How to Open PPF Account Online in Hindi

how to open ppf account online in hindi

Hello dosto svagat hai aap sabka humare is blog your passion me jaha apko har roj kuch naya sikhne ko milta hai. jaisa ki aap jante hai ki is waqt humare paas sirf financial cases hi paunchaaye jayenge. aaj dosto hum yah sikhne ki koshish karenge ki SBI Net Banking ke jariye hum apna PPF Account kaise open karen.

SBI Quick Banking Facility क्या है इसका उपयोग कैसे करें ?

dosto to chaliye shuru karte hai hum apko jaisa bata rahe hai aap logo ko bas waisa hi karte jaana hai. har padha likha insaan ppf ke baare me janta hai agar aap ppf ke baare me nahi jante to hum batate hai . PPF ka pura naam Public Provident Fund hai ise bharat sarkaar ne un logo ke liye laagu kiya jo garibi rekha se niche jivan yaapan karte hai.

SBI Yono App के माध्यम से SBI में Cheque Book के लिए Apply कैसे करें ?

bharat sarkaar yah chahti hai ki majduron ko bhi vridh hone ya kisi tarah ki apaat sthiti me padne ke samay par unki aarthik sthiti jyada na bigad paaye isi liye bharat sarkaar PPF account ki suvidha hum sabhi ko diya hai, jisme aap thoda thoda rupaye apne bhavishya ke liye bacha sakte hai tatha aaram se baith kar jeevan yapan karenge.

अपने SBI ATM / Debit Card को Temporary रूप से कैसे Block करें ?

  1. Sabse pahle aapko apne SBI Net Banking me apna user name or password daal ke Log in karna hai.
  2. jaise hi aap log in ho jayenge uske baad apko Request & Enquiries Option option par click karna hai jo ki upar ki taraf aap dekh sakte hai.
  3. uske baad ek naya page open hoga usme apko New PPF Account option par click karna hai.
  4. jaise hi new ppf account option par click karenge uske baad apko name address cif number pan card details show karega.
  5. uske baad apko apne bank ka branch code daalna hai iske liye aap apne passbook ki madad le sakte hai. branch code dalne ke baad aap Get Branch Code par click kar dijiye.
  6. iske baad agar aap chahe to aap apne is ppf account me kisi bhi nominee ko add kar sakte hai. aap jise chahe use nominee bana sakte hai.
  7. nominee add kar dene ke baad apko submit button par click karna hai. lijiye ho gaya apka PPF account ke liye apply.
  8. ab apko print ppf online application par click karke use download kar lijiye uske baad us file ko open karke print le lijiye.
  9. us print out me apse jo bhi jaankari mangi ja rahi hai wah bhar kar usme apni photo attach kar dijiye.
  10. is form me apko kai saari jaankari fill karni hai jaise sabse pahle apni ek passport size picture lagaiye. uske baad Initial DepositAmount Enter kijiye.
  11. yah aap par hai ki aap kitne rupaye deposit karna chahte hai sabse kam jo amount hai wo hai 500 rupaye fir uske baad sabse jyada amount hai 150000 lakh rupaye anual.
  12. yah aap par hai ki aap kitna jama karna chahte hai, uske baad agar apka pahle se koi ppf account maujud hai to aap uski jaankari bank ko dijiye.
  13. yah saare kaam kar lene ke baad apko form par signature karna hai or is form ko apne bank branch me ja kar submit karna hota hai.
  14. agar apka savings account or ppf account kisi ek hi branch me hai to apka bank account or ppf account automatic atached ho jayega.
  15. lijiye dosto ho gaya apka ppf account open ab aap ise apne mutabik handle kar sakte hai.

SBI Bank से New Cheque Book SMS भेज कर कैसे मँगाए ?

umeed hai dosto apko humara yah post pasand aaya hoga yah pahla post hai jo humne english font ke sath hindi language me likha hai. aapko yah post kaisa laga or humare dwara likhe is naye style ko aap ne kitna pasand kiya please niche comment karke jarur batayen.

Net Banking के माध्यम से SBI में SMS Alert को Enable or Disable कैसे करें ?

iske sath hi agar aap humare blog par naye hai to humare blog ko subscribe karna na bhule iske liye apko apna email humare subscribe box me daal kar subscribe button par click kijiye. iske sath hi dosto humare is post ko apne dosto ke sath social media par share jarur karen taaki wo bhi isi tarah ki informational post padh sake or har din kuch naya sikh saken.

1 comment: