Blogspot Par Blog Banane Ke Baad Kya Kare ?

blogspot par blog banane ke baad kya kare

Hello dosto agar aap bhi apne khud ka blog banana chahte hai to aap humare blogspot category ke sabhi post ko padhte jaiye usme jaisa kaha gaya hai bas waisa karte rahiye. hum aapko yakin dilate hai ki aap blogspot category ki sabhi post ko padhne or uske mutabik kaam karne ke baad aapka blog puri tarah se ready hoga.

Blogger Post Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye

Dosto agar aap ne apna blog bana liya hai to ab aap soch rahe honge ki iske baad apko sabse pahle kis tarah ki updates karni chahiye . is post me hum aapko yahi batane ja rahe hai ki aap kis tarah se apne blog ko up to date kare wo bhi step by step. bahut se blogger jab blogspot par apna blog banate hai to wo turant hi us par post likhna or publish karna shuru kar dete hai.

Blogspot Blog Me Meta Tag Description Code Kaise Add Kare

Blogging ke liye yah sahi nahi hai dosto kyoki abhi aapka blog sirf bana hai lekin wah puri tarah se update nahi hai. jaise ki apki theme template uski widget yah sab aapko khud hi inki settings karni hoti hai. aise me agar aap bina inko up to date kiye blog par post karte hai or jab koi visitor apke blog par aata hai.
To use aapka blog setup pasand nahi aayega, ho sakta hai ki aapke blog ka content achcha hone se wah kuch der ke liye apke blog par ruke. lekin aisa hona koi jaruri bhi nahi hai. isi liye dosto ab jo steps hum aapko bata rahe hai use aap follow karte huye apne pure blog ko setup kijiye. taki aapke blog ka look achcha ban sake.
Template:
Dosto jab aap blog bana le to sabse pahle apko apne blog ke liye ek achcha sa theme yani template chunna hai. blogspot par waise to bahut si free theme pahle se hai or blog banate waqt aap ne unhi me se kisi ek ko select bhi kiya hoga. lekin ye template bahut hi simple look ke sath hai. jiski wajah se apka blog ek website ki tarah nahi lagta.
Iske sath hi blogspot par jo template hai unki apni limitation hai. isi liye yah jaruri hai ki agar aap apne blog ko ek website ka look dena chahte hai to aapko ek badhiya template dhund kar use download karke apne blog ke template me upload kijiye.

Blogspot Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Website

Blogspot blog ke liye best theme kaha se download kare iski puri jaankari humare blog par pahle se hi maujud hai aap us article ko padh le. usme free theme download karne ke liye website ki link bhi di gayi hai. lekin koi bhi template download or upload karne se pahle kuch chije check kar len.
Aap ka template mobile friendly hona chahiye. Aapka template SEO friendly hona chahiye. Aapka template fast loading hone wala hona chahiye. Aapka template simple color wala ho to jyada behtar hai. Is baat par bhi dhyaan rakhe ki template ka menu bar achcha hona chahiye.
Widget:
Dosto ek baar jab aap blog ke liye template download karke use apne blog me upload kar dete hai. uske baad paari aati hai widget ki ji ha dosto kisi bhi blog ke liye widget bahut jaruri hai. kyoki isi ke madhyam se aapke blog visitors ko baaki dusri information milti hai joki aapke blog par hai.
Example ke liye : popular post, recent post, Facebook page, recent comment, category etc.

Blogspot Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye Full Guide in Hindi

Menu bar:
Dosto jab aap template or widget ki setting kar le uske baad apko apne blog ke menu bar ko set karna hai. template or widget ki tarah humare blog ka menu bar bhi bahut importent hota hai. aapko apne blog post ki topic ke hisaab se menu bar me select karna hai. isse user apke blog par kisi bhi category ko uske post ko aasani se dekh sakta hai padh sakta hai.
Search Box:
Waise to dosto lagbhag har tarah ke template me search box hota hi hota hai. lekin agar aapke template me search box nahi hai to layout me ja kar jaha bhi search box add karna chahte hai. waha par add widget par click karke search box add kar sakte hai.
Search Engine:
Dosto jab aapka blog puri tarah se ready ho jaaye to apko apna blog sabhi search engine me submit karna hota hai. aisa karna jaruri hai tabhi search engine aapke blog ko jaldi se search kar payega. aap in sabhi search engine me apna blog submit kar dijiye. google, bing, yahoo ask

Blogspot Blog Ki Har Post Me Adsense Ads Kaise Lagaye?

Traffic:
Dosto agar aapke blog par bahut hi badhiya content hai lekin us par agar traffic nahi aa raha hai to aapka blog ek successful blog nahi hai. isi liye yah jaruri hai ki aapke blog par traffic aaye, traffic ke liye aap apne blog ko sabhi social media par share kijiye.
kyoki sabhi website or blog par 80% traffic social media se hi aata hai. isi liye apko apne blog ko or blog ki har post ko samay samay par apne social media account par share jarur karna chahiye.
Adsense Ads:
Dosto jab aap ek baar apne blog par traffic laane me kaamyaab ho jaaye to ab samay aata hai. apne blog se paise kamane ka to iske liye dosto adsense se best option or koi bhi nahi hai. isi liye aap adsense ke liye apply kare, ek baat yaad rakhe dosto adsense ke liye apply karte waqt apko saari information sahi sahi deni hai.
Agar aap ne kuch bhi chhupaya ya kuch bhi galat information diya to apko adsense ka approval nahi milne wala itna to aap likh kar rakh hi lijiye.

Ek Post me Dusri Post Ka Link (URL) Kaise Add Kare

Dosto upar ke sabhi steps ko follow karne ke baad ab aap apne bloging par dhyan dijiye. ye aap par hai ki aap apne blog ko kitna upar lekar ja sakte hai. yah sab aapki writing skeals or aapke talent par depend karta hai. doto log kahte hai ki kadi mehnat karke koi bhi successful ho sakta hai.
Lekin dosto main kahta hun ki kadi mehnat karke koi bhi successful nahi ban sakta. balki sirf or sirf smart work karke log successful ban sakte hai. umeed hai dosto apko humara yah article pasand aaya hoga. agar apko yah post pasand aata to apne dosto ke sath ise social media par jarur share kare.

0 comments:

Post a Comment