Apne Blog Me Meta Tag Code Kaise Add Kare SEO Ke Liye ?

how to add meta tag code for SEO on your blog

Dosto agar aap ek blogger hai or blogging karte hai to apko yah pata hona chahiye ki meta tag code kya hai or iska kitna jyada mahatva hai. sabse pahle dosto main apko yah bata deta hun ki meta tag code kya hai.
Dekhiye dosto jab koi vyakti search engine par kuch search karta hai to wah usme jo word search karta hai. wo word search engine sabhi website me dhundta hai or jis website blog ya post me wo word maujud hote hai. search engine unhi website blog or post ko search result ke taur par show karta hai.
To kahne ka matlab yah hai ki meta tag ek tarah se apki website ka pahchan patra hai jisme bahut saare chhote bade words hote hai jinhe hum keyword bhi kah sakte hai. Blogspot Blog me Meta Tag Code kaise add kare SEO Ke Liye chaliye jante hai.

Domain Ke DNS cNAME Record Recover Kaise Kare

Dosto agar aap wordpress use karte hai to apko yoast seo plugins ke baare me to pahle se hi pata hoga. kyoki sabse jyada log isi plugin ko apne blog or website ke liye use karte hai. ye aapki post ko SEO ke hisab se optimize karta hai or aapki post google ya other search me 1st number par show hoti hai.

How To Add Meta Tag Code in Our Blogspot Blog

Total mila kar kaha jaaye to meta tag ka kaam hai apke website ki ranking badhana taki apke blog par jyada se jyada visitor pahunch sake. lekin yah sab tabhi sambhav hai jab apki website blog post sab kuch search engine me achhe tarike se optimize ho. agar aisa nahi hota to fir chahe aap jitna achha content apni website par kyo naa daal de apka blog rank nahi karne wala.
Blogspot or wordpress me yahi sabse bada antar hai ki blogspot me har kaam apko khud se hi karna hota hai. lekin iska ek fayda yah bhi hota hai ki isse aap bahut kuch or bahut jyada kuch sikh lete hai. jabki wordpress ek suvidhajanak platform hai jahan apko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai.

Blogger Blog के Footer में Pages के Link कैसे Add करें?

Na to apko kisi tarah ki coding ke chakkar me padna hai ot na hi koi pechida settings ke, lekin iska sabse bada ghata bhi yahi hai ki yah hume sabhi suvidhaye plugins ke roop me de deta hai apko kuch karna hi nahi padta. bas plugins install kijiye use activate kijiye or use kaam par laga dijiye.
Apne topic par wapas aate hai to aaj ki is post me main apko yah batane ja raha hun ki aap apne blog me meta tag code kaise add kar sakte hai.

How to add meta tag code in blogger

Dosto sabse pahle aapko apne blog me login hona hai iske liye aap blogger.com par ja kar login kar lijiye. uske baad dosto apko apne dashboard me jaana hai or waha par theme option par click karna hai. uske baad apko Edit HTML par click karna hai.
Edit HTML par click karte hi apke samne apke blog ka html page ya coding puri open ho jayegi. ab aapko dosto niche diye gaye html code ko apko copy karna hai dhyaan rahe apko yah kaam savdhani purvak karna hai. agar aap naye hai to yah kaam jaldibaaji me na karen.

Blogger Blog में Static Pages Sitemap कैसे उपयोग करें

<b:if cond='data:blog.pageType == "index"'>
<title><data:blog.pageTitle/></title>
<title><data:blog.pageName/> - <data:blog.title/></title>
<b:else/> </b:if>
<meta expr:content='data:blog.metaDescription' name='description'/>
<b:if cond='data:blog.metaDescription != ""'>
<meta content='noindex, nofollow' name='robots'/>
</b:if> <b:if cond='data:blog.pageType == "archive"'> <b:else/>
<meta expr:content='data:blog.title' name='keywords'/>
<b:if cond='data:blog.pageType == "index"'> <b:if cond='data:blog.url == data:blog.homepageUrl'>
<b:if cond='data:blog.pageTitle != data:blog.title'>
<meta content='index, follow' name='robots'/> </b:if> <b:else/> <meta expr:content='data:blog.pageName' name='keywords'/> </b:if>
<meta content='BING VERIFICATION CODE' name='msvalidate.01'/>
</b:if> <meta content='GOOGLE VERIFICATION CODE' name='google-site-verification'/> <meta content='ALEXA VERIFICATION CODE' name='alexaVerifyID'/> <meta content='about your blog' name='distribution'/>
<meta content='general' name='rating'/>
<meta content='your site keywords' name='keywords'/> <meta name='author' content='author's name'/> <meta name='email' content='author's email'/> <meta content='all' name='audience'/> <meta content='noodp,noydir' name='robots'/>
</b:if>
<meta content='author's language' name='language'/> <meta content='author's country' name='country'/> <meta content='Facebook id' property='fb:admins'/>
<meta content='Twitter id' name='twitter:site'/>
Upar diye code ko copy karne ke baad apko apne blog par wapas jaana hai or waha html code me apko click karke Ctrl+F press karna hai jisse ek search box open hoga. usme aap ye code search karen <head> is code ko search karne ke baad is <head> ke niche apko copy kiye huye code ko paste kar dena hai.
itna sab kar lene ke baad dosto ab apko kuch edit bhi karna hai. iske liye sabse pahle apko code se dhyan purvak dekhna hoga. usme bich bich me main kuch samanya text likhe hai ki kis jagah par apko kya karna hai. jaise ki google verfication code yah sab kuch apko apna link or code dekar pura karna hoga.

Blogspot Blog में HTTPS Mixed Content Error को Fix कैसे करें

Apko kya kya edit karna hai
( 1 ) Sabse pahle apko isme apne google search console ki id dalni hai. dosto jab aap google search console me apni website or blog ko verify karte hai to us waqt google search console ki taraf se apko ek id prapt ho jaati hai.
( 2 ) Bing verification code ki jagah par apko bing console ki id dalna hai. iske liye apko bing webmaster tool par jaana hoga.
( 3 ) Uske baad dosto aap ko apni website ki alexa ranking wali id ka code dalna hoga. agar aap ne abhi tak apni website ko alexa me rank nahi karwaya hai to aap pahle wah kar len.
( 4 ) Facebook or Twitter ki jagah par apko apne facebook page agar aap ne banaya hai to uski id ko add kijiye agar nahi to fir apne facebook profile ki id ko add kijiye. thik aise hi apni twitter profile ki id ko bhi aap copy karke paste kar sakte hai.
( 5 ) Dosto yah sab kuch ek baar safalta purvak kar lene ke baad apko yah dekh lena hai ki sab kuch sahi se hua hai ki nahi kahi koi code chhut to nahi gaya.
( 6 ) Sab check kar lene ke baad ab aapko save theme par click kar dena hai. jisse apke dwara ki gayi sabhi coding apke blog ke theme me save ho jaaye.
To dosto is tarah se aap apne blog par meta tag code ko add kar sakte hai. jiski wajah se apki website ka seo achhe se hoga or sath hi apki website or blog search engine me achhe se optimize honge. jisse apke website or blog ki ranking me sudhaar hoga or traffic me vriddhi bhi hogi.

ब्लॉगर से सब्सक्राइब पोस्ट कमेंट्स (एटम) को रिमूव कैसे करें

mujhe umeed hai dosto ki apko yah post pasand aaya hoga. isi tarah ki informational post padhte rahne ke liye humare blog ko subscribe kijiye. iske sath hi humare is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share karen.

0 comments:

Post a Comment