The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 2

Md Danish Ansari
0
the ultimate wordpress security guide in hindi part 2

Hello, Dosto wordpress security par yah humara dusra post hai. hum jante hai dosto jo log wordpress par naye hai ya jinhe coding samajh nahi aati. aise log wordpress security ke baare me sunte hi pareshan ho jaate hai. lekin dosto darne wali koi baat nahi kyoki hum aapke sath hai.
Dosto hum apko yahan batane ja rahe hai ki kaise aap apne wordpress ki security ko improve kar sakte hai wo bhi bina coding ke sirf kuch click ke sath hi aap yah kar sakte hai. to aaiye dosto sikhte hai ki kaise hum apni wordpress ki security ko improve kar sakte hai.
Lekin aage badhne se pahle dosto hum suggest karte hai ki agar aap ne abhi tak iske first part ko nahi padha to yahan click karke use padh le. The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 1

( 1 ) Install WordPress Backups Plugins

Dosto aapki website ka backup aapka pahli security hai kisi bhi tarah ke wordpress par attack ke jawab me. ek baat aap mat bhuliye dosto ki kuch bhi humesha secured nahi hota yahan to govermet ki website tak hack ho jaati hai. fir aap or hum kya hai, isi liye yah jaruri hai dosto ki humare paas humare wordpress website ki backup file ho.

World Best WordPress Hosting in 2019

Aisi condition me jab apki website hack ho jaaye ya damage ho jaaye to aapki website ka backup bahut kaam aata hai. aap backup ka use karke apni website ko kuch hi minutes me restore kar skate hai. wordpress par aise bahut se plugins maujud hai pahle se jinme se kuch free hai or kuch paid hai.
Backup ko kaha save karna hai yah bhi aapke liye bahut important hota hai. dosto hum aapko recommanded karenge ki aap apni website ka backup dropbox ya google cloud ya fir or dusre tarah ke cloud storage me save karte jaiye taki jarurat padne par aap use download karke apni website ko restore kar sake.
Dosto aap apni wordpress website ki regular backup ke liye UpdraftPlus ka free version use kar sakte hai. Apko UpdraftPlus ki website par ja kar free version plugins ko download karna hai. or fir apne Dashboard>Plugins>Add New par ja kar right corner me upload plugins par click karke download kiye gaye file ko upload karke activate kar dena hai.

( 2 ) Install Best WordPress Security Plugins

Dosto ab humne apni website ka backup lene ke liye plugins to install kar liya. ab jarurat hai ki humari website ko regular scan karne ki. jo yah scan karke yah dekh sake ki aapki website par kab kaha kya ho raha hai. kahne ka matlab hai ki hume apni website ke auditing or monitoring karni hogi.

Website Kaise Banaye Full Guide

Jaise ki files integrity monitoring, failed login attempts, malware scaning or bhi bahut kuch shamil hai. aap ke liye khushbhri yah hai ki in sabhi kaamo ke liye wordpress par free plugins pahle maujud hai. jiska naam hai Sucuri Scanner aap ise plugins add new par ja kar install karke activate kar dijiye.

( 3 ) Use SSL/HTTPS

Dosto SSL jiska pura naam Secure Sockets Layer hai ka use apni website par karna chahiye. Dosto ssl ek protocol hai jo aapki website or user ke browser ke bich data encrypt karne ka kaam karta hai. ssl aapki website ko hack hone se bachata hi nahi balki yah hackers ke liye hacking ko mushkil kar deta hai.
Jab aap ssl certificate apni website me use karte hai to aapki website ka url http:// ki jagah par https:// se open hoga. aisa hone par aap dekh sakte hai ki aapki website humesha https:// ke sath locked sign ke sath open hogi jise aap apne browser ke url box me dekh sakte hai.

WordPress Blog Kaise Shuru Kare 6 Easy Steps

Lekin dosto ssl jahan humari wordpress website or blog ke liye important hai. wahi ssl certificate bahut hi costly hai 1 year ssl certificate ke liye kam se kam $100 dollar tak paid karne pad sakte hai. iski itni jyada cost ko dekhte huye bahut se companies ne ab free ssl certificate provide karna shuru kar diya hai.

( 4 ) Change Default Admin UserName

Dosto bahut se log website banate waqt default username ko hi apna login user name rakh lete hai. aisa karna hackers ke liye aasaan bana deta hai aapki website ko hack karne ke liye. kyoki hackers username me admin daal kar kai baar apke website me alag alag password daal kar login karne ki koshish karta rahta hai.

( 5 ) Activate Limit Login Attempts

Dosto by default wordpress kisi bhi user ko apni website ke dashboard me login hone ke liye multiple times login attempt karne deta hai. Dosto wordpress ke isi service ka fayda hackers bhi use karte hai. wo alag alag combination ke password tab tak use karte rahte hai jab tak wo apki websit me login nahi ho jaate.
Isi liye dosto hume apne wordpress website me ek limit laga deni chahiye login karne ke liye. iske liye apko simple ek plugins apko install karna hai jiska naam hai Login LockDown is plugin ko install kijiye or activate kar lijiye.

WordPress SEO Guide for Beginners (Step by Step) in Hindi

Ek baar yah plugin install kar lene ke baad apko apne dashboard me settings option par jana hai. jaha uske niche login lockdown ka ek option apko show hoga. us par click kijiye ab apke samne ek new interface open ho jayega.
jahan se aap apni website me login attempt number daal sakte hai max login attempt me aap 3 number hi daale. retry time period me 5 minutes add kare or lock out lenght me 60 minutes add kare yah sab kar lene ke baad save button par click kar de.

( 6 ) Activate Two Factor Authentication

Dosto Two Factor Authentication ka use karke aap apni wordpress website ko or bhi jyada secure kar sakte hai. isme sabse pahle aap wordpress login step me aap apna username or password daal kar login karte hai. agar aap sahi username or password add karte hai tab uske baad yah apko ek mail bhejega ya fir message jisme apko one time password jise OTP bhi kahte hai bhejega.

WordPress SEO Guide for Beginners (Step by Step) in Hindi-Socond Part

Us OTP number ko daalne ke baad hi aap apne wordpress dashboard tak pahunch payenge. two factor authentication ko activate karne ke liye dosto apko sabse pahle ek plugins install karna hai. Install Two Factor Authentication Plugins
Jaise hi aap is plugins ko install karke activate kar lete hai. aap two factor authentication ko activate kar sakte hai. ise activate karne ke liye apko admin side bar me Two Factor Authentication par click karke ise shuru kar dena hai.

( 7 ) Set Automatically log out Idle Users in WordPress

Dosto aap me se bahut se user aise honge jo kisi or ke computer or me apni wordpress website me login karte hai. aise me wo achanak kahi uth kar chale jaate hai ya fir apni username or password ko login karke chale jate hai.
Yah apki website ke liye ek risk hai kyoki apki website ka dashboard koi dusra bhi badi aasani ke sath open karke. usme aapke username or password ko change karke apko apki hi website se get out kar sakta hai. is tarah ki thagi se bachne ke liye yah jaruri hai dosto ki aap automatically inactive user log out ko activate kare.
Isse hoga yah dosto ki jab bhi aap apni website me kaam nahi kar rahe honge. lekin aap apni website me login honge to yah automatic hi apko apki website se log out kar dega. iska ek fayda yah bhi hai ki agar aap kahi bahar kaam kar rahe hai or achanak se apko apni seat se uth kar kahi jana pad jaye or aap log out karna bhul jaye.
Tab bhi yah service activate hone par apki website se aap automatic log out kar diye jayenge. iske liye dosto aapko sabse pahle Inactive Logout Plugins ko install karke use activate karna hoga.
Uske baad Dashboard>Settings>Inactive Logout par ja kar usme log out ka time set kar dena hai. jab bhi aap apne wordpress me login rahenge or koi kaam nahi karengi us time tak jo aapne set kiya hua hai to aap automatic hi log out kar diye jayenge.

( 8 ) Scan Your WordPress For Malware

Dosto agar aap ne apne wordpress me security plugins install kiya hua hai to yah kaam wahi plugins automatic scan karta hai ki aapki website me kahi malware ya security breaches to nahi hai.
Lekin dosto agar aap Sucuri Securtiy plugins install kiye hai apne wordpress me to aap ko apni website ko manually scan karne ki jarurat hi nahi padegi. kyoki sucuri security plugins yah kaam har roj khud hi kar deta hai automatic.
To dosto is tarah se aap in sabhi settings ko apni wordpress website me activate karke apni website ko jyada se jyada secure bana sakte hai.
Umeed hai dosto aapko humara yah article pasand aaya hoga or aapke liye yah kaafi helpful or information raha hoga. agar apko humara yah post pasand aaya to humare post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare.
Dosto agar aap ne abhi tak humare blog ko subscribe nahi kiya hai to aap se request hai ki aap sabse pahle humare blog ko subscribe kar lijiye taki isi tarah ki informational topic par apko article padhne ko milte rahe or aap har din kuch naya sikhte rahe or sikhaate rahe.

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)

#buttons=(Ok, Go it!) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Check Now
Ok, Go it!