how to add a URL another post in a blogger post |
Namaste dosto aaj ki is post me hum yah janenge ki kaise hum apne blogspot ke kisi ek post me kisi dusre blog post ki link yani url ko add kar sakte hai. Dosto jab hum shuru me blog likhna shuru karte hai to hum bahut si galtiyan karte hai. or yah svabhavik bhi hai kyoki galtiyan karne se hi hum sikhte hai.
How to add a URL of another post in a blogger post
Jab hum 15 se 25 post likh lete hai to hum adsense ki approval ke liye apply kar dete hai. lekin dosto aap adsense se jyada tabhi paise kama sakte hai jab aapke blog par visitor jyada se jyada time tak spend kare. isse hota yah hai dosto ki apke blog ki ranking badhti hai.
Blogspot Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Website
Wahi dusri taraf search engine me apke ranking sudharne ke sath sath apki website par traffic bhi badhta jaata hai. ab apne blog par kisi bhi visitor ko roke rakhne ke sirf do hi raaste hai aap ke paas 1. ye ki apka blog bahut hi achhe topic pe hone ke sath sath apki post yani article lambi honi chahiye.
2sra tarika yah hai dosto ki aap apne ek post me kisi dusre post ki link yani url ko add kar de. aisa karne se do fayde hai 1hla ye ki visitor ko apki ek post se kisi dusre post me jaane me aasani hoti hai. 2sra fayda ye hota hai ki visitor apke blog par jyada time spend karta hai.
Dosto aap sab ne wo kahawat to suni hi hogi ki – Is duniya me sabse jyada kuch importent hai to wah hai TIME kyoki samay hai to paisa samay hai to sehat hai samay hai to sab kuch hai warna kuch bhi nahi. Isiliye dosto apko koshish karna hai ki jab bhi koi user aapke blog par aaye to wah jyada se jyada time apke blog par rahe.
Blog Se Paise/Rupaye Kaise Kamaye
Isi liye dosto hum ek post me kisi dusre post ki link ko add karte hai. lekin hum kisi bhi post me kisi bhi post ki link ko add nahi kar sakte. aisa karne se user ko pareshani ho sakti hai. isi liye yah jaruri hai ki aap jis subject par abhi blog likh rahe hai use subject se related koi or post ka link aapko apne blog post me add karna chahiye.
Blogger Post Me Dusri Post Ke URL Kaise Add Kare
Sabse pahle dosto apko apne blog ke dashboard me jaana hai. uske baad apko New Post ke button par click karna hai. ab aap ek post likhna chahte hai to likh lijiye ya fir pahle yah dekh lijiye ki aap kaise apne post me kisi bhi jagah par link add kar sakte hai.
Youtube Videos Ko Blog Post Me Kaise Add (Embed) Kare
- sabse pahle apko LINK option par click karna hai, jaisa ki niche picture me dikhaya gaya hai.
2. Ab aap ke saamne ek pop up window open hoga ab hume isme dusri post ka link add karna hai. aap niche picture me dekh sakte hai.
Text To Display: Is box me apko us post ka naam likhna hai jise aap apne post me add karna chahte hai.
Link to: To what URL shoud this link go? Dosto is box me aapko jis post ko add karna hai usi ka url yani link add karna hai.
Email Address: Dosto agar aap kisi post me email address add karna chahte hai tab apko is option ka use karna hai. lekin jyadatar yah use hi nahi hota.
Test this link: ye char step follow karne ke bad agar aap chaho to yaha par click karke check kar sakte ho ki link kam kar raha hai ya nahi.
Open this link in a new window: Dosto agar aap chahte hai ki jab bhi koi user aapke is link par click kare to wah browser ke ek new tab me open ho. lekin agar aap chahte hai ki link par click karte hi new post new tab par open na ho kar usi me open ho jaaye to apko ise untick karna hoga. lekin humara sujhao yah hai ki aap ise tick hi rahne de.
Add ‘rel=nofollow’ attribute: Dosto agar aap chahte hai ki aapke dwara diya gaya is link ko search engine index na kare to aap nofollow par tick kar sakte hai. yah option hume is liye diya gaya hai ki agar hum yah chahte hai ki search engine humare dwara diye gaye link ko search engine se chhupa sake.
Apne Blog Post Content Ko Chori Hone Se Kaise Bachaye
Yah sab kuch kar lene ke baad dosto apko aakhri me OK par click kar dena hai. ab aap niche picture me dekh sakte hai ki humare dwara add kiya link show hone laga hai. isi tarah se dosto aap kisi ek word me bhi link add kar sakte hai.
Iske liye aapko sabse pahle kisi ek ya ek se adhik word ko jitna aap chahte hai select kar lijiye. uske baad aapko saari process pahle jaise hi dohrani hai. ok par click karte hi aapke dwara select kiye word me hi sirf link hoga or jaise hi koi user us word par click karega wah sidha aapke dwara diye link par pahunch jayega.
Top 5 SEO Optimized & Mobile Friendly Templates [Free] For Blogspot Blog
To is tarah se aap dosto apne blogspot ke blog post me dusre post ki link ko add kar sakte ho. umeed hai dosto apko yah article pasand aaya hoga or aap sabke liye yah kaafi helpful bhi raha hoga. humare is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare.
0 comments:
Post a Comment