Top 10 Killer Tips For Blog Post Full SEO Friendly in Hindi

top 10 killer tips for blog post full seo friendly

Add Permalinks On Your Post:
Dosto jab bhi aap koi post likhe usme aapko permalinks ka use jarur karna chahiye. Permalinks humare blog ki traffic badhane or iski ranking sudharne me bahut badi bhumika nibhata hai. isi liye aapko apne har blog post me permalinks ka use karna hai.
Use Keywords On Your Post:
Dosto jab bhi aap koi bhi post likhe apko apni har post me us post se related keywords use karne hi karne hai. dosto keywords humare blog ki SEO ranking badhane ke liye sabse important hota hai. isi liye yah jaruri hai ki aap apni post se related sabhi tarah ke keywords ko apne post me add kar le.

Blogspot Par Blog Banane Ke Baad Kya Kare

Use Blogspot Label On Your Post:
Dosto jab aap apne blog post me label ka use karenge to isse hota ye hai ki, Label ek post ko dusre post se jodne ka kaam karta hai. ise hum tag bhi kahte hai kahne ka matlab yah ki agar aap koi aisa post likh rahe hai jo kisi or post se related bhi ho ya kisi or category ke andar bhi aata ho to aapko label ka use jarur karna chahiye.
Label ka use karne ka sabse bada fayda yah ki aapke blog ko padhne wala reader apke ek post se dusre post par bhi ja kar us post ko bhi padhega. isse use ek post se dusre post me jaane me aasani hoti hai. badle me apko visitors ka time milta hai jitni jyada time tak aapke blog par koi visitor rahega aapke blog ke liye utna hi achcha hai.

Blogger Post Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye

Write Related Post to Other Post:
Dosto jab bhi aap koi post likhe to aap ko koshish karni chahiye ki aapke har ek post se related hi dusri or bhi post honi chahiye. aisa is liye dosto ki humare blog ko padhne wala or humare blog se sikhne wala visitor humesha behtar se behtar post ki talash me rahta hai.
Aise me agar use aapka koi ek post pasand nahi aaya ya fir use samajh nahi aata to wah apke blog par usi post se related post dekhta hai. agar use apke blog par ek post se related dusre post mil jaate hai to wah us post ko read karta hai. agar nahi mila to aap jante hai ki aage wah kya karega wah aapke blog ko chhod kisi or blog par jayega.

Blogspot Blog Me Meta Tag Description Code Kaise Add Kare

Customization Your Image:
Dosto hum humesha se yahi kahte aa rahe hai ki aap ko apne har post ke sath kam se kam ek image jarur add karna hai. humne aapko apni pichhli post me bataya bhi tha ki search engine humare blog me sabse pahle image ko index karta hai. isi liye agar aap chahte hai ki aapka blog ka rank upar uthe to apko apne har blog post me kam se kam ek image jarur use karna hai.
Dosto image ki size aap apni jarurat or blog post ke hisaab se bada or chhota rakh sakte hai. lekin yaad rahe image aisi honi chahiye jo jaldi se download ho jaaye apke blog ko open karte hi.
Add Meta Tags on Your Blog Post Description:

Blogspot Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye Full Guide in Hindi

Dosto agar aap nahi jante ki meta tag kya hota hai to pahle apko meta tag se related humare post padh lijiye. dosto hum sabhi jante hai ki meta tag humare blog or post ke liye bahut jaruri hota hai. meta tag se hi search engine ko yah pata chalta hai ki aapka blog kis baare me hai.
Or aapki kaun si post kis baare me likhi gayi hai. isi liye yah jaruri hai ki aap apne har post ke description me meta tag add jarur kare. isse visitor ko aapke blog par aane me madad milti hai.
Write Popular Post Title:
Dosto aapko humesha yah koshish karni chahiye ki aap jo bhi post likh rahe hai. uska title unique hona chahiye ho sake to koshish kijiye aise post likhne ki jo internet par jyada maujud na ho. aisa karne se aapke blog par visitors jald se jald aane lagenge kyoki aapke sath koi dusra blogger compitetion me hoga hi nahi.

Blogspot Blog Ki Har Post Me Adsense Ads Kaise Lagaye?

Top Title post likhne ke liye aap google me us post se related search karke dekh sakte hai ki kitne search result aapko show ho rahe hai. jyada search result show hone ka matlab hai competition bahut hai or kam search result show hone ka matlab hai ki waha par competion kam hai.
Alaways on Your Comments Section:
Dosto bahut se aise blogger hai jo apne blog post ke comments section ko off karke rakhte hai. aisa karna sahi nahi hai dosto, wo bhi tab jab aapko apne blog par traffic or rank dono hi chahiye. jaisa ki hum sab jante hai ki search engine humare pure blog ko index karta hai.
Iska matlab yah hua ki search engine jaise ki google apke blog ke commets ko bhi index karta hai. agar koi user search engine me koi aisa word bhi search karta hai jo aapke comments me kiye gaye hai to google un commets ke base par bhi aapke blog ko rank karega or unhe show karega.

Ek Post me Dusri Post Ka Link (URL) Kaise Add Kare

jis post par bhi comments honge google us commets ke base par us post ko show karta hai user ke liye. isi liye aap sab ko suggest karta hun ki agar aap ne bhi apne blog par commets section ko off kiya hua hai to use turant on kar dijiye.
Request to Visitors:
Dosto jab bhi aap koi post likhe to uske aakhri me humesha apne blog visitor ke liye kuch is tarah ka request note jarur likhe. jaise ki –
Dosto agar apko humara yah post pasand aaya to aap sab se request hai ki is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare. iske sath hi agar aap ne abhi tak humare blog ko subscribe nahi kiya hai to subscribe kar lijiye. taki aapko humare har post ki notification milti rahe.
Dosto is tarah ke request note apne visitors ke liye chhodne se hota ye hai. agar unme se kisi ek ne bhi apke post ko share kiya to isse apko apne blog par or visitors milenge. iske sath hi aapki website bhi search engine me rank karegi kyoki search engine social media par share ki gayi chijo ko bahut jaldi index kar leta hai.
Umeed hai dosto aapko humara yah article pasand aaya hoga or aap sab ke liye yah kaafi helpful bhi raha hoga. humare is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare. isi tarah ki informational post padhne ke liye or har din kuch naya sikhne ke liye humare blog ko subscribe jarur kare.

0 comments:

Post a Comment