Advanced SEO Settings Enable Kaise Kare Blogspot Blog Me ?

Md Danish Ansari
0
how to enable advanced SEO settings on your Blogspot blog

Dosto Advanced SEO settings blogspot ke har blog ki post me hota hai hume bas use activate karna hota hai. to dosto aaj ki is post me hum apko yahi batane ja rahe hai ki kaise aap blogspot blog me advanced seo settings enable kaise kar sakte hai.

Apne Blog Me Meta Tag Code Kaise Add Kare SEO Ke Liye

Sabse pahle dosto apko blogger.com par ja kar login karna hai. uske baad dosto apko apne blog ke dashboard me jaana hai. waha par apko settings ka ek option dikh raha hoga us par apko click karna hai.
Click karte hi niche or bhi option show honge jisme se apko search preference par click karna hai. uske baad apko custom robot.txt ke samne edit option par click karna hai. uske baad apko yes par tick kareke save par click karna hai.
Humne apke liye niche ek disha nirdesh ke liye chitra diya hua hai. apko bas unhi option par tick karna hai jo niche is chitra me dikhaya gaya hai. agar aap is puri post ko padhne ke baad ye sab kaam kare to jyada achha hoga. kyoki agar yaha koi bhi gadbadi hui to apka blog search engine me search hi nahi ho payega.

Domain Ke DNS cNAME Record Recover Kaise Kare

Upar picture me dikhaye anusar saare option par tick kar lene or fir settings ko save kar dene ke baad ab apka blog seo ke liye taiyaar hai lekin apka post abhi taiyaar nahi hai. kyoki abhi humne sirf apne blog ko seo ke liye advanced seo settings kiya hai blog ke har post ke liye nahi.

Blog Ki Har Post Me Search Preferences Kaise Enable Kare

Dosto ek baar jab aap blogspot setting me custom robot header tags ko enable kar lete hai. uske baad apko post option par jaana hai waha se fir apko NEW POST par click karna hai. ab aap right side me sidebar par custom robot tags ka option dekh sakte hai.
Custom Robot Tag ke option par click kijiye jaisa ki picture me dikhaya gaya hai. Dosto jab bhi aap apne blogspot ke blog par koi nayi post likhoge to aap is jagah se apne post ko kaise seo karwana hai wah sab kuch yahi se control kar sakte ho.

Blogger Blog के Footer में Pages के Link कैसे Add करें?

Lekin dosto agar aapko custom robot.txt tag ki puri jaankari nahi hai to humara sujhaav hai ki aap ise humesha ke liye default hi select rahne de. lekin agar apka blog blogspot par na hokar wordpress par hai. to dosto apko yah saari settings karne ki jarurat hi nahi hai.
Apko bas apne wordpress blog me Yoast SEO plugins ko install karke activate kar dena hai. baki ka saara kaam yoast seo plugins khud hi kar leta hai.

Advanced SEO Settings Robots.txt Files Meta Tag

Meta Tag Description : Dosto meta tag description humare blog ke liye bahut hi important hota hai. kyoki jab bhi koi user humare blog ko search karta hai to meta tag humare blog ke link ke niche show hota hai. jise user padh kar yah samajh jaata hai ki apke blog par kis tarah ki jaankari uplabdh hai.
Isi liye dosto meta tag description bahut hi soch samajh kar dalna chahiye kyoki isme aap sirf 150 character hi likh sakte hai isse jyada likhne par search engine un words ko index hi nahi karega. aab bas ye samajh lijiye ki apko kuch words diye gaye hai.

Blogger Blog में Static Pages Sitemap कैसे उपयोग करें

Or aap se kaha ja raha hai apko inme se wo words select karna hai. jo apke blog ko sabse jyada achhe tarike se samjhata ho. to bas dosto apko aise hi words isme likhne hai jo apke blog ke vishay or post ke sabse kareeb ho.
Jaise ki agar apka blog technology par hai to apko technology se juda likhna hoga. agar apka blog food par hai jaise indian food par to aap likh sakte hai all indian food receipy here aisa kuch. jaise ki main likhta hun apne blog ke liye ki internet ki puri jaankari hindi me.
To is tag line ko koi bhi padhne ke baad yah jaan sakta hai ki mere blog par kis tarah ki post hogi. apko bhi kuch aisa hi tag line likhna hoga jisse log yah jaan sake ki apke blog par kis tarah ke post honge.

Redirection Search Preference Ko Blogspot Par Kaise Use Karen

Custom Page Not Found Errors : Dosto jab bhi aap apne blog se koi post delete kar dete hai or koi user us post ko dhundta hai to search engine use error 404 page not found show karta hai. ab hume ise set karna hai is tarah se ki jab koi user kisi bhi post link ko search kare to yah sidha humare blog par redirect ho jaaye.

Blogspot Blog में HTTPS Mixed Content Error को Fix कैसे करें

Iske liye dosto apko niche diye code ko copy karke picture me dikhaye anusaar paste karke save par click kar dena hai.
<a href="http://yourpassion.in" target="_blank">Error 404 Page Not Found</a> <p>Aapke dwara search Kiya Gaya page abhi nahi mil raha hai. Please Visit<a href="http://yourpassion.in" target="_blank">home page</a> <a href="https://Facebook.com/yourpassion15" target="_blank">Contact on Facebook</a>.</p> 
Custom Redirect : Dosto yah option bahut hi kamaal ka hai kyoki agar aap chahte hai ki koi Kisi or site ko apni site par ya apni site par redirect karne ke liye ye feature bahut important hai. maan lijiye ki apke blog se koi page delete ho gaya hai. aise me aap chahte hai ki apke blog ke visitor us page par na ja kar balki kisi or page par chale jaaye to iske liye yah option sabse best hai.
Error 404 page ka pata lagane ke lie aap google webmaster tools par  Crawl Errors Links check kar sakte ho.
Custom Robot.txt : Blog SEO ka robots.txt feature ek most important part hai. Jisko aap bahut carefully use kare. Thodi si wrong setting se aapki site search engines se deindexing ho sakti hai. Robots.txt file ka upyog search engines se apne blog ke kisi part ko chipane (hide) karne ke liye kiya jata hai.
Iski ek khaas baat ye hai dosto ki agar aap apne blog ke kisi khaas content ko logo ko show nahi karna chahte to aap use custom robot.txt file ki madad se hide bhi kar sakte ho. jise kisi bhi user ko jo apke blog par visit karta hai use wah content show hi nahi hoga.
Custom Robot Header Tags : Dosto jyadatar naye blogger custom robot header tag ki settings se katrate hai. kyoki unke liye yah aisa lagta hai jaise ki yah bahut hi kathin kaam hai. lekin sach me dosto aisa nahi hai ha yah jarur hai ki agar aap iske bare me thik se nahi jante to yah aap ko confuse kar sakta hai.
Dosto agar apko bhi iski settings samajh nahi aa rahi hai to aap isi post ke upar se second picture me jo settings show ho rahi hai apko bhi bas waise hi settings karke save par click kar dena hai. fir bhi agar apko samajh me nahi aa raha hai to aap niche comments karke humse puchh sakte hai.
Is tarah se dosto aap blog ke dashboard me settings option ke sub-option Search Preference me ja kar yah sabhi settings complete kar lene par apka blog fully SEO ke liye ab taiyaar ho jayega. ab aap badhiye content ke sath apni post likhiye or use publish kar dijiye.
Hume umeed hai dosto apko humari yah post pasand aaya hoga. agar apka koi sawal hai to aap niche comments karke humse puchh sakte hai. iske sath hi dosto aap se request hai ki aap humare is blog ko apne dosto ke sath social media par share jarur karen.

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)

#buttons=(Ok, Go it!) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Check Now
Ok, Go it!