How to add pin it hover button in Blogger image in Hindi

pin it hover button blogspot par kaise lagaye

Hello, Dosto aaj hum sikhenge ki kaise aap apne blogger images me pin it hover button kaise add kare. Dosto is post ko pura padhe shuru se lekar aakhri tak har steps ko follow kijiye. agar aap ko nahi pata to hum aapko bata de dosto ki pinterest bhi facebook or twitter ki tarah social platform hai.

Blogger Menu Bar Ko Edit Kaise Kare

Jahan hum apne sabhi post ki photo ko upload karke unhe save kar sakte hai. sirf itna hi nahi aap us photo se related apne blog post ki link bhi jod sakte hai. jisse jab bhi koi pinterest user aap ke kisi bhi photo par click karta hai to wah sidha aapke us blog post par pahunch jaata hai.
Aaj hum dosto apko batane ja rahe hai ki kaise aap apne blog post ke sabhi image me hover pin it button add kar sakte hai. jisse jab bhi koi user aapke us blog post image par apna mouse lekar jayega. To use pinterest ka pin it button show hoga. Dosto us button par click karke koi bhi user jo pinterest ka use karta hai apke photo ko pinterest par share kar sakta hai.

How to add Facebook popup like box to Blogger in Hindi

Aisa karne se dosto aapka bhi fayda hai, kyoki jab koi user aapke blog post image ko apne pinterest account par save karta hai. ya use share karta hai to dusre pinterest user us image tak pahunch kar uske jariye aapke blog or website tak aate hai. isse apke website par traffic badhta hai or aapki website or blog bhi rank hone lagti hai.

What is Pinterest? | Pinterest Kya Hai?

Dosto jaisa ki humne upar apko bataya ki pinterest facebook or twitter ki tarah ek social platform hai. lekin dosto pinterest in dono se hi bahut alag bhi hai. pinterest par aap apne website blog ya apni persional pictures ko upload karte hai. un pictures ka aap album bhi bana sakte hai.

How To Use Custom Permalinks On Your Blogspot Blog in Hindi

Jaise ki maan lijiye aap ke paas apne college ke time ke ya school time ke bahut se photos hai. jinhe aap kisi surakshit jagah par save karke rakhna chahte hai. jisse agar kabhi aapke mobile se wo pictures delete bhi ho jaaye to aap use baad me download kar sakte hai.
Lekin dosto pinterest ki ek khaas baat yah hai ki chuki yah ek personal media platform hai. isi liye agar aap chahe to aap apni upload ki hui sabhi pictures ko public kar sakte hai ya fir ise sirf khud ke liye hi upload karke rakh sakte hai.

Blogger Image Me Pin It Button Kaise Add Kare?

Dosto sabse pahle aapko apne blog me login hone ke baad apko apne blog dashboard me jaana hai. uske baad apko template yani theme option par click karna hai. fir uske baad apko EDIT HTML par click karna hai.

Top 10 Killer Tips For Blog Post Full SEO Friendly in Hindi

blogger image me pin it hover button kaise add kare

Edit html par click karte hi aapka blog html code box me open ho jayega. uske baad apko code box me kahi par bhi click karna hai. fir uske baad apko Ctrl+F press karna hai, jisse ek search box open ho jayega.
Search box ke open hote hi aapko usme ye code search karna hai </body> is code ko search kijiye. uske baad dosto apko niche diye code ko copy karna hai or use </body> code se pahle yani upar paste kar dena hai.

Blogspot Par Blog Banane Ke Baad Kya Kare

class="lang:php decode:1 "><script>//<![CDATA[var bs_pinButtonURL =
"hhttps://4.bp.blogspot.com/-SaCJ0GHmO84/VgT0Wo9Zp6I/AAAAAAAAE-c/_wKxHcg5L-
8/s1600/ohmh.png";var bs_pinButtonPos = "center";var bs_pinPrefix = "";var bs_pinSuffix =
"";//]]></script><script
type='text/javascript'></script><script id='bs_pinOnHover'
src='https://ajax.googleapis.com/ajax/libs/jquery/1.8.2/jquery.min.js'
type='text/javascript'>// This Pinterest Hover Button is brought to you by bloggersentral.com.// Visit https://www.bloggersentral.com/2012/11/pinterest-pin-it-button-
src='https://greenlava-code.googlecode.com/svn/trunk/publicscripts/bs_pinOnHoverv1_min.js'
intact.</script>
on-image-hover.html for details.// Feel free to use and share, but please keep this notice
Is code ko paste kar dene ke baad dosto ab aapko isme kuch edit bhi karna hai. sabse pahle apko apna man pasand pin it button ka link add karna hai. iske liye dosto sabse pahle aap ek new tab open kijiye or search kijiye pin it Icon button google apko bahut saare pinterest ke button show karega jisme se apko without copyright wala button khojna hai.
How to add pin it hover button in Blogger image in Hindi

uske baad apko us button par click karna hai or fir share par click karna hai. apko us image ka link mil jayega us image ke link ko copy kijiye. ab wapas apne blog ke html code box me aaye or jo code hume upar paste kiya tha. us code me se apko niche dikhaya code hata kar us image ke copy kiye link ko add kar dena hai.
hhttps://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiVcwAUR0XLATn2qXtfLrPrN4PAltbnAgv4faV0Hl43NYnTOlUjBhLEsjMU44t8fq74Vo31JAYPEvdV_A7Lc0OW0kB7cQIxEM1uo2qfIhk821QmEpKVPIhNNSSykeSJImlJXEpsvRmBN3A/s1600/ohmh.png
Uske baad dosto apko save template par click karke apna blog setting ko save kar lijiye. Dosto lijiye ho gaya kaam pura ab aapke image par pin it button show karne lagega jab bhi koi user apke blog post ke kisi bhi image par apna mouse lekar jayega.
To use wahi button show karega jo aapne link se upload kiya tha code me. Umeed hai dosto apko yah post achche se samajh aa gaya hoga. agar aapko kahi pareshani hoti hai to aap humen niche comment karke bata sakte hai. hume aapki madad karke khushi hogi.
Dosto agar aapko humara yah article pasand aaya to please ise like kijiye share kijiye or subscribe kijiye. or ha ise apne dosto ke sath social media par jarur share kare.

0 comments:

Post a Comment