Blogger Menu Bar Ko Edit Kaise Kare ?

how to edit blogger menu bar

How To Edit Blogger Menu Bar in Hindi

Hello dosto agar aap ek blogger hai to aap yah achchi tarah se jante hai honge ki koi bhi user sirf aise blog ko hi pasand karta hai jiska look sabse hat kar or sundar ho. aap bhi jab google par search karke kisi bhi website par jaate ho to us website ka look se attract jarur hote hai. agar apko website attractive nahi lagti to aap jald jald apna kaam khatm karke waha se bahar nikalne ki koshish karte hai.

How to add Facebook popup like box to Blogger in Hindi

To dosto jab aap dusre ke blog or website se aisi umeed karte hai to jahir hai ki dusre log bhi aapke blog se aapki website se yahi umeed karte honge. lekin dosto blog ka look attractive ho jaane bhar se visitor apke blog par nahi thahrata balki use jo chahiye wo chij agar use badi aasani se aapke blog par mil jaati hai tab wah wahan rukta hai.
Isi liye dosto yah jaruri hai ki apke blog ke menu bar me sabhi tarah ke importent menu hone jaruri hai. jisse koi bhi user apne kaam ki post tak pahunch sake. lekin dosto blog ke menu bar me apni pasand ke topic select karne or use wahan add karne ke liye aapko coding ki knowledge honi jarui hai. aaj ke is post me hum aapko isi ke bare me batane ja rahe hai.

How To Use Custom Permalinks On Your Blogspot Blog in Hindi

Menu Bar Me Topic Kaise Add Kare:
Dosto apne blog ke menu bar me kisi bhi topic ko add karne ke liye apko sabse pahle apne blog me login karke apne blog ke dashboard me jana hai. uske baad apko template yani theme option par click karna hai or fir Edit HTML par click karna hai. ab apka blog html coding box me open ho jayega.
Ab aapke menu bar me jo bhi topic pahle se dale huye hai unme se apko kisi bhi ko search karna hai. search karne ke liye apko html box me kahi bhi click kijiye or Ctrl+F press kijiye. ek search box open hoga usme menu me pahle se add kisi topic ko likh kar search kar lijiye.

Top 10 Killer Tips For Blog Post Full SEO Friendly in Hindi

Ab apko apke blog ke html coding me menu bar ki coding kuch is tarah se show hogi. niche dekhiye-

Blogging

About Us

Sitemap

Blogging

contact Us

Dosto jaise hi apko yah code mil jaaye ab apko isme apni pasand ka topic add karna hai. jaise ki dosto code me aap dekh sakte hai ki blogging add hai to aap agar blogging ke jagah par koi dusra topic apne menu bar me add karna chahte hai to apko uska naam type kar dena hai.

Blogspot Par Blog Banane Ke Baad Kya Kare

Or usse thik pahle href=”#” me # ki jagah par apko us topic ka link add kar dena hai. aisa karne se apke blog ke menu bar me blogging ki jagah par apka dala hua topic show karega. jab koi user apki us topic par click karega to wah sidha aapke us post ya page par pahunch jayega jo link aapne “#” ki jagah par diya tha.
Aap example dekhiye:
Agar aap apne topic me label ko add karte hai or kisi label ka hi link add karte hai to wah kuch aisa dikhega.

socialmedia

Dosto aap upar ke example me dekh sakte hai ki humne menu bar ke topic me social media ke liye social media label ka link add kiya hai. lekin agar aap label ki jagah par categorys ka use karna chahte hai to bhi aap isi tarah se kar sakte hai. bas aapko us time link me label ka link dalne ke bajaye menu bar ke topic se jude category ka link add karna hoga.

Blogger Post Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye

Example For Page:
Dosto agar aap apne menu bar me page add karna chahte ho. jaise ki About us, Contact us, etc. to apko bilkul pahle ki hi tarah karna hai. apko topic ki jagah par page ka naam dalna hai. jaise humne blogging ki jagah par social media add kiya tha.

About Us

Uske baad apko us topic ke aage wale href=”#” me “#” ki jagah par us page ka link add karna hai. is tarah se dosto aap apne blog ke menu bar me page ko add kar sakte hai jaisa ki aap humare blog par upar ki tarf dekh sakte hai.
Dosto isi tarah se aap apne blog menu bar me apni pasand ki topic set kar sakte hai. bas apko topic add karna hai or topic se pahle “#” ki jagah par us topic ka link add kar dena hai. bas apko itna kar lene ke baad save template yani save theme par click kar dena hai.

Blogspot Blog Me Meta Tag Description Code Kaise Add Kare

Blog Menu Bar Me Category Kaise Add Kare:
Dosto aap ne dekha hoga ki bahut se blog or website me jab hum jaate hai or unke menu bar par click karte hai to uske niche drop down me kai or category yani ki sub menu open hote hai. Dosto menu bar me category ko add karke hum ek hi menu me kai category ko add kar sakte hai.

Category

Category 1

Category 2

Category 3

Category 4

Category 5

Dosto apko bas upar diye code ko copy karna hai or usme category ki jagah par jo bhi category aap add karna chahte hai uska naam yahan add kar dena hai. thik pahle ke page or label ki tarah or fir uske pahle href=”#” me “#” ki jagah apko us category ka link add kar dena hai jaise humne pahle kiya hai.

Blogspot Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye Full Guide in Hindi

Yah sab kar lene ke baad dosto apko save theme par click karke ise save kar lena hai. ab aap ek baar apne blog ko open karke dekhiye ki aap ne jo menu bar me topic add kiye hai wo show kar rahe hai ki nahi. agar wah show kare to fir apko us menu par click karke yah dekh lena hai ki aap ne jo category add ki thi wo bhi drop dwon me show kar raha hai ki nahi.
Umeed hai dosto apko yah post achche se samajh aa gaya hoga. agar aapko isme kahi dikkat hoti hai to aap hume niche comments karke puchh sakte hai. iske sath hi dosto humare is post ko apne dosto ke sath jarur share or ha blog ko subscribe jarur kar lijiye.

0 comments:

Post a Comment