apne blog post content ko chori hone se kaise bachaye |
Good Evening dosto aaj hum yah sikhenge ki kaise aap apne blogspot blog par post content ko chori hone se bacha sakte hai. Lekin sawaal ye hai ki aakhir hume aisa karne ki jarurat kyo hai? matlab hume apni hi post ko copy hone se bachane ki jarurat kyo hai?
How to save the post content on the blogspot post Full Guide in Hindi?
Dosto hum sab badi mehnat se apne blog par khud ka content likh paate hai. ek blog post ko likhne ke liye na jaane kitne alag alag source se hume padhna padta hai sikhna padta hai fir us par sochna padta hai. fir uske baad use apne shabdo me gadh kar hume use dusre logo tak pahunchana padta hai ek post ke roop me.
Top 5 SEO Optimized & Mobile Friendly Templates [Free] For Blogspot Blog
Aise me koi dusra blogger ya website ka owner jaan bujh kar ya fir anjaane me apke blog post ko copy karke apni website ya blog par post kar deta hai. iske upar wah apko apko ya aapke blog ko credit bhi nahi deta or na hi apko. aise waqt me aap ye kahenge ki thik hai agar wah copy karta hai tab bhi google use copy right strike to dega hi jisse us blogger ka hi nuksaan hoga.
Aap ne thik kaha dosto ki google aaj nahi to kal use copyright strike jarur dega. lekin isme kaafi waqt bhi lag sakta hai. lekin iska sabse bada nuksaan apko yah hai ki aapki website ka traffic us blogger ke blog par chala jaata hai jisne apke content ko copy kiya hai.
अमरीश पूरी – Amrish Puri Birth Anniversary
Hota yah hai dosto ki jab koi user kisi post ko search karta hai to search engine robot kai baar apki original content ko copy maan leta hai or jisne apka content copy kiya hai uske blog ki post ko original content maan kar search result me show karta hai. jiski wajah se jo traffic aapke blog par aana chahiye wo ab kisi dusre blog par chala jaata hai.
Isse aap ka lose hota hai isi liye yah jaruri ho jaata hai ki aap apne blog post ke content ko copy hone se bachaaye. to dosto is post me hum apko yahi batane ja rahe hai ki kaise aap apne blog post content ko copy hone se bacha sakte hai.
Blogspot Blog Ka Backup Data Download Kaise Kare
Agar aapke sath aysa ho raha hai or aapko lagta hai ki aapki site ka content koi copy kar raha hai to aap copy paste diasble kar ke apni site ko copyrighting se bacha sakte ho. New blogger khud ko smart samjhte hai wo pahle kuch din tak to khud ka content likhte hai lekin fir kuch samay baad wo dusre blogger ki post ko copy karne lagte hai.
Yah copy paste ki samasya sabse jyada hindi blogger ke sath hoti hai. kyoki english blog ke post ko agar aap copy karenge to wah turant pakad me aa jaata hai. lekin hindi blogs ke sath aisa nahi hai. lekin jab search engine team ko iske baare me pata chalta hai to wah us blogger ke blog ko hi block kar dete hai jo uska sabse bada lose hai.
Google Webmaster Tools Kaise Use Kare Full SEO Guide
Blogspot par post content copy paste hone se kaise roke
- Sabse pahle dosto apko apne blog me login hona hai iske liye aap blogger.com par ja kar apna id password daal ke login ho jaaye.
- Uske baad dosto apko apne blog ke dashboard me jaana hai. fir waha se apko Layout ke option par click karna hai.
- Ab apko Add Widget par click karna hai uske baad apko HTML/Javascript ko select karna hai.
- Ab aapko hum niche kuch code de rahe hai un codes ko apko copy karke yaha paste kar dena hai.
- Fir uske baad save button par click kar den.
Picture ko follow kare
Aapko ye code copy karna hai
<script type='text/javascript'>if (typeof document.onselectstart != "undefined") {document.onselectstart = new Function("return false");} else {document.onmouseup = new Function("return false");document.onmousedown = new Function("return false"); }</script>
Yah sab kar lene ke baad apko Save Managment par click karna hai. thodi der ruk kar apko View blog par ja kar yah dekh lena hai ki kya apke blog par copy paste disable hua ki nahi. Dosto agar apko is post me kuch samajh nahi aaya ya fir apko copy paste apne blog par disable karne me koi dikkat ho rahi hai to aap niche comments karke humse puchh sakte hai.
Blogspot Me Country Specific Redirect URL Ko Kaise Band Kare
Umeed hai dosto ki apko humara yah article pasand aaya hoga. agar apko humara yah post pasand aaya to apne dosto ke sath ise social media par jarur share kare. iske sath hi humare blog ko subscribe bhi kar lijiye taki jab bhi koi nayi post publish ho to uski khabar apko mil jaaye.
0 comments:
Post a Comment