Blogspot Blog Ka Backup Data Download Kaise Kare ?

how to download Blogspot blog back up data

Namste dosto jaisa ki hum sabhi jante hai ki blogspot google ke dwara provide ki gayi ek free blogging platform hai. jahan par aap apna blog bana kar apne post publish kar sakte hai or puri duniya ke samne apne vichaar or apna talent pesh kar sakte hai.
Lekin dosto jahan blogspot hume apne talent ko duniya ke samne laane ka jariya hai. wahi google ka yah free product hone ki wajah se google is par pura control rakhta hai. yani ki yun kaha ja sakta hai ki aap yahan sirf apne post publish kar sakte hai jyadatar blog ke control google ke paas hote hai.

Google Webmaster Tools Kaise Use Kare Full SEO Guide

Aise me agar aap apne blog me kuch khaas tarah ki settings karna chahte hai to aap wah settings nahi kar sakte. iske sath hi dosto kai baar aisa hota hai ki jo naye blogger hote hai. unhe copyright ke baare me pata nahi hota agar hota bhi hai to itna kam ki wo galtiya karte hi karte hai.
Aise me agar aap apne blog par copyright content ka use karte hai to google apke banaye huye blog ko delete karne ke liye savtantra hai. wo jab chahe kisi bhi vyakti ke shikayat karne par apke blog ko check karke bina apko bataye hi aapke blog ko delete kar sakta hai.

Blogspot Me Country Specific Redirect URL Ko Kaise Band Kare

Blogspot blog me back up data ka option hota hai. Jisse aap apne blog ka all data osts, pages, comments and images ka backup le sakte ho. Blogger ka backup .XML file me hota hai. Jise aap apne computer me store kar sakte ho.
Bahut se blogger apne blog ka backup nahi lete hai .But mai aap sabhi ko suggest karunga ki aap weekly apne blog ka backup lete rahe. Agar aap weekly nahi kar sakte to montth me ek bar blog ka backup jarur banaye.

Blogspot Blog Ka Login Email Address Kaise Change Kare

Blogspot Blog Ka Backup Kaise Le
Dosto sabse pahle apko blogger.com par ja kar apne blog me login karna hai. uske baad apko apne blog ke dashboard me jaana hai wahan par apko drop down menu me settings option par click karna hai. ab uske baad apko Other option par click karna hai uske baad apke samne jo interface open hoga usme apko “Backup Content” par click karna hai. jaisa ki niche picture me dikhaya gaya hai bilkul waisa hi kare.
your passion
Back up content option par click karte hi apke samne ek pop up option open hoga jisme apko Save To Your Computer button par click karke apne blog ka backup save kar lena hai. Dosto apne blog ka backup apko humesha bich bich me lete rahna chahiye.

Blog Title Se Pahle Post Title Ko Show Kaise Kare

Kyoki kai baar humse galtiyan ho jaati hai or humko pata bhi nahi hota ki humne koi badi galti kar di hai. ek Smart blogger humesha apne blog ka backup download karta rahta hai or purane backup ko delete kar deta hai. aisa karke na sirf aap apne blog post ko surakshit rakh sakte hai balki apni mehnat ko bhi bacha sakte hai.
Umeed hai dosto apko humara yah article pasand aaya hoga or aap sabke liye yah madadgaar bhi raha hoga. agar apko humara yah post pasand aaya to aap sab se request hai ki humare is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare. taaki aapke dosto bhi humare is blog ke sath har roj kuch naya sikhe or apna knowledge badhaye.

Blogspot.com Domain Par Alexa Rank Show Kyo Nahi Hota Hai


0 comments:

Post a Comment