how to enable free https security on your blogger blog |
Namaste dosto jaisa ki aap sabhi jante hai ki is waqt humara blogspot par ek pura series chal raha hai. jisme hum blogspot or blog se jude sabhi jaankari aap ke sath share kar rahe hai. how to enable https security to blogspot blog in hindi.
Dosto aap ne pata nahi gaur kiya hai ki nahi ki jab bhi aap search engine me koi website ya blog open karte hai to apke samne wah ya to https:// ke sath open hota hai ya fir wah http:// ke sath open hota hai.
Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare
HTPPS (Hyper-text transfer protocol) S (secure) yahan S ka matlab hai ki yah website ya blog puri tarah se surakshit hai. iska matlab yah hai ki aap isme koi bhi personal data de sakte hai. yah chori nahi hoga lekin agar koi website bina https ke open hoti hai. to iska matlab yah hai ki wah ek open source hai.
Jisme se koi bhi bada hacker badi hi aasani se apke data ko chura sakta hai. isi liye dosto aaj kal jyada se jyada website or blog apne website or blog ko safe banane ke liye SSL certificate kharidte hai. agar aap ne koi custom domain kharida hai to domain provider ne apko bhi ssl certificate kharidne ke liye suggest kiya hoga.
Advanced SEO Settings Enable Kaise Kare Blogspot Blog Me
Dosto agar aap hume blog ke url ko dekhe to aap payenge ki humara blog ka url bina https ke open hota hai. iski wajah yah hai ki humne apne blog ke liye ssl certificate nahi liya hai. iski wajah yah hai dosto kyoki humara blog sirf apko sikhane ke liye isme kisi tarah ka koi personal data nahi hai.
Yahi wajah hai ki agar koi hacker humare blog ko hack bhi kar leta hai to use humare blog post ke alawa or kuch bhi nahi milega. agar wah humare blog post ko delete bhi kar deta hai to hume koi fark nahi padne wala kyoki humare blog ka backup daily save hota rahta hai.
Lekin dosto agar aap aisi website ya blog bana rahe hai jaha log apne personal data share karenge aapke sath. to yah jaruri hai ki aap apne user ke data ko surakshit rakhe iske liye apko ssl certificate kharid lena chahiye.
Apne Blog Me Meta Tag Code Kaise Add Kare SEO Ke Liye
Is post me hum yah janenge dosto ki hum apne blogspot par bane blog ke liye free me https security kaise or kaha se enable kar sakte hai. taki bhavishya ya vartman me koi bhi hacker humare blog ko kisi tarah ka nuksaan na pahuncha payen.
Google ne pahle se hi Blogger me free https secure diya hua hai. kyuki Blogspot google ki hi service hai. aap blogger par custom domain use nahi karte hai to siply apne blog me https enable kar sakte hai.
Iske liye dosto apko apne blogger ke account me login hona hoga. uske baad apko apne dashboard me jaana hai or fir waha se apko settings option par click karna hai. uske andar jitne bhi sub-option hoge wo sab apke samne aa jayenge.
Domain Ke DNS cNAME Record Recover Kaise Kare
Usme apko Basic option par click karna hai uske baad apke samne ek interface open hoga. apko niche scroll karke aana hai or HTTPS category ke samne agar No hai to apko uspar click karke Yes ko select karna hoga.
Lijiye dosto apke blog par ab https security ab enable ho chuka hai. chaahe to aap ek baar apne blog ke url ko open karke check bhi kar sakte hai. lekin dosto isme ek note karne wali baat yah hai ki agar aap blogspot ke apne blog par custom domain ka use kar rahe hai to aap https security ko enable nahi kar sakte.
Blogger Blog के Footer में Pages के Link कैसे Add करें?
Umeed hai dosto apko humara yah post achhe se samajh aa gaya hoga. agar apko kahi dikkat hoti hai to aap niche comments karke humse sawaal punch sakte hai. Dosto humara yah blog abhi naya hai isi liye aap sab se request hai ki aap humare is blog ko apne dosto ke sath social media par share jarur karen.
Ssl certificate - Buy SSL in Singapore - Digital Certificate Authority SSL Certificates. IT Solution Singapore assist you in providing compliance services in purchasing.
ReplyDelete