how to change Blogspot blog login email address |
Namaskaar dosto jab hum log first time blog banate hai chahe kisi bhi platform pe to humse bahut saari galtiyan hona svabhavik hai. How to change blogspot blog login email address.
Aise main hum un galtiyon ko sudharte hai or unse sikhne ki koshish karte hai. unhi sab galtiyon me ek galti yah bhi hai ki bahut se naye blogger ek email address ke alava kai email address se blog banate hai.
Blog Title Se Pahle Post Title Ko Show Kaise Kare
Baad me hume apni galti ka ehsaas hota hai aise me hum apne blog ke email address yani log in id ko change karne ke liye sochte hai. aap aisa kar to sakte hai magar aapko yah dhyaan rakhna chahiye ki blogger apko aisa baar baar karne ki anumati nahi deta hai.
Lekin iske bawajud kuch emergency cases me aap aisa kar sakte hai. lekin hum aap ko yah pahle hi bata dena chahte hai ki aap apne blog ki login id tabhi change kare jab iski aapko sach me jarurat ho. Hum jante hai ki ye bahut aasan hai or aap iske bare me pahle se jante ho par naye blogger jinse ye mistake huyi hai. Unke liye ye post bahut kaam ki shabit hogi.
Blogspot.com Domain Par Alexa Rank Show Kyo Nahi Hota Hai
Blog Ka Primary Email Address Change Karne Ki Kya Jarurat Hai
Jab hum blogspot par blog banate hai to humare man me kai tarah ke sawaal or uljhane hoti hai. jiski wajah se hum apne original email address se blog na bana kar kisi secondry email address se blog banate hai. or baad me jab hum us blog ko continue karna chahte hai to aise me hum apna original email address apne blog me add karne ki sochte hai.
Iske or bhi bahut si vajah ho sakti hai jaise ki
Jab naye blogger apni real id ki jagah fake id se blog bana lete hai or bad me jab use pata chalta hai ki use real email address se blogger par blog banana tha to wo apne blog ka primary email address change karna chahata hai.
Jab aap ek hi email address par bahut sare blog create kar lete ho to aapko unhe manage karne me problem hoti hai. aise samay me aap apne kisi blog ko other email id par transfer karna chahate hai.
Sabse important bat jab aapko AdSense ke bare me pata chalta hai ki aap AdSense account sirf apne original gmail account se hi bana sakte ho to aap apne blog ko bhi AdSense wale email address par move karna chahate hai.
Blogspot Blog Me Error 404 Page Not Found Ko Custom Redirect Kaise Kare
Ye sab wo wajah hai jiske chalte apko apne blog ke email adress ko change karni ki jarurat aa padti hai. upar bataye sabhi kaarano me se or bhi kai wajah ho sakti hai lekin sabse maim wajah upar bataye un 3 wajah hi hai.
Apne Blogger Blog Ki Log in Email Address Kaise Change Kare
Dosto sabse pahle aap apne blog par login ho jaiye uske baad apne blog ke dashboard me jaiye. jaha drop down menu me apko settings par jaana hai uske baad apko permission sector me jaana hai jaha par apke blog ka login email address show kar raha hoga.
Blogspot Blog Ko WordPress Par Transfer Karne Ke Baad Kya Kare Full Guide in Hindi
Usi ke niche apko ek option dikh raha hoga Add Author ka clicki kijiye. ab aap apne blog ko jis bhi email id par transfer karna chahte hai. us email id ka address apko box me likhna hai uske baad apko Invite Authors par click karna hai.
Aisa karte hi ab apke dwara diye gaye email address par ek email aayega author invitation ka apko apne us email ko open karke use accept invitation par click kare. jaise hi aap yah kar lenge apko wapas apne blog par aana hai or ab apko apne blog me role change karna hai.
Ab fir se blogger dashboard > settings > basic > permissions par jaye. uske baad author par click kare fir drop down menu par click kare or admin select kar ke done par click kar dijiye. lijiye dosto ho gaya apka blog ka log in id change.
Blogspot Blog Ke Liye Free HTTPS Security Enable Kaise Kare
Ab aap apne new email id se apne blog ko puri tarah se control kar sakte ho. jo chahe wo settings kar sakto ho. aisa kar lene ke baad apke blog par full control apke naye email id par hoga. aap jab bhi login karenge to apko apna original email address dena hoga.
Umeed hai dosto apko yah article pasand aaya hoga. agar apko yah post pasand aaya to like or subscribe kijiye. iske sath hi dosto humare is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare.
0 comments:
Post a Comment