Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare ?

how to import blogger blog on wordpress

Namaste dosto svagat hai aap sabka humare blog yourpassion par dosto jaisa ki aap upar title padh ke hi samajh gaye honge ki aaj ka humara topic kya hai. blogger blog ko wordpress me transfer kaise kare.
Dosto waise to blogspot blog shuruaati blogging karne ke liye sabse best hai. kyoki is platform par kaam karte huye aap bahut kuch sikh jaate hai jo aage chal kar apke bahut kaam aate hai.

Advanced SEO Settings Enable Kaise Kare Blogspot Blog Me

Fir chahe wo html coding se related ho ya widget layout ya fir dusri tarah ki settings. blogspot sikhne or sikhane ke liye sabse best option hai meri nazar me. lekin dost agar aap blogging continue or serriously karna chahte hai to fir aap ko koi dusra platform dhundna chahiye.
To apke blog or website ke liye sabse best option ab hoga wordpress. wordpress is liye dosto kyoki jyadatar website or blog wordpress par hi banayi jaati hai. iske sath hi isme apko kisi tarah ki coding nahi karni saara kaam plugins ke kamaal ka hota hai.
Blogspot hume is liye bhi chhodna padta hai dosto. kyoki yah puri tarah se google ke control me hota hai. ek tarah se kaha jaaye to aap google ka hi blog handle kar rahe hote hai. fark sirf itna hai ki us post ko likhne waale aap khud hote hai baki sabhi tarah ke control google apne paas hi rakhta hai.

Apne Blog Me Meta Tag Code Kaise Add Kare SEO Ke Liye

Isi liye dosto agar aap blogging karna chahte hai wo bhi thoda paisa laga kar to wordpress apke liye sabse best option hai. lekin agar aap free me hi blog bana kar usse money earn karna chahte hai to aap blogspot par hi bane rahe yah sabse best option hoga fir aapke liye.
Aaj is post me hum apko yah batayenge ki kaise aap apne blogspot par bane blog ko wordpress par bane naye blog me import kar sakte hai. agar aap ne soch hi liya hai ki ab aap aage ki blogging wordpress par karenge to fir yah post pura padhe.

Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare: Migrate Your Blog

Iske liye dost apko sabse pahle apne blog ke dashboard me jaana hai. fir uske baad settings par click karke Other ke option par click karna hai. uske baad apko Back Up Content ke option par click karke apne blog ka pura content ka back up download kar lena hai. jaisa ki niche picture me dikhaya gaya hai-
Import Your Blogspot Blog To WordPress :
Dosto ab agar aap ne apne blogspot blog ka backup le liya hai to apko apne wordpress ke account me login karna hai. apne wordpress blog me login karne ke baad apko Tools par click karke Import par click karna hai.

Domain Ke DNS cNAME Record Recover Kaise Kare

Uske baad apke samne ek interface open hoga usme se apko Blogger par install par click karna hai. jaisa ki niche chitra me dikhaya gaya hai
Ek baar jab apke wordpress me bogger plugin install ho jayega. uske baad apko Activate Plugin & Run Importer par click karke is plugin ko activate kar lena hai. Jisme wah aap se apke blog ka backup file upload karne ke liye kahega.

Blogger Blog के Footer में Pages के Link कैसे Add करें?

Apko choose file par click karke apne computer me save blogspot blog ke backup file ko select karke import par click karna hai. ab uske baad apka backup file wordpress me import hone lagega. dosto is kaam me thoda sa waqt lag sakta hai, kitna waqt lagega ye apke blog ke backup file ki size par depend karta hai.
Dosto ek baar jab apke wordpress me blogspot blog ki backup file import ho jaati hai. tab aap ke sabhi post show hone lagenge aap ise apne man chaahe tarike se use kar sakte hai. apki sabhi post comments sab kuch yahan import ho jayega or aap un sabhi ka use kar sakte hai apne wordpress ke liye.

Blogger Blog में Static Pages Sitemap कैसे उपयोग करें

Umeed hai dosto ki apko yah post achhe se samajh aa gaya hoga or aap ne successful is kaam ko pura kar liya hoga. Agar apko kisi tarah ka sawal puchhna hai ya apko apne blogger blog ko wordpress par import karne me koi dikkat aa rahi hai to aap niche comments karke hume bata sakte hai.

0 comments:

Post a Comment