Google Webmaster Tools Kaise Use Kare Full SEO Guide

how to use google webmaster tools  full SEO guide in Hindi

Namaste dosto svagat hai aap sab ka humare blog yourpassion par jahan apko internet ki sabhi jaankari hindi me uplabdh karaai jaati hai. aaj is post ka humara topic hai ki hum google webmaster tools ka kaise use kare apne blog ya website ke seo ke liye.
Dost jaisa ki hum sabhi jante hai ki blogspot google ke dvara di jaani wali ek free service hai. lekin iske sath hi ek problem yah hai ki blogspot par bane blog khud hi search engine me seo nahi ho paate. jiski wajah se humara blog search karne par bhi show nahi hota hai.

Blogspot Me Country Specific Redirect URL Ko Kaise Band Kare

Blogspot par bane sabhi blog ko seo karne or unhe search engine ke liye jyada se jyada friendly banane ke liye. Google company ne ek or service hume di hai jiska naam hai Google Webmaster Tool. iski madad se dosto aap apne blog ka seo achchi tarah se kar sakte hai jisse apka blog jyada se jyada seo friendly ban jaata hai.
Blog ki seo setting me google webmasters tools aapko bahut sare Search Engine Optimization important feature provide karta hai. Is tutorial me mai aapko google search console ko use karne ki kuch tips bta raha hu jo blogspot user ke bahut kaam aa sakti hai.

Blogspot Blog Ka Login Email Address Kaise Change Kare

Blogspot User Google Webmasters Tools Kaise Use Kare – Full SEO Guide in Hindi

Dosto ab hum to tips apko yahan batane ja rahe hai wah tips keval blogspot par bane blog ke liye hai. agar aap ek blogspot user hai to niche batai gayi sabhi jaankarion ko dhyan se padhe or apne blog ko jyada se jyada seo friendly banane ki koshish kare.
Apni Site Ko Verify Kijiye:
Dosto sabse pahle apko Google Webmaster Tools ki website par jaana hai. or apne gmail id se login kar lena hai, uske baad apko apne blog ya website ka link de kar add property par click kar dena hai.
your passion
Ab aapko dosto right side uper ki taraf settings icon par click karna hai. uske baad apko verification details par click karna hai. yaha par check kare ki aapki site verify hai ya nahi, Verify hogi to aapko Already verified ka message milega. Agar nahi hai to fir html tag par cick kare.
Uske baad apke samne ek html code open hoga us code ko copy kar lijiye. Uske baad apko apne blog me login karke apne blog ke dashboard me jaana hai. ab drop down menu me apko theme option par click karna hai uske baad edit html par click karna hai.

Blog Title Se Pahle Post Title Ko Show Kaise Kare

Ab apka blog html code me open ho jayega, uske baad apko box me kahi bhi click karke Ctrl+F press karna hai. ab ek search box open hoga usme apko <head> likh kar search karna hai. or copy kiye huye html code ko <head> ke niche paste kar dena hai.
Uske baad apko wapas apne google webmaster tools par jaana hai or fir verify ke button par click kar dena hai.
Submit & Check Sitemap: 
Apne blog ko verify kar lene ke baad apko apne google webmaster tool me jana hai or waha Crawl > Sitemap par click karna hai. yahan apko yah check karna hai ki aapne jo apne blog or website ke sitemap submit kiye the. usme kisi tarah ka error to show nahi kar raha, agar koi error ho to apne us sitemap ko fir se resubmit kijiye.
Remove All Duplicate Content Links:
Dosto hum sabhi jante hai ki kabhi na kabhi humare blog ya website par error 404 page not found aata hi hai. or hume is error ko fix karna hi padta hai warna apke website ki ranking or traffic dono hi girenge . Google Webmaster Tools isme bhi apki madad karta hai apko bas apne webmaster tool me jaana hai.
Crawl>Crawl Errors par click karke sitemap ko fir se submit karen. Kei bar inhi crawl errors se sitemap me error so hota hai. So agar aapke sath bhi aysa ho to aap crawl errors ko fix kar sitemap submit kare.
Setting up URL Parameters:
Dosto jab hum apne blog post ko social media par share karte hai to uske refferal links ban jaate hai. or google unhe index kar leta hai inhi refferal link ko parameters url link kahte hai. Apko google webmaster ki madad se apne sabhi url parameters ko fix karna hoga. Iski help se aap search engine se duplicate links ko delete bhi kar sakte hai.

Blogspot.com Domain Par Alexa Rank Show Kyo Nahi Hota Hai

Check Security Issues:
Is option ka use karke aap apni website or blog ki security check kar sakte hai. agar apki website par koi mailware hoga ya fir kisi ne apki website ko hack karne ki koshish ki hogi to uski jaankari yahan apko mil jayegi. Dosto agar apko yahan par koi warning message milta hai to yah apko pareshan kar sakta hai.
Iske liye aap turant google ko apne blog se sambandhit feedback bhejiye. agar aap chahe to kisi website developer se bhi yah kaam karwa sakte hai. aisa hote hi apko sabse pahle apne blog or website ka backup le lena chahiye.

Blogspot Blog Me Error 404 Page Not Found Ko Custom Redirect Kaise Kare

Agar bhavishya me hacker apki website ko delete kar deta hai to bhi aap ke paas apki website ka backup hone ki wajah se apko jyada pareshani nahi uthani padegi. is post me aaj ke liye bas itna hi hai dosto agar aapko yah post pasand aaya to ise apne dosto ke sath social media par jarur share kare.
Isi tarah ki informational post padhne ke liye or har din kuch naya sikhne ke liye humare blog ko subscribe kijiye.

0 comments:

Post a Comment