wordpress seo guide for beginners step by step in hindi |
Hello, Dosto aaj hum apko wordpress seo ki full guide dene wale hai. yah post un logo ke liye bahut hi jyada faydemand hai jinhone abhi abhi wordpress ko join kiya hai or jinke paas wordpress ya tech se related jaankari ya to bahut kam hai ya fir bilkul bhi nahi.
SEO Kya Hai ? | What is SEO
Aasaan shabdo me dosto seo ek aisa tarika hai jiska use karke aap apne website or blog par jyada se jyada visitors earn kar sakte hai or apne website ko search engine me rank kara sakte hai.
Dosto search engine optimization ke liye yah tarika kisi tarah ka koi trick yah game nahi hai balki yah ek natural tarika hai. apni website or blog par jyada se jyada organic visitor ko paane ka, jab aap is strategy ka use karte hai to aap search engine se jyada se jyada traffic earn kar sakte hai apne website par.
Godaddy Hosting Par WordPress Install Kaise Kare
Dosto yah ek sidha sadha tarika hai jisme apko ek website banani hai or usme aise code yani aise keywords ka use karna hai. jisse search engine optimize kar le or aapki website ko jaldi se jaldi or show kare jisse apki website rank kar jaaye.
Yah aisa hai dosto ki jaise koi user google par kuch bhi search karta hai. wah kuch bhi keywords use kar sakta hai aise me agar aap ne un keywords se related koi post likha hai to search engine apki website ko optimize karke use us user ke samne result ke taur par show karta hai. jisse apki website par traffic badhta hai or aap jyada se jyada earn karne lagte hai.
SEO Important Kyo Hai ? Why SEO Important for Every Website Owner ?
Search engine duniya me sabse bada source hai apni website par organic traffic paane ka isi liye humare website or blog ka seo hona bahut jyada jaruri hai.
Iske sath hi dosto google or dusre sabhi search engine ka algorithm aisa hai. jo aapke blog or website ko optimize karke samajh lete hai ki aapki website me kis tarah ke content hai. or usi hisaab se wo apki website ko rank kara dete hai.
WordPress Blog Homepage Layout के बिच में Ads कैसे लगाते है ?
Lekin dosto search engine ke bahut se aise algorithms hai jinhe aapki thodi help ki jarurat padti hai. taki wah yah samajh sake ki aapki website me kis tarah ke content hai or unhe search kiye keywords par show karna hai ya nahi.Dosto agar aapka content optimized nahi hai to search engine aapki website ko rank nahi kar payega. dosto iski wajah se aap ka bahut jyada lose hota hai. kyoki agar koi user aise keyword search karta hai jisse related post aapki website or blog par maujud hai.
Lekin chuki apka content optimize nahi hai isi liye aapki website search result me show nahi hogi. isse hoga yah puri ki puri traffic kisi or ko mil jayegi or aapka lose hoga. isi liye dosto yah bahut jyada important hai har us website or blog owner ke liye jinki income inhi website or blog se hoti hai.
Isi liye yah jaruri hai ki aapki website or blog search engine me fully optimized honi chahiye or sath hi seo friendly bhi tabhi aapki website rank karegi grow karegi.
DMCA क्या है और इसके क्या फायदे है ?
aayiye dosto jante hai un sabhi settings ke baare me jinse aap apni website or blog ko seo friendly bana sakte hai.
( 1 ) Check Your Site’s Visibility Settings
Dosto wordpress hume yah option deta hai ki jab humari website ban rahi hoti hai. to hum use search engine me index hone se yani search hone se rok sakte hai use chhupa sakte hai.
Isi liye dosto sabse pahle aapko yah dekhna chahiye ki aapki website search engine se chhupi hui to nahi hai. iske liye aapko simply apne admin area me jana hai or dashboard me pahuchna hai. uske baad apko settings option par click karna hai.
Settings par click karne ke baad apko Reading par click karna hai. uske baad apko scroll karke niche aana hai or search engine visibility option ko dekhna hai ki wah tick to nahi hai. Agar search engine visibility ka option Tick hai dosto to use untick karke SAVE CHANGE par click kar dijiye.
( 2 ) Using SEO Friendly URL Structures in WordPress
Dosto aapke blog or website ke post ki url aisi honi chahiye jo aapke post ya page ko clearly explain karti ho. Yah jaruri hai ki aap aisa url set kare jisse user ko or search engine ko turant samajh me aa jaye ki apke us post me ya page me kis tarah ke content milenge.
किसी भी वर्डप्रेस वेबसाइट की थीम कैसे पता करें ?
For Example:
( A ) https://yourpassion.in/how-to-install-wordpress/
( B ) https://yourpassion.in/archive/1234
To dosto upar humne do example diye hai apko apne post ki url ko seo friendly banane ke liye. pahla example full seo friendly hai wahi dusra example B bahut hi kam lagbhag na ke barabar seo friendly hai.
Aap dekh sakte hai dosto ki Example “A” ke url ko padh kar hi aap achchi tarah se samajh sakte hai ki aapke post me kis tarah ke content honge. wahi dusre example “B” me aap yah guess tak nahi kar pa rahe honge ki aakhir kya hoga post me.
Dosto aap jitna jyada SEO friendly permalink structures apne blog post ke liye use karenge. utna hi jyada chance honge apki website ka search engine me har search par show hone ke, isi liye apki yah koshish honi chahiye ki apke post ki url seo friendly ho.
Aap niche image me dekh sakte hai ki aap kaise apne post ki url structure ko improve kar sakte hai. use jyada se jyada seo friendly bana sakte hai search engine ke liye.
वर्डप्रेस साईट और ब्लॉग पर infinite scroll feature कैसे ऐड करें ?
Iske liye dosto apko sabse pahle apne dashboard me jana hai fir Settings>Permalinks or fir apko Post Name option ko select karna hai or Save Change par click karke settings ok save kar dena hai.
Note: Dosto agar aap apne post url structure me numbers use karte aa rahe hai. jaise date months or year sath hi post title or agar in sabhi post ko publish huye six months se jyada ho gaye hai. to aap inhe waisa hi rahne de jaisa wo pahle the unhe aap change mat kariye.
Kyoki agar aap un sabhi post ke url structrure ko change karte hai. jinhe post huye six months ya usse jyada ho gaye hai. To aap un sabhi social media share count ko kho denge jo pahle kiye gaye hai. iske sath hi un sabhi post par search engine rank ka bahut bura asar padega.
Iske bawajud bhi agar aap apne un sabhi post ki url structures ko change karna chahte hai. jinhe six months ho gaye hai to aap is kaam ke liye kisi professonal ko kaam pe lagaiye. taki wah aap ke un sabhi post ke url ko ek nayi or seo friendly url se redirect kar de.
( 3 ) Use WWW v/s Non-WWW
Dosto agar aap ne abhi turant koi website banai hai or aap nahi jante ki aapki website ka url kis format me open hota hai to aap use check jarur kare. (http://yourpassion.in) or (http://www.yourpassion.in)
dosto upar jo humne url bataye hai search engine in dono url ko do alag alag website ke taur par search karta hai. isi liye yah jaruri hai ki apki website kisi ek format me hi open ho ya to wah bina www ke open ho ya fir www ke sath.
Ise set karne ke liye apko apne Dashboard>Settings>General par jaana hai. aapko waha par wordpress address or site’s address show hoga. lekin dosto dono me se aap kisi ko bhi use kar sakte hai . kyoki isse apke website par kisi tarah ka bad effect nahi padta hai.
( 4 ) The Best WordPress SEO Plugins
Dosto hum sabhi jante hai ki wordpress ki sabse khaas baat yah hai ki iske paas humare kaam ki har tarah ki plugins maujud hai. jinhe hume bas download karke activate karna bhar hota hai. lekin dosto yahi humare liye problem bhi create kar deti hai.
Kyoki wordpress par ek hi kaam ke liye bahut saari alag alag tarah ki plugins maujud hai. aise me website owner ke samne right choose ka problem create ho jaata hai.
Lekin dosto apko ghabrane ki jarurat nahi hum aapko yahan bata rahe hai ki har tarah ki website or blog ke liye kaun si seo plugins sabse best hai. Dosto apko apne blog or website ko seo karne ke liye Yoast SEO plugins ka use karna chahiye.
Agar aap ise use nahi karna chahte to aap iski jagah par All in one SEO Pack Plugins ka use jarur kar sakte hai. Humari website Yoast SEO plugins ka use karti hai agar aap chahe to iska premium version bhi le sakte hai. lekin agar aap abhi naye hai to hum aapko iske free version ko use karne ka sujhao dete hai.
( 5 )Add XML Sitemap in WordPress
Dosto xml sitemap humari website ka special formate me short list hota hai. jo jisme humari website ke har page hota hai. xml sitemap humari website ko search engine me rank karane or uska traffic badhane me bahut bada roll ada karta hai.
Kyoki xml sitemap ke jariye hi search engine ko humari website or usme maujud content ke bare me pata chal paata hai. isi liye dosto yah jaruri hai ki aap apni website ka xml sitemap jarur submit kare.
Lekin dosto agar aap apne wordpress site’s me yoast seo plugins ka use karte hai to apko apni website ke liye xml sitemap banane ki jarurat nahi padti. kyoki yoast seo plugins khud hi apke website ke har ek page ka xml sitemap bana leta hai.
Dosto agar aap apni website ka sitemap dekhna chahte hai jo yoast seo plugins ne banaya hai. to apko search me type karna hai- http://yourdomainname.com/sitemap_index.xml
yah search karte hi aapki sabhi xml sitemap show ho jayegi jo yoast seo plugins ne aapki website ke liye banaye hai.
( 6 )Add Your Site to Google Search Console
Google search console ko aap me se bahut se log google webmaster tools ke naam se bhi jante hai. yah tool google ki taraf se sabhi website owner ke liye bilkul free hai. aap isme apne gmail id ka use karke ek id bana sakte hai.
Is tools ke use se aap yah jaan sakte hai ki aapki website ko kitne baar search kiya gaya. kahan kahan se search kiya gaya. kitne log apki website par aaye kitni der rahe kya padha kis post par wo jyada time tak rahe. yah sab kuch aap ko google search console me mil jayega.
Is tools ki madad se aap yah jaan sakte hai ki aapki website par kis tarah ke log aa rahe hai or wah kis tarah ki post articles ko sabse jyada padhna pasand kar rahe hai. iski madad se dosto aap apne website visitor’s ki ruchi jaan sakte hai or usi ke mutabik article or post publish karke apni website par jyada se jyada visitor la sakte hai.
Iske sath hi dosto google search console apko kai tarah se warning bhi de deta hai. jaise ki agar apki website ko koi hack karne ki koshish hoti hai to yah apko alert karta hai. agar aap ne ya kisi dusre ne apki website ke content ko use kiya hai to yah apko copyright ka alert deta hai.
Dosto jab aap apni website ko google search console me submit kar le to uske baad apko apni website ko crawl bhi karwana hai. iske liye aapko Crawl par click kijiye or drop down menu me sitemap par click kijiye.
Uske baad apko Add To Sitemap button par click karna hai. uske baad apke url ke samne ek box hoga apko usme ye code add karna hai sitemap_index.xml uske baad submit sitemap par click kar dena hai.
Dosto ek baar jab aap google search console me apni sitemap ko submit kar dete hai. to google apke website ko crawl karne me kuch time leta hai. jab google apke puri website ko crawl kar leta hai to wah apki website par maujud har chij ko index bhi kar leta hai.
Jab yah ho jaata hai to aap yahan aa kar dekh sakte hai ki apki website par kitne tarah ke links hai kitne post kitne visitors kitne errors aap sab kuch yahan se dekh sakte hai or use thik karke apni website ko or behtarin tarike se seo karwa sakte hai.
( 7 ) Optimizing Your Blog Posts for SEO
Bahut se naye blogger yah sochte hai ki humne seo ke liye plugins install kar liye hai. to ab humara kaam khatm ab baki kaam plugins karega. lekin aisa nahi hai to dosto kyoki seo ongoing process hai na ki incoming process.
Isiliye yah jaruri hai ki jab bhi hum koi post likhe to humare post ke title se lekar uske permalink se lekar humare post me maujud har ek content seo friendly hona chahiye jyada se jyada. sirf yahi tarika hai dosto apke post ko jyada se jyada search me laane ka or apne post par visitor earn karne ka.
Yoast seo apko yah sab kuch allow karta hai yah apko apne blog post title, description add karne deta hai. iske sath hi yah apko keyword par focus karne deta hai wo bhi har blog post or page me. dosto agar aap apne blog ke title or uske description ko optimize karwa lete hai to aap jyada se jyada clicks earn kar sakte hai.
प्राइवेट वर्डप्रेस वेबसाइट या ब्लॉग कैसे बनाये ?
Dosto agar aap apne website me yoast seo plugins ka use karte hai to aap ise apne blog post ko likhte waqt niche scroll karke dekh sakte hai. aap niche apne blog post ke title ko edit kar sakte hai uske url ko edit kar sakte hai.
Iske sath hi dosto aap apne post ki description bhi add kar sakte hai jisme jyada se jyada keyword hone chahiye aapke blog post se related. umeed hai dosto apko is post ka har ek steps achche se samajh me aa gaya hoga.
Dosto yah WordPress website ke seo ko lekar humara pahla post tha hum isi par ek dusra post kal publish karenge. agar aap ne humare blog ko abhi tak subscribe nahi kiya to aap subscribe kar lijiye. uske sath hi dosto humare is post ko apne dosto ke sath social media par jyada se jyada share kare.
Note: Ultimate WordPress SEO Guide for Beginners (Step by Step) in Hindi 2nd part is coming soon……
0 comments:
Post a Comment