how to custom redirect Blogspot blog error 404 pages, not found |
Dosto jab koi user apke blog ke url ko type karke apke blog par jaane ki koshish karta hai to kai baar yah error show karta hai ki Error 404 page not found. yah error is liye aata hai kyoki apke blog ke link me kuch gadbadi ho jaati hai.
Blogspot Blog Ko WordPress Par Transfer Karne Ke Baad Kya Kare Full Guide in Hindi
Is error ki wajah se apki website par bahut jyada effect padta hai. kyoki yah error jab aata hai to user apki website or blog ko chhod kar kisi dusri website par chala jaata hai. jisse apke blog par traffic kam hone lagta hai or isi ke sath apki website ki ranking bhi girne lagti hai.
Aaj hum aapko iska solvation bata rahe hai uske baad jab koi user aapki site ka galat url bhi open karega to bhi wo aapki site par aa jayega. blogger ne iska option bhi diya hua hai. hum aapko uske bare me bhi batayenge.
Blogspot Blog Ke Liye Free HTTPS Security Enable Kaise Kare
Bahut se blogger is error ko dekhne ke baad bhi wah iske liye kuch nahi karte. wah apna jyadatar waqt sirf apne blog or website par traffic laane me lagate hai. jabki yah galat hai kyoki agar aap is error ko solve nahi karte to apke purane follower apki website or blog ko chhodne lagenge, jisse apke website par traffic kam hone lagegi joki bilkul bhi achha nahi hai.
Blogger Me Custom Redirect Error 404 (Page Not Found) Kaise Set Kare
Dosto Error 404 page not found ko set karne ke liye hum apko yahan do tarike batane ja rahe hai. jisme pahla tarika hoga Meta Tag Refresh or dusra tarika hai Javascrip ke use se hum apko yahan dono tarike baari baari batayenge.
( A ) Meta Tag Refresh:
1- Sabse pahle dosto apko apne blog ke dashboard me jaana hai or waha par theme option par click karna hai.
2- Theme option par click karne ke baad apko edit html par click karna hai. jisse apke blog ka theme html code me open ho jaayega.
3- Ab apko code box me kahi bhi click karke Ctrl+F press karke <head> Code ko search kar lena hai. uske baad apko niche diya gaya code copy karke <head> code ke niche paste kar dena hai.
<b:if cond='data:blog.pageType == "error_page"'>Oops! Page does not exist. We are redirecting you to home page.<meta content='5;URL=http://yourpassion.in' http-equiv='refresh'/> </b:if>
4- Code paste kar lene ke baad apko us code me se mere blog ka url yourpassion.in ko hata kar apko apne blog ya website ka url add kar dena hai.
5- Yah sab kaam kar lene ke baad apko save theme par click karke sabhi settings ko save kar lena hai.
Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare
( B ) Use JavaScrip:
1- Sabse pahle apko apne blog ke dashboard > Settings > Search Preference par click karna hai.
2- Ab apko custom page not found ke samne edit ka option dikh raha hoga us par click kijiye.
3- Ab apko niche diye gaye code ko copy karke us box me paste kar dena hai. or uske baad apko copy paste kiye huye humare code se humare blog ka link hata dena hai fir uske baad save button par click kar dijiye.
Advanced SEO Settings Enable Kaise Kare Blogspot Blog Me
Sorry, the page you were looking for in this blog does not exist. You will be redirected to homepage shortly.<script type = "text/javascript"> //Blogger 404 Redirect v1.0 (makingdifferent.com)</script>BSPNF_redirect = setTimeout(function() { location.pathname= "http://yourpassion.in/" }, 5000);
Yah sab kuch safalta purvak kar lene ke baad apko yah check karna hai ki apke blog par error 404 page not found error redirect hua hai yah nahi yah check karne ke liye apko simple apne kisi bhi ek post ke link ko copy karne ke baad. usme se ek do word delete karke use search kijiye agar apka blog open hota hai yani ki yah successful raha.
Apne Blog Me Meta Tag Code Kaise Add Kare SEO Ke Liye
Dosto agar apko humara yah article pasand aaya to ise apne dosto ke sath social media par jarur share kare. taki wo sab bhi isi tarah ki informational post padhe or har din kuch naya sikhte rahe.
0 comments:
Post a Comment