sbi yono app password kaise change kare |
namaskaar dosto hinglish me yah humari dusri post hai hum yah janna chahte hai ki internet ki is duniya me jyada se jyada hindi bhashi log kis likhawat ko aasani se padh or samajh sakte hai. humare liye yah janna jaruri hai kyoki jab tak hume yah pata nahi hoga ki humare visiter kis bhasha me achche se sikh sakte hai. tab tak hum chahe kitni bhi achchi post kyo na likh le apko sikhne me dikkat aayegi.
How to Open PPF Account Online in Hindi
isi liye dosto hum yah janna chahte hai ki humari post apko hindi varn maala ke shabdo me chahiye ya fir english alphabate me hindi shabdo me aap kise sabse achchi tarah se padh sakte hai or samajh sakte hai. kyoki humara maksad hai ki apko jyada se jyada or saaf suthri knowledge provide karna. isi liye dosto is research me aap humari madad karen.
SBI Quick Banking Facility क्या है इसका उपयोग कैसे करें ?
iske liye apko niche post me comment me likhna hai ki apko post kis language me chahiye hindi varn maala ke sath hindi me ya fir english alphabate ke sath hindi me jise hinglish bhi kahte hai. chaliye ab aage badhte hai jaisa ki aap sabhi jante hai dosto ki SBI Yono app kya hai or iska kya upyog hai agar aap nahi jante hai iske baare me to hum iske baare me ek alag post publish kar denge.
SBI Yono App के माध्यम से SBI में Cheque Book के लिए Apply कैसे करें ?
sbi yono app ke use se aap kisi bhi vyakti ko rupaye bhej sakte ho usse rupaye le sakte ho, atm card debit card credit card in sab ko band kar sakte ho new cards ke liye apply kar sakte ho. cheque book payment rok sakte ho sath hi new cheque book mangwa sakte hai. aaj ki post me hum sikhenge ki jarurat padne par hum kaise sbi yono app ka password change kar sakte hai.
अपने SBI ATM / Debit Card को Temporary रूप से कैसे Block करें ?
to chaliye dosto shuru karte hai –
sabse pahle apko apna current Mpin daal kar sbi yono app me login hona hai.
- SBI yono app me login karne ke baad left side upar ki taraf three dot honge us par click kijiye.
- Ab aapke samne ek menu list open hogi usme aapko settings par click karna hai.
- Setting par click karne ke baad ek naya interface open hoga jisme apke Change MPIN Button par click karna hai.
- Ab agli screen me apko apne SBI net banking ka profile password daal ke Confirm par click karna hai.
- Ab dosto apna Current MPin number daal kar MPin Create karke fir re enter karke confirm par click karna hai.
- Mpin Create karne or fir use confirm karne ke baad apka New MPin generate ho jayega.
to is tarah se aap apni sbi yono app ka password change kar sakte. usmmeed hai dosto ki aap sabko humari yah post pasand aayi hongi agar apko humara post pasand aaya to is post ko apne dosto ke sath social media par share karna na bhule kyoki yaha apko milti hai internet ki duniya se bahut kuch sirf apki apni hi jubaan me.
SBI Bank से New Cheque Book SMS भेज कर कैसे मँगाए ?
iske sath hi agar aap humare blog par naye hai to aap se request hai ki aap humare blog ka nirikshan karen. agar aap ne humare blog ko subscribe nahi kiya hai to subscribe kar len. isse apko humari har ek post ki notification apko milti rahegi jise aap chahe to usi waqt ya fir kisi bhi waqt apne mobile laptop kisi me bhi kahi se bhi mere blog ko dekh sakti ho.
0 comments:
Post a Comment