how to close country-specific redirect URL in Blogspot |
Dosto aaj ki post me hum apko batane ja rahe hai ki blogspot me country specific redirect url ko hum kaise band kare. lekin usse pahle hume yah jaan lena chahiye ki country specific redirect url ka matlab kya hota hai.
Dosto jab bhi hum search engine me koi xyz.blogspot.com ko search karte hai india me to wah xyz.blogspot.in me open hota hai. iska matlab yah hai ki blogspot par bane sabhi blog alag alag desho me waha ke country level domain ke hisaab se open hote hai.
agar aap isi xyz.blogspot.com ko pakistaan me search karenge to wah kuch is tarah xyz.blogspot.pk me open hoga .pk pakistan ka country level domain code hai. isi tarah duniya bhar me jitne desh hai un sabhi desho ke apne apne country specific domain hote hai.
Blogspot Blog Ka Login Email Address Kaise Change Kare
Blogspot par bana blog alag alag country me waha ke domain level par open hota hai. ab hume iske fayde bhi hai or bahut se nuksaan bhi aise me prashn yah uthta hai ki kya hume apne blog ke country specific domain ko block kar dena chahiye ya fir ise on hi rahne dena chahiye.
Dosto aakhir blogspot ne aisa kyo kiya yah prashn shayad aapke man main bhi utha hoga. dekhiye dosto blogspot aaj duniya ka sabse bada free blogging platform hai. or is aapke or meri hi tarah bahut saare logo ke blog hai. aise me google company ke liye in sabhi blogs ko track kar pana or inki suraksha kar pana thoda mushkil ho raha tha.
Isi ko dhyan me rakhte huye 2012 me google company ne blogspot ke liye country redirection specific domain service start ki jiski wajah se ab blogspot par bane har blog ko unki country ke hisaab se google track kar sakta hai. isse yah hua dosto ki jab hum blogspot.com ko jis desh me open karte hai.
Blog Title Se Pahle Post Title Ko Show Kaise Kare
Yah us desh ke county specific redirection domain main open hota hai. jaise ki agar aap blogspot.com ko america me open karte hai to yah blogspot.us me open hoga or agar aap use england me open karte hai to yah blogspot.uk me open hoga isi tarah se aap ise agar pakistan me open karte hai to yah blogspot.pk me open hoga.
Dosto ab aap shayad yah soch rahe honge ki kya hum is country specific domain redirection service ko apne blog ke liye band kar sakte hai ? ji ha dosto, aap Bilkul kar sakte ho. Aap Javascript ki help se country redirect specific domain ko stop kar sakte ho.
Is post hum aapko isi ke bare me bata rahe hai. Usse pahle hum aapko iske fayde or nukshan ke bare me btana chahte hai.
Blospot Country Redirect Specific Domain Ko Off Karne Ke Fayde Aur Nukshan
Alexa Rank: Iss country redirect specific domain service ki wajah se humare blog ki alexa ranking kam hoti rahti hai. kyoki iski wajah se humara domain alag alag country me alag alag domain ke sath open hota hai. jiska record alexa thik se nahi kar paata or humare blog ke main domain ko isse koi fayda nahi hota.
Social Effect: Dosto maan lijiye ki apke blog ko social share kiya jaata hai lekin yah share alag alag desho me hota hai. jiski wajah se aapke blog ka link bhi alag alag redirection domain me hoga. to aise me wah apke social share me nahi gina jayega. apka social share sirf xyz.blogspot.com par hi gina jayega. iska matlab yah hua ki apko social share ka sirf thoda sa hi fayda hoga.
Other Commenting Error: Agar aap apne blog par kisi dusre platform ka comments feature add karna chahoge to aapko usme bhi county specific redirect domain ke karan issue aayega.
Adsense earning problem: Kuch users ko aapke blog ka ountry level domain se open hona pasand nahi hai. Or na hi wo blog par advertising ko like karte hai. Jisse aapki AdSense earning low ho sakti hai.
Blogspot.com Country Specific Redirection Off Karne Se Kya Nukshan Hota Hai
Dosto agar aap blogspot.com par country redirection ko band kar dete ho to isse apko kisi tarah ka nuksaan nahi hai. lekin han itna jarur hai ki google apke blog ko fir jyada aasani se track nahi kar payega jaise abhi tak wah kar raha hai.
Blogspot.com Domain Par Alexa Rank Show Kyo Nahi Hota Hai
Agar apko aisa lagta hai ki country specific redirection ko band karne se apko traffic ka nuksaan hoga ya fir kisi bhi tarah ki security ka to yah apki galat fahmi hai. Aap kabhi bhi country level domain redirection ko stop kar sakte ho or kabhi bhi start kar sakte ho. Iske liye aapko bas apne blog me ek chota sa javasript code add karna hai.
Blogspot.com Ka Country Specific Redirect URL Kaise Off Kare
Sabse pahle dosto apko apne blog ke dashboard me jaana hai. uske baad apko theme option par click karna hai uske baad apko edit html par click karna hai. jisse apka pura blog html code me open ho jaayega.uske baad apko niche diye gaye code ko copy karna hai.
<script type="text/javascript">var blog = document.location.href.toLowerCase();if (!blog.match(/\.blogspot\.com/)) { blog = blog.replace(/\.blogspot\..*?\//, ".blogspot.com/ncr/");window.location.replace(blog); } // Source:</script>
Uske baad apko apne html box me kahi bhi Ctrl+F press karna hai. jisse ek search box open ho jayega fir usme apko <head> is code ko likh kar search karna hai. dosto jaise hi apko <head> code mil jaaye apko copy kiye code ko uske thik niche paste kar dena hai.
Blogspot Blog Me Error 404 Page Not Found Ko Custom Redirect Kaise Kare
Uske baad apko save button par click kar dena hai lijiye dosto ho gaya. ab apke blog par country specific redirection doamin off ho chuka hai. ab aapka blog humesha xyz.blogspot.com me hi open hoga. fir chahe apka blog india me open kiya jaaye ya fir pakistan me america me ya rassiya me apka blog humesha .com le sath hi ab open hoga.
Umeed hai dosto apko humara yah article pasand aaya hoga or apke liye kaafi helpfull bhi raha hoga. apne dosto ke sath humare is post ko social media par jarur share karen. isi tarah ki informational post padhne ke liye humare blog ko subscribe kijiye.
0 comments:
Post a Comment