How to Add Categories and Subcategories to WordPress in Hindi

Md Danish Ansari
0
how to add categories and subcategories to WordPress 

Hello, Dosto hum sabhi jaisa ki jante hai dosto ki wordpress me hum apni sabhi post ko categories tags me alag alag kar sakte hai. isi ke sath wordpress me categories ke andar sub-categories bhi ho sakti hai. aaj ke is post me hum yah sikhenge ki kaise hum apne wordpress me categories ke andar sub-categories add kar sakte hai.

The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 1

Isse pahle ki hum wordpress me sub-categories banana sikhe. usse pahle hume yah samajh lena chahiye ki wordpress me parent, child, or siblings categories kya hoti hai.
Dosto hum sabhi jante hai ki categories humari website ke liye bahut hi important tools hai. kyoki aap iska use karke apni website ke content ko sort kar sakte hai. iske use se aap apni website ke structures ko behtar se behtar bana sakte hai.

How To Get Free Akismet API Key For WordPress in Hindi

Dosto website me categories ko soch samajh kar use karna chahiye. maan lete hai ki aap ek travel website bana rahe hai india ke liye. ab aap yah chahenge dosto ki jab bhi aapki website par koi user aaye to use kaha jana hai wah us state dist ya city ke naam ke mutabik wah sabhi jankarion tak pahunch jaye jo use chahiye.
Example ke taur par aap sabse pahle categories me India le sakte hai fir uske baad aap sub categories me state ya city bhi le sakte hai or tags me aap agar subcategories me state lete hai to aap tags me city le lijiye. To is tarah se dosto india ek category ban jayega or state ya shahar wo subcategory ban jayenge.
Is tarah se koi bhi user jo bharat ke kisi bhi shahar me ya state me jana chahta hai. to wah sidha category me india par click karega. fir uske baad wo subcategory me us state par click karega jahan use jaana hai. or fir tags me wah us shahar par click karega jahan use thahrna hai.

Akismet Kya Hai ? Hume Iska Use Kyo Karna Chahiye

Is tarah se dosto category or subcategory aapki website ko useful banati hai. iske sath hi dosto aap apni post ko alag alag sub category me rakhne ke bawajud unke main category se aap unhe alag rakh sakte hai. jaise ki maan lijiye ki aap Chhattisgarh state ki subcategory me ek post likh rahe hai.
Ab Chhattisgarh Bharat yani India ka ek sub-category hai. lekin agar aap Chhattisgarh ko sub category me na lekar main category me lena chahe to aap le sakte hai. ise hum child category post kahte hai. kyoki bharat ek desh hai jabki chhattisgarh uska ek abhinn rajya.

Adding Category in WordPress

Iski wajah se aap ki post sirf chhattisgarh ke sub category me hi show hoga. yah ek achha tarika hai duplicate content ko avoid karne ka. Main category create karne ke liye aap apni post me category option par click karke add new category par click karke main category generate kar sakte hai.
Create Main Category in Your WordPress

Adding Child/Sub Category in WordPress

Uske baad sub category create karne ke liye apko fir se category option par click karna hai. uske baad apko Add New Category ke niche wale box me apna sub category ka name dalna hai. Uske baad is sub category ko main category se link karne ke liye uske niche wale box me apko category ko select karna hai.
Add Sub-Categories in WordPress

SEO Benefits of Category Based Site Structure

Dosto categories humare blog or website ke SEO ke liye bahut hi achha hai. agar aap SEO Friendly url ka use karte hai to apki child category ki url kuch is tarah ki dikhegi.
Example: http://yourpassion.in/category/india/Chhattisgarh/
Dosto jaisa ki aap dekh sakte hai upar url ko dekh kar koi bhi user yah achhi tarah se samajh sakta hai ki apke is post me kya hai. iske sath hi search engine ko bhi ise samajhne me bahut aasani hoti hai iske sath hi aap sub categorys me keywords bhi use kar sakte hai.

How to Remove Visual Editor Mode in WordPress Hindi

Display Categories and Child Categories in WordPress Sidebar

Dosto ab chuki humne apne wordpress me categories or sub categories create kar liya hai to ab hume in dono ko apne website par show bhi karna hai. Iske liye aap apne Dashboard>Appearance>Widget par click kijiye. Uske baad apko category option me click karna hai jisse ke drop down menu open hoga jayega. jaise ki niche image me show ho raha hai.
Uske baad apko Show post count par ko tick karna hai yah apke category or subcategory me kitne post hai wo show karta hai. fir apko Show Hierachy par click karna hai or fir save button par click karna hai, iski wajah se aapke category me sub category thoda sa hat kar show karta hai jaisa ki niche image me dikh raha hai.
How to add sub-categories in WordPress
Aaj ke is post me bas itna hi umeed hai dosto apko humara yah article pasand aaya hoga. yah article aapke liye jarur helpful rahega agar apko yah post pasand aaya to ise apne dosto ke sath social media par jarur share kare.

The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 2

Dosto isi tarah ki informational post padhne ke liye aap humare blog ko subscribe kar lijiye. taki jab bhi hum koi new post publish kare to uski notification apko apke mail par bhej di jayegi. yah service bilkul free hai.

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)

#buttons=(Ok, Go it!) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Check Now
Ok, Go it!