Blog Se Paise/Rupaye Kaise Kamaye ?

how to earn money with blog

Namaste dosto aap ne kai baar yah suna hoga ki log blog likh kar rupaye kama rahe hai. wo bhi koi 1000,2000 nahi balki yahan baat ho rahi hai. lakho or karodo rupaye ki, magar prashn yah hai ki blog kya hai? or isse rupaye kaise kamaya ja sakta hai wo bhi khud ka ek paisa bhi lagaaye bina.
How to earn money by creating a free blog.

Blog Kya Hai ? Hume Kis Subject Par Blog Banana Chahiye ?

Dosto blog google company ka ek free product hai jisme log apne accounts bana kar usme post likhte hai jise hum article bhi kahte hai. Isme aap kuch bhi likh sakte hai jaise ki aap apni perssonal life ke baare me ya fir agar aapko khana banana achha lagta hai or aap apni recipy dusre logo ke sath share karna chahte hai.

Free Me Website or Blog Kaise Banaye

To aap blog likh kar logo ko bata sakte hai ki kaun si dish kaise banti hai or uski puri vidhi kya hai ? Agar aap student hai to aap padhaai se related likh sakte hai agar aap professor hai to aap aise student ki madad kar sakte hai jo aapke gyan ka wait kar raha hai.
Create a free blog and write an article on it and earn money.
Kaha jaaye to dosto blog par aap sab kuch likh sakte hai aap jis field me bhi ho. aap apni hobby ke mutabik hi blog banaye, ye nahi hona chahiye ki aap science ke student hai apko science pasand hai lekin aap blog bana rahe hai history ke upar. kyoki isse yah hoga dosto ki aap shuru shuru me to puri utsukta se blog likhenge lekin baad me aap ub jaayenge.

Blog Par New Post Kaise Likhe

Isse aapka samay or mehnat dono barbaad ho jayega, isiliye yah jaruri hai ki aap aise vishay par blog banaiye jo aapko pasand ho na ki dusro ko blog banate waqt aapko sabse pahle apni khushi ka dhyan rakhna chahiye. yah jaruri hai taki aapka man blog likhne me bana rahe.
Dusra sabse importent hai ki aap apne blog se dusre logo ko kis tarah se fayda pahuncha sakte hai. dekhiye dosto koi bhi vyakti apke blog ko sirf tabhi padhega jab use apke blog se fayda ho. ab maan lete hai ki ek professor hai jo history par blog likhta hai, wahi dusri taraf ek student hai jise apne school ya college se kisi khaas subject me history ka assignment mila hua hai.

Copyright Free Image Kaise Download Kare

Ab isme hoga kya student internet par aayega or search karega. agar use apka blog mila to wah apka article jarur padhega. ab use kuch chije samajh nahi aati ya fir apke article se kuch miss hai to aise me wah aapse sawaal karega comments me. jis professor ka wah blog hai agar usne us student ko reply karke uski pareshani ko hal kar diya. to hoga yah ki wah student apne sabhi history ke classment ko aapke or apke blog ke baare me jarur batayega.
Isse or bhi jyada student aapke blog par aane lagenge, ab isse aapke blog par traffic badhega. jisse apko rupaye yani paise kamane hai.

Blog Se Paise Kaise Kamaye ? Google Adsense ?

Dosto ek baar jab aap blog likhne lagte hai to aap ko yah regular base par karna chahiye. agar aap roj blog nahi likh pa rahe tab bhi aap hafte me kam se kam 4 din blog par post jarur daale. Dosto jab aapke blog par 20 se 25 post ho jaaye iske sath hi jab aapke blog ko 15 se 20 din ho jaaye bane huye or us par post karte huye.

Blog Par Social Media Follow Button Kaise Add Kare

Tab dosto apko apne blog ke liye adsense account banana hai. Adsense google ka hi product hai jisme badi se badi or chhoti se chhoti company use rupaye deti hai. or google adsense un company website or blog ki advertisement karti hai duniya bhar ki website blog video par.
aap jab youtube par video dekhte hai to shuru me ya bich me ya fir aakhri me ads aa jaate hai. is ads ko dekhne ke badle google adsense us youtuber ko paise deta hai jisne wah video banaya jise aap dekh rahe the. thik isi tarah blogspot par bane blogs ke sath hai.

Apne Blog Me New Theme / Template Kaise Lagaye

Jab aap khud ka blog likhne lagte hai or log waha par aane lagte hai to aap google adsense ke liye apply karte hai. Google adsense se approval mil jaane ke baad aap apne blog par google adsense ke ads laga sakte hai. ab jitne jyada log aapke blog par aayenge aap utna hi jyada rupaye kamayenge.
lekin ek report ke mutabik or jyadatar bloggers or youtubers ke anusaar adsense apko 1000 logo ke apke blog par visit karne par apko 1 dollar deta hai. Agar un users me se kisi ne bhi apke kisi bhi ads par click kiya to fir google adsense apko 1 dollar se jyada rupaye deta hai. kabhi kabhi yah 3 dollar se 5 dollar tak bhi pahunch jaata hai.

वर्डप्रेस और ब्लागस्पाट दोनों में कौन अच्छा है

Aap me se bahut se log yah soch rahe honge ki blog likh kar aap mahine ke kitne rupaye kama sakte hai. Dekhiye dosto main aap se jhut nahi bolunga kyoki aap se jhut bolne ka mujhe koi fayda nahi. agar aap apne blog par traffic laane me kaamyaab rahte hai to aap jald hi mahine ka kam se kam 10000 se lekar 15000 rupaye tak kama sakte hai.
Yaha rupaye nahi dollar kamaye jaate hai jise aap apne bank account me transfer karte hi wah indian currency me convert ho jaata hai. lekin blog se rupaye kamana itna aasaan kaam bhi nahi hai kyoki aaj ke date par internet par lakho nahi balki karoro log hai jo blog bana kar us par post likh rahe hai.

DMCA क्या है और इसके क्या फायदे है ?

Lekin iska matlab yah nahi hai ki aap nirash ho jaaye. kyoki agar aap blogging karna chahte hai to aapko apne upar vishwas ke sath bahut hi dhairya bhi rakhna hoga. sabse pahle aap ek blog banaiye apne gmail id ka upyog karke. us par 20,25 post likhiye. dhyaan rahe aapki har post 1000 words se jyada me honi chahiye usse kam nahi honi chahiye.
uske baad apko 15 se 20 din ke andar me adsense ke liye usi gmail id se apply karna hai. jisse aap ne apna blog banaya hai yaad rahe google se agar aap ne kisi bhi tarah ka jhut bola to wah apko adsense approval nahi dega or aapka wahi par khel samapt ho jayega. isi liye saari jaankari sahi de jhut bolne ki jarurat nahi hai.

Kis Tarah Ke Blog Par Google Adsense Nahi Lagaya Ja Sakta ?

Dosto aap google adsense ko kisi bhi porn se sambandhit website ya blog par nahi laga sakte. agar aap aisa karte hai to google adsense apke account ko delete kar dega or aap fir dubara kabhi bhi google adsense ke liye apply nahi kar payenge.

Blogger Blog का Font कैसे Change करें

Iske sath hi dosto agar aap dusre bloggers ki post ya uske content ko copy paste karte hai ya kisi tarah ki copyright image or video ko apne blog par use karte hai to aapka adsense account delete ho sakta hai. google aisa karne ke liye puri tarah se savtantra hai agar google ko kahi bhi aapki galti nazar aayi to wah aapko chhodega nahi.
Jahir si baat hai dosto google duniya ki sabse badi search engine company hai. jiske apne dher saare alag alag tarah ke product hai or duniya bhar ke log google par bharosha karte hai. isi liye google unke bharose ko banaye rakhne ke liye har us post har us video har us account ko delete karta hai ya use block kar deta hai jo dusre logo ko haani pahunchate hai.

Blogger Blog Theme को Compress कैसे करें

Isi liye dosto yah jaruri hai ki aap blogspot par blog banane ke baad jo bhi likhe wah aapka apna content hona chahiye na kisi kis or jagah se copy paste. Dosto agar aap blogging ko lekar serious hai or isi se rupaye bhi kamana chahte hai to aapko humara blogspot par likhe sabhi article ko achhe se padh lena chahiye.
Aisa karne se aap blogspot ke baare me achhi tarah se jaan payenge iske sath hi aap har tarah ki settings bahut hi jald se jald kar lenge jisse apko or aapke blog ko hi fayda hoga. blogspot se sambandhit sabhi post padhne ke liye apko Categories me ja kar Blogspot par click karna hai. wahan par aapko blogspot se sambandhit sabhi post mil jaayenge.
Keywords:
How to earn online by writing a blogCreate a free blog and write an article on it and earn moneyHow to earn money by creating a free blog.

0 comments:

Post a Comment