Godaddy Hosting Par WordPress Install Kaise Kare ?

how to install WordPress on GoDaddy hosting

Hello, Dosto kya aap bhi apna khud ka wordpress par blog shuru karna chahte hai. lekin aap soch rahe honge ki yah kaise kare. agar apko website or blog se related kuch bhi jaankari na ho to fir aap kaise kuch hi minute me ek badhiya blog shuru kar sakte hai.

WordPress Par Free Me Blog/Website Kaise Banaye

Dosto aapki is pareshani ka hal hai Godaddy managed WordPress Hosting. yah aapke liye sirf kuch hi minutes me apke liye ek badhiya sa blog bana dega. Dosto aaj ke is tutorial me hum aapko batane ja rahe hai ki kaise aap Godaddy managed WordPress hosting Account  par wordpress ko install kar sakte hai.

Godaddy Hosting Par WordPress Blog Kaise Banaye | how to create a WordPress blog on godaddy hosting

Dosto godaddy ki sabse khaas baat yah hai ki yah aapko bas one click installation provide karta hai. iska matlab yah hai ki aapko shuru me bas kuch jaankari deni hoti hai. jaise ki username or password or kuch etc. information.
Uske baad yah khud hi wordpress par autometically apke database ready kar deta hai. jisse sirf kuch hi minutes lagbhag 5 se 6 minute me aapka blog ready ho jaata hai.

WordPress Par Blog Post Kaise Likhen

Iske liye dosto aapko sabse pahle apne godaddy account me login karna hai. iske liye aapko godaddy ki website par ja kar sign in par click karna hai or fir apna username or password daal kar sign in par click kar dena hai. fir apko apne profile pic par click karna hai waha se apko my product par click karna hai.
Ab aapko apka domain or wordpress hosting jo aap ne kharid rakha hai wah dono show karega. aapko managed wordpress par click karna hai, agala screen open hoga jisme New managed WordPress ke niche setup ke button par aapko click karna hai.
Uske baad godaddy apke samne do option deta hai website or blog banane ke liye. Create a new wordpress site or Migrate your existing wordpress site chuki hum ek nayi website banana sikh rahe hai. isliye hum create a new wordpress site par click karenge.
Uske baad apke samne ek or interface open hoga jisme apko apna domain select karna hai. joki aap ne godaddy se purchase kiya hoga. domain select karne ke baad apko apna username chunna hai yaad rahe aap yaha par jo user name dalenge wahi user name daal kar aap apne wordpress site me login kar payenge.

Top Best Plugins For WordPress Website

Uske baad apko apna emain address dalna hai fir uske baad apko password dalna hai. yaad rahe jo password aap yaha daal rahe usi password ka use karke aap apne website yani wordpress site me login kar payenge. isi liye password aisa hona chahiye jo aapko asaani se yaad rahe or dusre log us tak na pahunch sake.
Yah sab kar lene ke baad apko Finish par click karna hai. ab Godaddy managed WordPress installer aapke liye automatically wordpress blog setup or install kar dega. aapka blog banne me sirf 2 se 3 minute ka samay lagega. uske baad process puri ho jaane ke baad apke samne Get Started ka button show karega.
Aapko get started par click karna hai dosto godaddy ki ek khaas baat yah bhi hai ki yah aapko Go Daddy Quick Setup WordPress plugin offer karta hai. yah non-technical user ko sirf kuch steps me blog, business website, Gallery or personal Website setup karne me help karta hai.
Aap agar blog banana chahte hai to blog par click kijiye agar aap website banana chahte hai to website par click kijiye. agar aap business website banana chahte hai to business website setup par click kijiye or agar aap gallery banana chahte hai to gallery setup par click kijiye.

वर्डप्रेस वेबसाइट या ब्लॉग पर सब्सक्राइब बॉक्स कैसे ऐड करें

Lijiye Dosto kuch hi minutes me apka khud ka blog or website ban kar taiyaar ho jayega. ab aap apna business badhane ke liye post likh sakte hai publish kar sakte hai. Dosto godaddy un kuch hosting company me se ek hai jo apne user ko video tutorial free me provide karti hai.
Agar aap chahe to aap un videos ko bhi dekh sakte hai. umeed hai dosto apko humara yah post pasand aaya hoga. agar aap ne abhi tak humare blog ko subscribe nahi kiya to blog ko subscribe kar lijiye. or humare is post ko social media par share jarur kare.

0 comments:

Post a Comment