how to use label in blogger for post categories |
Hello, Dosto aaj hum aapko batane ja rahe hai ki kaise aap apne blog me category laga sakte hai wo bhi apne lebels ke jariye. Dosto hum sabhi jante hai ki blogspot blog me post ko me category add karne ke liye category ka koi alag option nahi hota.
How to use labels in blogs for post Categories
Agar aap wordpress user hai to apko achche se pata hoga ki wahan par category ke liye alag se option bhi hota hai. uske sath hi aapki post ko label karne ke liye tag option bhi maujud hota hai. lekin dosto blogspot blogger me aisa nahi hai.
Blogspot Blog Me Default Hyperlink Color Change Kare
Blogger me aap apne post ko labels kar sakte hai lekin alag se category add karne ke liye koi option nahi hai. To dosto aaj hum yah sikhenge ki kis tarah se aap apne blog me labels use karne un label ki help se category create kar sakte ho.
What is Label? | Label Kya Hai?
Dosto jab hum koi post likhte hai to humne use apne blog par arrange bhi karna padta hai. jaise ki agar aap ne adsense par 20 post likhi hai or publish ki hai jo adsense se alag alag topic par hai. Fir bhi aapke blog par aane wale visitors ko yah kaise pata chalega ki adsense par kitni post aapke blog par maujud hai.
How to add pin it hover button in Blogger image in Hindi
Asaan tarike se kaha jaaye to blogger me labels ka kaam aapke har blog post ko arrange karna hota hai. isi liye dosto hume apni har post me label lagane ki jarurat hoti hai. ab agar aap apne blog par 5 alag alag subject par 50 post publish karte hai. or har 1 subject se related 10 post kam se kam hai to aapke un sabhi 5 subject par 10-10 post show karenge.
Blog Post Me Label Kaise Lagaye?
Iske liye dosto apko new post me jana hai fir apna article likhna hai. uske baad right sidebar me apko post settings ke niche labels ka option milta hai usme edit label par click kijiye. ab aapka post jis subject par hai us subject ka naam daal kar “,” coma add kar den. jaise ki
Adsense, Blogging, Blog, Online Earning, etc.
Dosto label use karte time ko apko is baat ka dhyaan rakhna hai ki label likhne ke baad apko COMA jarur lagana hai. tabhi aapka label create hoga warna nahi. dosto aap apne blogspot blog me jitne chahe utne label use kar sakte hai.
Blogger Menu Bar Ko Edit Kaise Kare
Lekin apko is baat ka dhyaan rakhna hai ki aapko anavashyak lable use nahi karne hai. aisa karne se user ko pareshani hoti hai jo aapke blog ke liye sahi nahi hai. iske sath hi aapke label chhote hone chahiye. jaise ki agar aap adsense ke bare me likh rahe hai to apko usme labels me sirf adsense hi likhna chahiye.
Aisa karne se user ko apke label ke naam se pata chal jaata hai ki. kis tarah ke naam wale labels me kis tarah ki post unhe milegi. iske sath hi label 2-3 shabdo se jyada bada nahi hona chahiye. iske sath hi aapko aise label use karne chahiye jo aapke us post ko 1-2 word me hi bata de ki kis tarah ki post usme maujud hai.
How to add Label Widget on Your Blogspot Blog?
Dosto jab aap label use karte hai to apke post me wah show karti hai lekin hum ek hi blog me kai tarah ke label use karte hai. in sabhi label ko hume kisi ek jagah par show karna jaruri hai. Taki aapke blog par aane wale user ko pata chal sake ki aapke blog me kis kis tarah ke subject par post maujud hai.
How to add Facebook popup like box to Blogger in Hindi
Is liye dosto label add karne ke liye apko sabse pahle apne blog ke dashboard me ja kar. wahan layout ka option milega us par click kijiye, uske baad apko add widget par click karna hai. aapke samne ek naya window open hoga. jisme se aapko LABEL widget par click karke use apne blog me add kar lena hai.
Labels ko Categorys KI Tarah Kaise Use Kare?
Dosto iske liye apko apne blog ke template par click karna hai. uske baad apko Edit HTML par click karna hai. uske baad aapka blog html code me open ho jayega, aapko us box me kahi par bhi click karke Ctrl+F press karna hai.
Ek search box open ho jayega ab aapko apne menu bar se related koi bhi ek word search karna hai. jab apko wah word mil jaaye to apko jo bhi category use karna hai us category ka naam yahan add kar dena hai. lekin yaad rahe dosto jo bhi aap category yahan dalenge wahi aapke blog me label ke taur par pahle se maujud ho or usme post bhi ho.
How To Use Custom Permalinks On Your Blogspot Blog in Hindi
Jab aap category add kare to apne label ka use kare. jaise ki mere blog par adsense ka label hai to main blog menu ke jagah par Adsense likh dunga. aapko usi ke samne href=”#” ka option dikhega aapko “#” ki jaga apne blog label ka link add kar dena hai,
Jaise ki main adsense label ko category ke roop me select karna chahta hun. To main likhunga Adsense or href=# ki jagah par apne us label se jude link ko add kar dunga. Uske baad save button par click kar dijiye.
Top 10 Killer Tips For Blog Post Full SEO Friendly in Hindi
Dosto ab jab koi bhi aapke blog menu me ja kar menu option me category par click karega to use apke blog me use kiye alag alag labels alag alag category ke taur par dikhaai degi. ummeed hai dosto aapko yah article achche se samajh aa gaya hoga.
Dosto agar aap ne abhi tak humare blog ko subscribe nahi kiya hai to subscribe kar lijiye. uske sath hi dosto humare is post ko apne social media par apne dosto ke sath jarur share kar rahe hai.
0 comments:
Post a Comment