how to recover domain dns or cname record |
Dosto is post ke mamle me main apko kisi or ka example nahi dunga balki khud ka hi dunga. jab maine shuru me blogging shuru kiya tha to main blogging ka b bhi nahi janta tha. Shuruaat me maine bahut si galtiya ki un galtiyon se sikhta gaya or aaj aap sabke sath apne unhi galtiyon se sikhe gyan ko share bhi kar raha hun.
Blogger Blog के Footer में Pages के Link कैसे Add करें?
Jara sochiye dosto agar mujhse yah sab galtiya na hoti to kya main apko yah sab aaj bata paata. nahi na kyoki mujhe to khud in sab ka gyan galtiyan karne ke baad hi hua hai. han yah jarur hai ki kuch galtiya sudhari nahi ja sakti lekin dosto jyadatar galtiya hum apni sudhaar sakte hai.
Shayad isi liye kaha jaata hai jo bhi hota hai thik hi hota hai. bhale hi wah baat hume us waqt samajh me hume na aa rahi ho jab wah sabhi ghatnaaye humare sath ghat rahi ho lekin aage chal kar hume samajh aane lagta hai ki are mere sath yah hua tha or uski wajah se aaj mujhe kya fayda hua hai.
Blogger Blog में Static Pages Sitemap कैसे उपयोग करें
Thik isi tarah se hum apni galtiyon se sikhte hai or is blog par jo bhi post hai ya to wo meri galtiyon se sikha hai ya fir khud se to main aapse yahi kahunga dosto ki galtiya karna buri baat nahi balki apni ki gayi galtiyon se kuch na sikhna bura hai. aaj ki post me hum jaanenge ki How To Recover Domain DNS or CNAME Record ?
DNS CNAME Recode Kya Hai ?
Dosto agar aapne kabhi blogger par kaam kiya hai ya aap ka bhi Blogger.com par account hai or aap blogging karte hai to aap yah achhe se jante honge ki kisi bhi blog ya website ke liye uska dns or cname recode kitna jyada mayne rakhta hai.
Blogspot Blog में HTTPS Mixed Content Error को Fix कैसे करें
Agar yah recode apke blog ya website ya hosting provider ke recode se delete ya remove ho jaaye to fir apka blog ya website search engine me search hi nahi hoga. kyoki search engine apke blog or website tak bagair DNS or CNAME recode ke pahunch hi nahi sakta.
Isi liye har blog or website ka apna ek unique DNS or CNAME recode hota hai. agar aap apne blog par custom domain add kar rahe hai to blogspot apko custom domain add karte waqt apko chaar code deta hai. jisme se do DNS hai to do CNAME recode hai.
In dono hi code ko apko apne domain provider jahan se aap ne domain kharida hai wahan ja kar apko ye dono code add karne hote hai DNS manage me ja kar. aap niche picture me dekh sakte hai ki Blogger ka DNS or CNAME recode kaise dikhta hai.
Agar Blogger Blog Ka DNS or CNAME Recode Delete ya Remove Ho Jaaye To Kya Karen ?
Sabse pahle dosto apko apne google webmaster tool par jana hoga waha apke sabhi domain ki verification ki list hogi. ab apko jis domain ka cNAMEs Record code pata karna hai uske samne verification details wale option par click kijiye.
ब्लॉगर पर पोस्ट पब्लिश करने के बाद यूआरएल चेंज कैसे करें
Uske baad dosto apke samne ek naya page open hoga jisme apke domain ki verification ki details hogi. ab aapko apne domain ko unverify Karna hai iske liye dosto niche dekhiye apke email address ke thik samne me ek unverify ka option show kar raha hoga us par click kijiye.
Yah kar lene ke baad dosto apko wapas apne blog par jaana hai or fir apne dashboard me apko jaana hai. dashboard me jaye fir settings par click kijiye fir uske baad apko apne blogger domain ke niche + Setup a 3rd party URL for your blog option par click kijiye.
Ab apko apna custom domain add karna hai jo bhi aap ne pahle se kharid rakha hai. yaad rakhiye dosto domain add karte waqt apko https:// ya http:// ka use nahi karna hai balki apko sidha www.yourdomain.coom likhna hai.
Domain daalne ke baad jaise hi aap save button par click karenge apko blogger se DNS or cNAMEs ke Code fir se mil jayenge. To dekha dosto is tarah se aap badi hi asaani se apne delete or remove huye blog ke DNS or cNAMEs ke recode ko fir se haasil kar sakte hai.
Umeed hai dosto apko humara yah post pasand aaya hoga agar aap isi tarah ki informational post padhte rahna chahte hai to please humare blog ko subscribe kijiye. iske sath hi humare blog ko apne dosto ke sath social media par share karen.
0 comments:
Post a Comment