Blogspot Blog Me Default Hyperlink Color Change Kare ?

how to change Blogspot blog default hyperlink color

Hello, Dosto aap sab ne dekha hi hoga jab aap apne blog post me koi link add karte hai to wah ek hi color me sabhi jagho par add hoti hai. jaise ki jyadatar yah blue color me show hota hai. lekin dosto har blogger ka yah sapna hota hai ki uska blog best ho.

How to add a pin it hovers button in Blogger image in Hindi

Hyperlink coloy kya hai ? dosto jab hum apne blog me kisi post ke andar koi link add karte hai. To wah kisi ek color me hi show hota hai us color ko hi hyperlink color kahte hai. kya hum apne blogger me apni pasand ka color hyperlink me use kar sakte hai.
What is Default Hyperlink Color?
Dosto blog me jab hum koi post likhte hai or us post me kisi or dusre post ka link add kare hai. to use hyperlink kahte hai or wah hyperlink jis color me hume show hota hai use hum hyperlink color kahte hai. Dosto chuki blogspot google ki hi ek by product hai jo free hai isi liye isme aapke liye limited option hote hai.
Isi liye har blogspot blog me hyperlink ka color ek jaisa hi hota hai. lekin dosto agar hum chahte hai ki humara post or blog dono hi dusre blog se alag dikhe khubsurat dikhe to hume apne hyperlink ka color change kar dena chahiye.
Use Default hyperlink color on your blog?
Sabse pahle dosto apko apne blog me login karna hai uske baad apko apne blog ke dashboard me jana hai. Fir waha se template yani theme option par click karna hai or fir Edit HTML par click karna hai. Jisse apka blog html code box me html code ke roop me open ho jayega.

Blogger Menu Bar Ko Edit Kaise Kare

Dosto itna kar lene ke baad apko apne html code box me kahi bhi click karna hai or Ctrl+F press karna hai. Jisse ek search box open ho jayega usme apko “Visited” Code ko search karna hai. Visited ke milte hi ab aapko usme apne blog ke hyperlink ka color change karna hai.
Iske liye dosto apko Visited ke baad jo color code hai uski jagah aapko apna color code rakhna hai. agar apko nahi pata ki color code kaha se pata kare to yah kaam aap apne blogspot blog se hi kar sakte hai. Blogger Me Default Hyperlink Color Kaise Use Kare
Iske liye apko back hona hoga or customize blog par ja kar waha apne blog hyperlink ke liye koi color code likh kar rakh lijiye. uske baad aap us code ko Visited code ke samne jo color code hai use hata kar uski jagah apna manpasand color code add kar de.

How to add Facebook popup like box to Blogger in Hindi

Dosto jaisa ki aap dekh hi sakte hai ki is chhote se step se aap apne blog ka hyperlink color humesha ke liye chanage karte ho. Agar apko kabhi ise fir se change karne ki jarurat pade to aap isi method ko use karke hyperlink color change kar sakte hai.
Umeed hai dosto apko yah artcle pasand aaya hoga or aapke liye kaafi helpful bhi raha hoga. agar aap ne humare blog ko subscribe nahi kiya hai to aapko humare blog ko subscribe kar lena chahiye. iske sath hi dosto humare blog ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare.

How To Use Custom Permalinks On Your Blogspot Blog in Hindi

0 comments:

Post a Comment