How To Use Custom Permalinks On Your Blogspot Blog in Hindi

how to use custom permalinks on your Blogspot blog

Dosto bahut se blogger blog banane ke baad usme post karte jaate hai. iske sath hi wo apne har post me permalinks bhi add karte jaate hai. lekin kuch waqt ke baad unhe mahsus hota hai ki humari permalinks kaafi badi hai. agar yah chhoti ho jaaye or ise hum customize kar de to humara blog or achche se seo ke liye taiyaar ho jayega.

Top 10 Killer Tips For Blog Post Full SEO Friendly in Hindi

Lekin sawaal ye hai ki hum blogspot blog me custom permalinks kaise use kare. Dosto is post me hum aapko yahi batane ja rahe hai ki kis tarah se aap apne blogspot blog me custom permalinks add kar sakte hai.

What is Custom Permalinks | Custom Permalinks Kya Hai ?

Dosto jab hum koi post likhte hai to us waqt hum apne blog or post ko jyada se jyada seo friendly banane ke liye. Apne post link ko edit karte hai taki google humare post ko jaldi or achche se seo kar le. isi liye dosto google ne hume custom permalinks apne blog post me use karni ki servide bhi deta hai. yah puri tarah se legal hai.

Blogspot Par Blog Banane Ke Baad Kya Kare

Sawaal ye bhi hai ki custom permalinks ki hume jarurat hi kyo hai? Dosto custom permalink se aap apne blog post ki link ko jyada se jyada chhota rakhne ki koshish karte hai. iska fayda ye hota hai ki aapke blog visiter yani user’s ko aapke blog post ka link badi asaani se yaad rah jaata hai. jise wo baad me bhi search karke sidhe aapke blog post tak pahunch sakte hai.
Custom permalinks banate huye aapko is baat ka khyaal rakhna hai ki link short karne ke chakkar me aap apne blog title se hi na hat jaaye. aapko aise keywords apne link me use karne hai jo apke post se related ho or internet par jyada se jyada search kiye jaate ho.

Blogger Post Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye

How To Set Custom Permalinks On Blogspot Blog in Hindi

Dosto jab hum blog par apna post likhte hai to humare post ke right side ke sidebar me aapko permalink ka ek option dikh raha hota hai. aapko bas usme ja kar apne mutabik apne post ka permalink short karke likh sakte ho. lekin aisa karte waqt aapko yah dhyaan rakhna hai ki keywords apke post title se alag na ho balki usse related hi ho.
Is tarah se aap apne blog post ko search engine me rank kara sakte ho or jyada se jyada traffic bhi earn kar sakte ho. Dosto aapko har word ke bich dash yani “-” ka use karna hai jaisa ki niche example me dikhaya gaya hai .
Example: set-permalink-on-blogspot-blog
Dosto permalinks banate samay aapko kuch baato ko yaad rakhna hai jaise-
aapko post ke url me har word ke baad dash ka use jarur karna hai.
  1. blog post ka url me apko small letter yani “a-z” ka use karna hai aap kabhi bhi capital letter yani “A-Z” ka use na kare.
  2. dosto apko is baat ka bhi dhyan rakhna hai ki url me apko numbers use nahi karne hai. number ka use apko tabhi karna chahiye jab yah bahut jyada jaruri ho.

Blogspot Blog Me Meta Tag Description Code Kaise Add Kare

Dosto upar bataye gaye sabhi steps ko follow karke aap apne blog post me permalinks set kar sakte hai use edit karke short form me likh sakte hai. isse apka blog search engine me jaldi seo ho jayega jisse apke blog ki rank bhi badhegi or traffic bhi or agar aap google adsense ka use kar rahe hai to aapki earning bhi badhne lagegi.
Umeed hai dosto aapko humara yah post pasand aaya hoga or yah aapke liye helpful bhi raha hoga. isi tarah ki post padhne ke liye aap humare blog ko subscribe kar lijiye. iske sath hi is post ko apne dosto ke sath jarur kijiye. dosto agar aapka koi sawaal hai to niche comments karke aap puchh sakte hai.

Blogspot Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye Full Guide in Hindi


0 comments:

Post a Comment