Youtube Videos Ko Blog Post Me Kaise Add (Embed) Kare ?

how to embed youtube video in a blog post

Namaskaar dosto jaisa ki aap sabhi jante hai dosto ki rupaye kamane ke do tarike ek offline. jisme apko har subah uth kar ek fix time par office pahunchna hai 8 se 10 ghnate kaam karna hai or mahine ke baad apko 10000/- se 15000/- ka amount aapke khaate me daal diya jayega.
Dusra tarika hai online jisme aap par kisi tarah ki samay sima ka pratibandh nahi hai. aapka jab man pada din bhar me tab apko kaam karna hai lekin kaam aapko karna hi hai. jis tarah se aap apne office me jakar apna best se best work dete hai apne boss ko. taki aapka boss apko promotion de.

Apne Blog Post Content Ko Chori Hone Se Kaise Bachaye

Thik usi tarah online earning karne ke liye bhi apko apna best se best dena hota hai. online earning karne me ek or fayda yah hai ki aap yaha wo kar sakte hai jis kaam ko karne me apko sabse jyada maza aata hai. aisa kaam jo aapki hobby hai or jise aap bina ruke bina thake ghanto tak kar sakte hai.
Fir chahe wo gardning ho ya fir book review ya fir itihaas ki jaankari ya fir science technology etc. etc. yahan har tarah ke kaam maujud hai. bas aapko aage badh kar use dil se apnana hai or apna best work dena hai. aap internet se rupaye tabhi kama sakte hai, jab logo ko aapka kaam pasand aaye.

Top 5 SEO Optimized & Mobile Friendly Templates [Free] For Blogspot Blog

Online rupaye kamane ke sabse achhe tariko main se ek hai blog likhna jaisa ki hum likh rahe hai. chuki humara yah blog website buider or blogspot or dusri tarah ki internet se judi sabhi tarah ki jaankari par aadharit hai. isi tarah ki har website or blog apko internet par milenge.
Un blogs ko likhne wala vyakti tabhi kaamyaab ho sakta hai rupaye kamane me jab wah apne passion ko hi apna kaam bana le. kyoki isme use maza aata hai or hum sabhi jante hai dosto. jis kaam me hume maza aata hai us kaam ko hum dil se karte hai or kabhi takhte nahi.
blog se jude post ki is kadi me dosto hum apko yah batane ja rahe hai ki aap apne blogspot blog me youtube video ko kaise add kar sakte hai. to chaliye dosto shuru karte hai.

अमरीश पूरी – Amrish Puri Birth Anniversary

How To Add YouTube Video To A Blog Post in Hindi

Iske liye dosto apko sabse pahle youtube.com par jana hai uske baad right side me sign in ka option hoga. us par click karke apko jis gmail id se youtube video apne blog par add karna hai us par click kijiye. yah steps un logo ke liye hai jinka apna khud ka youtube par channel hai or wo khud ki video blog post embed karna chahte hai.
yourpassion- youtube video blog par kaise add kare
Ab aapko jis video ko apne post me add karna hai us video ko open kijiye or ab share par click kijiy. uske baad apke samne share karne ke liye kai option honge usme niche video ki link di hogi waha copy par click karke us link ko copy kar lijiye. Ab apko us link ko copy kar lena hai dosto uske baad ab apko is link ko apne blog post me add karna hai.
your passion – youtube video ko blog par kaise embed kare
Ab apko apne blogger me login hona hai or jis post me bhi aapko video add karna hai us post ke edit option par click karna hai. uske baad apko video icon par click karna hai.

Blogspot Blog Ka Backup Data Download Kaise Kare

yourpasion.in
Video icon par click karne ke baad apke samne ek box open hoga jisme 3 option honge pahla Upload dusra From Youtube Video or Tisra My Youtube Video chuki humne abhi tak apna youtube video nahi banaya hai dosto isi liye hum From Youtube Video ke option par click karenge agar aapka apna youtube channel hai or usi ka video apko add karna hai to apko My Youtube Video ke option par click karna hai.
yourpassion.in
your passion
Ap aapko search box me copy kiye link ko paste karke search button par click karna hai. uske baad apko wah video show hoga aapko us par click karke select kar lena hai uske baad apko niche select button par click kar dena hai.
your passion
Dosto jaisa ki aap upar picture me dekh sakte hai ki wah youtube video ab aapke blog post par show kar raha hai. ab aapko upar me update button par click kar dena hai or agar aap abhi post ko publish nahi kiye hai to apko update ki jagah publish button show karega. apko us par click karke apne blog post ko publish kar dena hai.

Google Webmaster Tools Kaise Use Kare Full SEO Guide

Dosto ab aap dekh sakte hai yah aap ke dwara lagaya gaya video show ho raha hai. is tarah se aap dosto kisi bhi post me apne youtube video ko add kar sakte ho embed kar sakte ho.
Umeed hai dosto apko yah article pasand aaya hoga is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare. agar aap ne abhi tak humare blog ko subscribe nahi kiya hai to humare blog ko jarur subscribe kar lijiye.

0 comments:

Post a Comment