![]() |
how to get free Akismet API key for WordPress in hindi |
WordPress Blog Kaise Shuru Kare 6 Easy Steps
Hello, Dosto wordpress par agar apki website hai to apko apni website ko secure bhi banana hoga. Google har roj kam se kam 20000 hajar website ko blacklist karta hai kyoki wah malware hoti hai. wahi dusri tarah 50000 hajar se jyada website ko phising ki wajah se band kar deta hai.
Bahut se hacker apki website me hacking ke liye commets karte hai. unhi commets me wo link or code bhi add kar dete hai. jiski wajah se jab aap un links par click karte hai to aapki website ki puri jaankari un hackers ke paas pahunch jaati hai.
Waise to aap apne wordpress me commets ko approve or disapprove karke bhi aap apni website ko safe rakh sakte hai. lekin isme dosto aapka kaafi time waste ho jaata hai. isi liye dosto wordpress hume akismet plugins ka offer deta hai.
How to Remove Visual Editor Mode in WordPress Hindi
Jo na sirf aapki website ko scan karta hai balki commets se aane wale phising commets ko pakad kar use block bhi kar deta hai. yah sab wah khud har roj automatic hi karta hai. aapko bas apne wordpress website me akismet plugins ko install karke activate karna hai or usme akismet api key ko submit karke save kar dena hai.
Lekin dosto akismet bhi paid plan ke sath aata hai. lekin agar apki website personal use ke liye hai to aap apni website ke liye free me Akismet API Key generate kar sakte hai or fir aap uska use karke apne blog ko safe rakh sakte hai. To aaiye dosto jante hai ki yah sab apko kaise karna hai.
Agar aap ka apna khud ka wordpress par koi website or blog hai to apko pata hi hoga ki apko akismet plugins use karna kitna jaruri hai. agar aap akismet plugins ke baare me nahi jante hai ya uske bare me or jyada janna chahte hai to aap Akismet Kya Hai ? Hume Iska Use Kyo Karna Chahiye is article ko jarur padhe.
The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 1
Dosto is article me aaj hum aapko yah batane ja rahe hai ki kaise aap apne wordpress website or blog ke liye free me akismet api key prapt kar sakte hai. aapko bas yahan bataye ja rahe har steps ko follow karna hai. is article ko shuru se aakhri tak pura padhe.
WordPress Blog Ke Liye Akismet API Key Free Me Kaise Prapt Kare
Iske liye dosto sabse pahle apko apne wordpress me login karna hai. fir uske baad apko Dashboard>Plugins>Add New par click karna hai. Uske baad apko apne wordpress me akismet plugins ko install karke activate kar lijiye.
Jaise hi aap akismet ko activate kar lenge uske baad aap apne Dashboard me jaaye. Wahan par apko uspar me Setup Your Akismet API key ka option show ho raha hoga. us par click kijiye, ab aapke browser me ek new tab open ho jayega or usme akismet ki website open hogi.
The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 2
Uske baad apko Get Your API Key par click karna hai. Click karte hi aap akismet ki website par redirect ho jayege. ab wahan apko 3 plan show honge apko first wala select karna hai jo personal blog or website ke liye hai.
Jaise hi aap us par click karenge wah apko payment option par le jayega. apko price ko kam karte huye drag karke $0 par le aana hai. uske baad left side me apko apna first name or last name add karna hai. Fir uske baad apko apni website ka url ya fir agar blog hai to blog ka url add karna hai.
Uske baad usi ke niche apko 3 check box milenge apko un 3no ko select kar lena hai. Thik usi ke niche Your Akismet Basic subscription click kar dena hai. Ab apko apka akismet api key show hoga, aap use copy kijiye.
World Best WordPress Hosting in 2019
Wapas apne wordpress ke dashboard me jaiye or apna Akismet API Key code paste karke save button par click kar dijiye. Is tarah se dosto aap apne wordpress website me free me akismet api key ka use kar sakte hai.
Website Kaise Banaye Full Guide

Umeed hai dosto apko humara yah post pasand aaya hoga. isi tarah ki informational post padhne ke liye humare blog ko subscribe kijiye. Iske sath hi dosto humare is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare.