blogspot blog ke liye free template download karne ki top 10 best website |
Top 10 Websites To Download Template For Blogspot Blog
Namaste dosto kisi bhi blog par jyada se jyada visitors or traffic laane ke liye blog ki template yani theme bahut had tak jimmedaar hai. Kyoki agar aapke blog ka theme achha hoga uska look achha hoga to log apki website or blog par baar baar aayenge.
Lekin agar wahi aapka blog ya website ka theme low quality ka ho iske sath hi agar wah open hone me jyada time leta ho to apke blog par jaldi se visitor nahi aayenge. Fir chahe aapki website or blog par kitni hi achhi post article or content kyo na maujud ho.
Free Me Website or Blog Kaise Banaye
Dosto jyadatar yah dekha gaya hai ki internet user apni jarurat ki chijo ke liye unhi website par jaana pasand karte hai. jo jaldi open hote hai isme samay sima lagbhag 10 second hai, iska matlab yah hai ki agar koi user aapki site ko search engine me search karta hai or agar aapki website 10 sec. ke andar open ho jaati hai to user apki site par jarur jayega.
Wahi agar apki site 10 sec. se jyada samay leta hai to wahi user apki site ko chhod kar kisi or blog or website par chala jayega. isi liye dosto humare blog ka template aisa hona chahiye jo jaldi se jaldi open ho jaaye. iske sath hi uska look bhi khubsurat hona chahiye taki log aapke blog par baar baar aaye.
Blog Par New Post Kaise Likhe
Aaj ki is post me hum apko aise top 10 website batane ja rahe hai jahan se aap apne blog ke liye template download karke use apne blog me use kar sakte hai. jisse aapke blog ki kaayapalat ho jayegi.
Top 10 Website For Download Blog Template
( 1 ) Best blogger templates
best blogger templates website par apko fast loading wali template yani blog theme milengi. Dosto jaisa ki aap sabhi jante hai ki blog sundar hone ke sath sath aapka blog jaldi load bhi hona chahiye. agar aisa nahi hota to visitor apke blog se boar ho jayega or aise me ho sakta hai wo dubara kabhi aapke blog par visit hi na kare.
( 2 ) Fresh Design Web
Fresh design web par apko blogspot par bane blog ke template ke sath sath wordpress blog or website ke liye bhi theme mil jayegi. isme jo theme hai wo bilkul website ka look dete hai aapke blog ko, agar aap chahte hai ki aapka blog bilkul kisi website ki tarah dikhe to aap iske theme ko use kar sakte hai. agar aapko blog ki coding karne nahi aati to bhi aap iska use kar sakte hai.
( 3 ) Design Scrazed
Dosto agar aapko aise theme ya template chahiye jo full design wali ho to aap is website par ja kar apni manpasand theme ko download kar sakte hai. is website par tarah tarah ke designable theme maujud hai jo aapke blog ko khubsurat banate hai.
( 4 ) Theme Forest
Theme Fores website par aap free theme ke sath premium theme bhi le sakte hai. is site par bahut se free template maujud hai magar jo sabse achchi theme or template hai. wo yahan aapko paid milengi iska matlab yah hai ki agar aap thode se rupaye kharch kar sakte hai to aap yahan se ek premium theme yani template kharid sakte hai.
( 5 ) Btemplates
Dosto agar aap jyada taam jhaam wali theme ya template nahi chahte to aap is btempalte ki website par ja sakte hai. is website par sabhi template simple style me hai agar apko simple template ki jarurat hai to aap is website par visit kar sakte hai.
( 6 ) My Blogger Themes
Dosto agar apko apne blog ke right sidebar me column chahiye wo bhi kam se kam ek or jyada se jyada 4 to aap is website par jaiye. kyoki is website par apko aise template mil jayenge aapke blog ke liye jise 1 se lekar 4 tak ke sidebar me column maujud ho.
( 7 ) Sora Templates
Is website par jitni bhi template hai wo sab mobile responcive template hai. iska matlab yah hua dosto ki aapka blog mobile par bahut hi speed se open hoga. yahan maujud sabhi template kaafi achche or khubsurat hai. dosto agar aapko stylish template chahiye to aap is website ko ek baar jarur try karen.
( 8 ) Gooyaabitemplates
Dosto is website par lagbhag maujud sabhi template seo ready template hai. agar aap is website ka template apne blog ke liye use karte hai to google apke blog ko jald hi search me le lega. is website par maujud sabhi template par slideshow,drop down menu, clean, simple, seo ready, social bookmark ready,white, Ads ready, post thumbnails, responsive, 3 columns footer milenge.
Lekin iske bawajud maine is website ko 8 number par is liye rakha hai kyoki abhi haal ke kuch dino se is website par maujud template blog par sahi se kaam nahi kar rahe the. isi wajah se maine ise 8 number par rakha hai. iski wajah shayad ye hogi ki is website par maujud template par kaam chal raha hoga.
( 9 ) New Blogger Themes
Dosto is website maujud template bhi kaafi achche hai lekin isme kai aise template hai jo mobile friendly nahi hai ya fir seo friendly. isi liye jab aap is website se koi template download kare to yah jarur check kar le ki wah template seo or mobile responcive template hai ya nahi. iske sath hi dosto is website par jo bhi template maujud hai wo saal 2015 ke update par hai isi liye maine ise 9ve number par rakha hai.
( 10 ) Spicy Tricks
Dosto agar aap ki website ya blog in subject par bani hai jaise magazine, cars, social sharing, iphone, apps ke upar to aap is website ki template ko use kar sakte hai. lekin is website ki ek khaas baat yah hai ki aap jis topic par apna blog bana rahe hai usi topic ko aap yahan search karke apne blog ke liye template download kar sakte hai. jaise aap cars ke bare me blogging karte ho to aapko is site par cars friendly templates milegi. jo aapki post ko aakarshak tarike se show karegi.
Note: Dosto ek baar jab aap blog ki template download kar le to uske baad use apne blog me upload karne ke baad us template se related sabhi meta tag ko search engine ke sabhi meta tag ko add kar len. aisa karna jaruri hai taki aapka blog jald se jald search engine me show hone lage.
Iske sath hi dosto ek baar jab apne blog ko koi template upload kar de to use fir dobara change mat kare. bahut se blogger aise hai jo baar baar apne blog ki template change karte hai. jiski wajah se time waste hota hai iske sath hi bahut saari mehnat or apko har baar template change karne par saari settings fir se karni padti hai.
Umeed hai dosto apko humara yah article pasand aaya hoga. agar apko yah post pasand aaya to aap is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare.
Read More:
0 comments:
Post a Comment