![]() |
how to make a sticky post in wordpress |
Hello, Dosto aap me se bahut se blogger yah soch rahe honge ki kaise wah apni sabse best or top post ko apne home page par front me show kare. Taki jyada se jyada log aapki un post tak pahunch sake jo sabse top par rahi hai.
Dosto wordpress by default humare sabhi new post ko pahle show karta hai. Purane post har new post ke sath niche chale jaate hai. ya fir yah archive me show hota hai. WordPress me Sticky Post kaise banaye.
How to Add Categories and Subcategories to WordPress in Hindi
Lekin kai baar dosto hum chahte hai ki koi post humre front page par jyada time tak show hoti rahe. jyada se jyada log use padhe or us par comments kare. isi liye dosto wordpress hume ek aisa features deta ha. jiski madad se hum apni post ko sticky kar sakte hai.
Sticky post wo hoti hai dosto jo apke blog ke front page par show hoti hai. yah tabhi apke front page se hatti hai jab aap unhe menually sticky post se hata dete hai. is post me hum apko batane ja rahe hai dosto ki aap kaise apne wordpress blog me sticky post show kar sakte ho.
How To Get Free Akismet API Key For WordPress in Hindi
Making WordPress Posts Sticky in 2 Steps
Dosto wordpress kisi bhi post ko sticky karne ke liye build in functionality ke sath aata hai. sabhi tarah ke wordpress theme ise support karti hai. iski madad se aap apni kisi bhi post ko wordpress fornt page par show kar sakte hai. Sticky post banane ke liye apko sabse pahle edit post par click karna hoga. ya fir aap chahe to add new post par click karke ek new post likh lijiye.

Jab aap apni post likh le to apni post ko sticky banane ke liye apko right side bar me Document ke option par click karna hai. uske baad post format ke niche ek check box show ho raha hai. Stick to the top of the blog.
Akismet Kya Hai ? Hume Iska Use Kyo Karna Chahiye
Aapko bas use tick kar lena hai uske baad aap apni post ko publish kar dijiye. ab dosto aap chahe jitni bhi post apne blog par publish kare, aap ne jis post ko stick kiya hai sirf wahi post sabse pahle apke blog ke fornt page par show hogi.
Dosto ab agar aap chahte hai ki aap apne blog ke fornt page me old post ko sticky post ke taur par use kare to aap yah bade hi aasani se kar sakte hai.
How to Remove Visual Editor Mode in WordPress Hindi
Make Older Posts Sticky Easy Steps
Apne purane blog post ko sticky post ke roop me show karne ke liye apko Dashboard>All Post fir jis post ko sticky post banana hai. Use dhundiye or Quick Edit par click kijiye. click karte hi settings open ho jayegi.

Quick Edit option me apko Stick Post ka check box ko tick kar lena hai. aap niche image me dekh sakte hai. Uske baad apko update button par click karke post settings ko update kar dena hai.

Isi tarah se dosto aap apne wordpress blog or website ke front page par sticky post show kar sakte hai. aap chahe to yah sticky post alag alag categories me bhi show kar sakte hai. bas aapko alag alag categories ki post ko stick karke update or publish karna hoga.
The Ultimate WordPress Security Guide in Hindi – Part 2
Umeed hai dosto apko yah information pasand aaya hoga or yah apke liye helpful bhi raha hoga. agar aap logo ka koi sawaal hai to aap niche comments karke humse puchh sakte hai.
Agar aap ne abhi tak humare blog ko subscribe nahi kiya hai to aap subscribe kar lijiye. iske sath hi dosto humari is article ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare.