi website par comments karte hai or aapka comments akismet ke dwara mistake se moderate kar liya jaata hai to aapuse awaiting moderation me nahi dekh sakte hai.
Is tarah se jab bhi akismet apni khud ki galti ya fir apke dwara ki gayi har tarah ki alag alag tarah ki galtiyon ko marne ka kaam kiya hai .

World Best WordPress Hosting in 2019

How To Setup Akisment in WordPress? WordPress Me Akismet Ki Kaise Set Kare

Sabse pahle dosto apko apne wordpress me akismet plugins ko install karke activate par click kar dena hai. Jaise hi aap akismet ko activate kar denge waise hi akismet Configration me ek new menu add kar leta hai. Fir uske baad apko Configration par click karna hai. jisse configration interface apke samne open ho jayega.
Ab dosto apko apni akismet key API enter karne ke liye kaha jayega. Lekin apko is window ko yahi chhod kar apko apne browser me ek new tab open karna hai. is Akismet configration wale tab ko open hi rahne de kyoki abhi hume usme wapas jaana hai.

Website Kaise Banaye Full Guide

Akismet Ke Liye API Key Kaha Se Laaye?

Dosto apni website me akismet ko set karne ke liye apke paas akismet api key hona jaruri hai. isiliye dosto apko iske liye Akismet ki website par jaana hai or Get a WordPress Key Button par click karna hai.
Dosto yah apko akismet ke package page par le jayega. lekin dosto akismet non-business website or personal website ke liye free hai. Iske sath hi business website ke liye akismet diffrents plans or package deta hai. aapko inme se kisi bhi ek option ko select kar lena hai jo apko pasand aaye.
Uske baad apko signup karna hai yah apko apke wordpress account se hi signup karne ke liye kahega. Dosto agar aap abhi tak website nahi bhi banaye hai wordpress par tab bhi aap wordpress par sirf apna account bhi bana sakte hai.
Signup ho jaane ke baad apke samne ek new interface open hoga. ab apko usme jo bhi information aap se manga ja raha hai wo sab kuch sahi sahi entery kar do. uske baad payment karte hi apko ek API key milega apko use apne paas save bhi rakh lena hai.

WordPress Blog Kaise Shuru Kare 6 Easy Steps

Ab aap us akismet key ko copy kijiye or wapas ab aap apne wordpress website ke dashboard me wapas aa jaiye. Uske baad humne jo akismet plugins ka interface jo bich me adhura chhoda tha. usme apko Akismet API Key apko dalna hai ab copy kiye code ko usme paste kar dijiye.
Jaise hi aap save button par click karenge to aapko ek sucsessful ka message milega. yah sab sucsessful kar lene ke baad ab jab bhi aap apne wordpress website par aayenge to apko Akismet Status ka overview show hoga.
Jisme aap dekh sakte hai ki aap ne abhi tak kitni post ki hai kitne pages hai categories kitni hai tags kitne hai. isi ke sath aap yahan dekh sakte hai ki aapki website par total commets kitne huye hai. unme se kitne approve huye kitne abhi pending hai or kitne spam huye hai. yah saari jankari apko ek hi jagah par mil jayegi.

WordPress SEO Guide for Beginners (Step by Step) in Hindi-Socond Part

Umeed hai dosto apke liye yah post kaafi helpful raha hoga. dosto humare is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare. isi tarah ki informational article padhne ke liye humari website ko subscribe jarur kare.

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)

#buttons=(Ok, Go it!) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Check Now
Ok, Go it!