blogspot blog ko wordpress par transfer karne ke baad kya kare |
Namaste dosto aap me se bahut se aise blogger honge jo apni blogging ki shuruaat blogspot platform se ki hogi. blogspot platform un sabhi logo ke liye achha hai jo abhi blogging ki duniya me naye hai.
Bahut se blogger aise hai jo apko yah suggest karte hai ki aap wordpress se blogging karna shuru karen. kyoki yah istemal karne me asaan hai, unki yah baat sach bhi hai dosto.
What to do after blogspot blogs transfer to WordPress Full Guide in Hindi
Lekin agar aap meri baat manenge to main apko blogging karne ke liye blogspot ko suggest karunga agar aap blog ki duniya me naye hai to iski sabse badi wajah hai. blogging or blog ko lekar apki jaankari ka adhura ya fir kam gyan hona.
Blogspot Blog Ke Liye Free HTTPS Security Enable Kaise Kare
Dosto agar aap blogging me naye hai to aap ko blogspot se shuruaat karni chahiye. kyoki jab aap blogspot par apna blog banate hai to apke samne bahut saari chunauti khadi ho jaati hai jise apko hi thik karna hota hai.
Jo log blogging ko lekar serious hai wo un sabhi chunauti ko swikaar karke sabhi ka hal karte hai. aisa karne se ye hota hai dosto ki wo blog or blogging ke baare me bahut kuch alag alag jaankari unhe prapt hoti hai. wo html coding ko samajhne lagte hai.
Maine jyadatar blogger ko blogspot se shuru karte huye dekha hai or unme se jyadatar logo ka yahi kahna hai ki agar aap blog or blogging ke baare me sikhna chahte ho to apko blogspot par blog banana chahiye na ki wordpress par.
Ek baar jab apko blogspot par blogging se jude sabhi tarah ki knowledge ho jaaye to aap apne usi blog ko wordpress par import kar sakte ho. iska matlab yah hua ki apke blogspot par bane blog ke saare post bekaar nahi huye balki ab wo wordpress par transfer ho jaayenge.
Agar aap janna chahte hai ki apne blogspot blog ko wordpress me kaise import kare to apko yah article jarur padhna chahiye. ab sawaal ye hai dosto ki ek baar jab apko blogspot par bana blog wordpress par transfer ho jaata hai to apko kis tarah ki settings karne ki jarurat padti hai.
Jisse apke blog ka traffic kam na ho balki or bhi jyada wah badhne lage. to aaj humara article isi subject par base hai aap isi post ko shuru se lekar aakhri tak padhe taki apko sab kuch sahi se samajh me aa jaaye.
Blog Ko WordPress Par Transfer Karne Ke Bad Kya Kya Setting Kare
Redirection:
Dosto wordpress par blogger blog ko transfer karne ke baad sabse pahla kaam hota hai. apne blogger blog ko wordpress par redirect karna, aisa na karne par apke pahle blog ke kisi bhi post ke link ko jab bhi koi user open karne ki koshish karega to use Error 404 page not found show karega.
Jisse apke blog ki ranking bhi gir sakti hai or sath hi traffic bhi. isi liye yah jaruri hai ki aap wordpress par apne blogger blog ko redirect kar lo.
1 ) iske liye apko sabse pahle apne blogger blog me login karna hai.
2 ) Uske baad apko apne blog ke dashboard me jaana hai or waha theme option par click karna hai.
3 ) Ab aapke samne apke blog ka theme show hoga uske niche Edit HTML option par click kijiye. Jisse apka blog html code me open ho jaayega.
4 ) Uske baad apko niche diya gaya code copy karke apne blog ke theme me <head> ke niche paste kar dena hai or fir niche diye code me se mere blog ke url ko hata kar apko apne wordpress ke blog ka url dena hai fir save theme par click kar dena hai.
<meta content='0;url=http://yourpassion.in' http-equiv='refresh'/>
5 ) Lijiye dosto ho gaya aapka blogspot par bana blog redirect wordpress par, ab jab bhi koi apke blogspot par bane blog ko search karega to wah sidha apke wordpress wale blog par ja pahunchega.
Post Permalinks:
Dosto blogger par bane blog ke post ke permalinks or wordpress ke post ke permalinks ek dusre se bahut alag hote hai. isi liye post permalinks ko change karna jaruri hai. aap wordpress par permalinks ko jaise chahe waise set kar sakte hai.
Advanced SEO Settings Enable Kaise Kare Blogspot Blog Me
Iske liye dosto apko sabse pahle apne wordpress ke dashboard me jaana hai. fir uske baad apko settings par click karne ke baad apko permalinks par click karna hai. custom stucture ke samne /%postname%/ add kare ya fir aap apne hisab se permalinks set kar sakte hai.
Edit Internal Links:
Dosto jab hum blogger par apne blog likhte the to us post ya article ke me kuch links dete the kisi or post or page ka jise hum internal links kahte hai. in sabhi internal links me apke blogger ke date or html code abhi bhi hote hai. isi liye inhe sudharna jaruri hai kyoki jab bhi koi visitor apke wordpress blog par aake inhi me se kisi link par click karega to use Error 404 page note found show karega.
In links ko aap jitni jaldi ho sake resolve kar le taki aapke reader ko post read karne me problem na ho warna new user aapki site ko leave karna shuru kar denge.
Post Image:
Dosto jab hum Blogspot blog ke backup ko wordpress par install karte hai to bahut se post ki image waha transfer nahi ho paati ya fir wo crack ho jaati hai. isi liye hume apne un sabhi post ke image ko fir se add karna hota hai jo post me show nahi kar rahi hoti. aisa karna jaruri hai kyoki image content me major role play karte hai.
Apne Blog Me Meta Tag Code Kaise Add Kare SEO Ke Liye
Dosto hum yaha ek baat note karna chahte hai ki agar apki bahut saari image import nahi ho pa rahi wordpress par to apko koi dusra blogger importer plugins ka use karna chahiye blogger ki jagah par.
Set Up Yoast SEO Plugins:
Blog ko Google, Bing, Yahoo and other search engines me submit karne ke liye aapko google webmaster tool, bing webmaster, yandex webmaster tool and other webmaster tools ka verify code blog me add karna hota hai.
Yoast SEO plugin aapko WordPress blog ko complete SEO setup karne ke features offer karta hai. I sure ise ache se install karne ke bad aapko all search engines se behtar results milega or aapki site par jyada organic traffic aayega.
Domain Ke DNS cNAME Record Recover Kaise Kare
Dosto agar apko yah article pasand aaya to ise social media par apne dosto ke sath jarur share karen. iske sath hi agar aap ne abhi tak humare blog ko subscribe nahi kiya hai to humare blog ko subscribe kar len. jisse har nayi post ki notification apko milti rahegi.
0 comments:
Post a Comment