The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 1

Md Danish Ansari
0
the ultimate wordpress security guide in hindi

Hello, Dosto aaj hum WordPress security ke bare me sikhenge. Dosto WordPress security bahut important topics hai har website owner ke liye. kya aapko pata hai google har roj kam se kam 10000 website ko blacklist karta hai malware ki wajah se.
Iske sath hi google 50000 se jyada website ko blacklist karta hai phishing ki wajah se. isi liye dosto agar aap apni website ko lekar serious hai to apko apne WordPress ki security par pura dhyaan dena chahiye.
Is post me dosto hum aapke sath share kar rahe hai top wordpress security all tips taki aap apni website ko protect kar sake hackers or maleware se. waise to dosto wordpress software bahut hi secured software hai. har roj kam se kam 100 developers wordpress ko roj audit karte hai.

World Best WordPress Hosting in 2019

Humara manna hai dosto ki security sirf apni website ko secured karna hi nahi hota balki har tarah ki risk ko kam karna bhi hota hai. Dosto ek website owner hone ke naate yah humara farj banta hai ki hum apni website ko secure kare. Agar aap ke paas tech knowledge nahi hai. tab bhi aap humare is article ko padh kar apni website ko secured kar sakte hai.

Website Security Important Kyo Hai

Dosto agar aapki website hack ho jaati hai to yah aapke money earning ke sath sath apki or apki website ki reputation par bhi bahut bura asar dalegi. Dosto agar aapki website hack ho jaati hai to hacker aapki saari information chura sakta hai us information ko public kar sakta hai.
Iske sath hi wah aapki website me aise software ko install kar sakta hai jo apki website ko buri tahah se damge kar de. wah anchahe content add kar sakta hai ya fir aapki achchi khaadi website ko ek porn website me badal sakta hai. joki aapki reputation ki dhajjiya udaane ke liye bahut hai.

Website Kaise Banaye Full Guide

Dosto 2016 march me google ne bataya hai ki 50 millions se jyada website user ko warning di gayi hai. Ki aap jis website par visit karne ja rahe hai waha maleware or chori ki gayi jaankari ho sakti hai. or jaisa ki humne upar apko bataya hai ki iske liye google har roj 10000 se jyada website ko maleware or 50000 se jyada website ko phishing ki wajah se block kar deta hai.
Dosto agar aapki website aapka business ke taur par hai to fir aapko sabse jyada attention dene ki jarurat hai. kyoki agar aapki website hack hoti hai to isse sidhe apki income par attack hoga joki sahi nahi hai.
Dosto yah thik aisa hai jaise ki aapka koi store hai to aap us store ki security ki puri jimmedari lete hai. thik isi tarah dosto chuki website bhi aapki hai or yah apko kama kar de rahi hai isi liye apni website ki security bhi aapki hi responcibility hai.

( 1 ) Humesha WordPress Ko Update Rakhe

Dosto chuki wordpress ek open source software hai isi liye yah regular aapko update deta rahta hai. Dosto ek baat wordpress me yah bhi achhi hai ki wordpress me minor updates automatically ho jaate hai. aapko khud update nahi karna padta lekin agar wordpress me koi huge update hai to apko yah khud hi karna hoga.
wordpress ko kaise update kare, how to update wordpress, how to update wordpress plugins, wordpress plugins ko update kaise kare, wordpress theme ko update kaise kare
How to update wordpress
Iske sath hi dosto hum sabhi jante hai ki wordpress thousands se bhi jyada alag alag tarah ke plugins or themes apko free me provide karta hai. yah sabhi plugins or theme third party se aate hai or yah third party apne dwara banaye un themes or plugins ki update bich bich me apko provide karti rahti hai.
Dosto apko sabhi plugins ko apne theme ko humesha up to date rakhna chahiye. kyoki yah aapki website ki security ke liye bahut hi jaruri hai. iske sath hi apko bich bich me yah check kar lena chahiye ki aapki sabhi plugins or themes or software up to date hai.

( 2 ) Storng Passwords or User Permission Ka Use Kare

Dosto sabse jyada common hacking attempt hota hai stolen passwords se isi liye yah jaruri hai ki aap apni website ka password bahut hi storng rakhe. joki sirf aapko achhe se yaad rah sake or jis tak sirf aap hi pahunch sake.
Yah storng password na sirf apki website ko protect karta hai balki yah apke perssonal emails or FTP Database WordPress hosting un sabhi ko protect karta hai. jo aapke domain ka use karti hai kahi na kahi. isi liye yah jaruri hai ki aap ek storng password choose kare apni website me login ke liye.

WordPress Blog Kaise Shuru Kare 6 Easy Steps

Dosto mostly pepole storng passwords isliye choose nahi karte kyoki yah unhe yaad rakhne me dikkat hoti hai. lekin dosto aap ek aisa password to bana hi sakte hai jo apko asani se yaad rah jaaye. jaise ki maan lijiye ki main ek password create kar raha hun.
Example: //@MyWord#4991$// ab dosto is password ko dekhiye apko aisa hi password banana hai. jo complicated ho aisa password jo kisi ke mind me bhi na aaye sirf aap hi uske baare me jaane. jaise ki main eexample me “//” backslace ka use kiya first or last me.
fir maine “@” ka use kiya jo special character me second number par aata hai or fingers bhi badi aasani se us tak pahunch sakte hai. wahi main “MyWord” likha yah maan lijiye ki yah mere domain ka hissa bhi ho sakta hai jaise ki myword.com lekin maine isme “My” or “Word” dono me first letter ko capital me liya hai.

WordPress SEO Guide for Beginners (Step by Step) in Hindi-Socond Part

Fir uske baad maine “#” ka use kiya joki special character me third number par aata ha. fir uske baad maine apne birth year ko ulta likha hai “4991” asal me “1994” hai. uske baad maine “$” ka use kiya joki special character me four number par aata hai. uske baad humne “//” fir use kiya ek tarah se apne password ko cover karne ke liye.
Aap apne password ko humesha kahi likh kar surakshit rakh le taki jarurat padne par aap uska use kar sakte hai.

( 3 ) WordPress Hosting

Dosto jyadatar blogger aapko yahi batate hai ki wordpress website ke liye apko hosting kharidni chahiye. lekin kya apko pata hai ki hosting na sirf aapki website ko host karne ka kaam karti hai. balki ek behtarin hosting aapki website ki security ko bhi improve kar deti hai.
Dosto agar aap shared hosting use karte hai to hum apko shared hosting ke liye BLUEHOST ki hosting recommanded karenge. kyoki bluehost hosting extra measures deta hai taki aapki website ka server common threats se bacha rahe.

WordPress SEO Guide for Beginners (Step by Step) in Hindi

Dosto bluehost apki website ko kaise protect karega. dosto bluehost hosting lene se bluehost company har roj apki website ko background me moniter karti rahti hai. aapki website par kisi tarah ki malware ya suspicious activity ko. iske sath hi dosto sabhi best hosting providers ke paas DDOS attack ko counter karne unhe rokne ke liye tools hote hai.
Iske sath hi chuki ek hosting company bahut badi hoti hai or uski jimmedari hoti hai ki wo apne customer ko security de sake. isi liye sabhi webhosting company apne server apne software or hardware ko up date karte rahti hai. aisa karne se apki website bhi secure rahti hai kyoki aapki website ko hack karne ke liye hosting security se hackers ko gujarna hi padega.
Iske sath hi dost hosting companies humesha aise time ke liye ready rahti hai. jab koi badi durghatna ho jaye. jaise ki hosting company ke server room me aag lag jaaye to aise me hosting company aapke sabhi data ko protect karne ke liye uska backup bhi rakh leti hai. taki jarurat padne par aap uska use kar sake.
Dosto agar aap shared hosting use karte hai to aapko yahan dhyan rakhne wali baat yah hai ki- aap ek hi server ko kai alag alag website ke sath share karte hai. jiski wajah se risk badhta hai kyoki aapki hosting tak pahunchne ke liye ho sakta hai hacker usi hosting or server par khud ek website bana le. or fir wah aapki website par attack kar sakta hai.
Dosto agar aap kam rupaye me hosting lena chahte hai to aap managed wordpress hosting lijiye. yah aapki website ko secure rakhta iske liye aap bluehost par click karke waha se wordpress hosting le sakte hai. iske sath hi dosto apko bluehost se hosting lene par ssl certificate or domain or theme free me mil jayenge.

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)

#buttons=(Ok, Go it!) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Check Now
Ok, Go it!