how to add meta tag description in Blogspot blog |
Hello Dosto, aaj ki is post me hum jaanege ki meta tag code hota kya hai or yah humare blog ke liye itna kyo jaruri hai. jaisa ki hum sabhi jante hai ki blogspot google ki hi free service hai jis par blog bana kar log apne baare me ya fir apne talent se jude huye blog likh kar ya dusro ko sikha kar paise kamaate hai. How to Add Meta Tags Description Code in Blogspot Blog in Hindi.
Blogspot Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye Full Guide in Hindi
Dosto chuki blogspot google ka hi service hai to yah pahle se hi seo hota hai. lekin isme kuch kaam hume bhi karna padta hai taaki humara blog search engine me achche se or sabse top par show karne lage. iske liye sabse best hai meta tag code jo ki aapki website or blog ka description ke taur par show karta hai.
jab bhi hum kisi website or blog ko search karte hai to uske naam or title ke niche kuch likha hua dikhta hai. ise hi site ka description kahte hai or isi description se search engine ko yah pata chalta hai ki aapki website kis baare me hai or ise show karna hai ya nahi karna.
Blogspot Blog Ki Har Post Me Adsense Ads Kaise Lagaye?
Dosto Meta tags code me humare blog ki description, title, keyword, language, author or country ki jankari ke code hote hai. jisse search engine ko inke bare me pata karne me aasani hoti hai. jaise aap google search engine me mere blog ka name, url kuch bhi search karoge to search engine ayesa result show karega. jisme sabse pahle mere blog ka title hoga fir uske niche mere mere blog ke bare me yani blog ka description hoga.
Kya Hoga Agar Humare Blog Par Meta Tag Description Code Add Na Ho?
Dosto agar humare blog me meta tag code add na ho to search engine ko humare blog ko khojne me kaafi jyada time lagta hai. kai baar to search engine yah samajh hi nahi paata ki humara blog kis baare me hai. ayese me search engine humare blog ko search me show nahi karta or uski jagah par kisi or ke blog ko show karta hai jisme meta tag description code add hota hai.
Isi liye yah jaruri hai ki humare blog me meta tag code add ho. yah ek tarah se aapki website blog ki identity ka kaam karta hai. ab aap hi bataiye dosto agar main aapko kisi anjaan vyakti se mila dun wo bhi bina jaan pahchaan ke or bina kisi indentity ke to kya aap us vyakti ke baare me kuch bhi jaan payenge.
Ek Post me Dusri Post Ka Link (URL) Kaise Add Kare
Nahi na. thik usi tarah humara blog hai ye samajhiye ki aapka blog koi ek page nahi balki ek vyakti hai. ab apko apne is blog ko sabhi logo se introduce karwana hai. lein shart ye hai ki aapke paas ek limit hai shabdo ki matlab aapke paas sirf 160 shabd hai. aise me apko apne blog ke liye sirf unhi words ko use karna hai jo apke blog ko define karte ho.
Maan lijiye aapka blog mobile ke review par bana hua hai to aapko apne description me mobile se related words use karne honge. jaise ki – mobile review, samsung mobile review, nokia mobile, motorola, mobile phone ki puri jaankari hindi me, kaun sa mobile phone best hai, top brand mobile phone chip price etc. yah sabhi key words hai ab agar koi user search engine me yah likh kar search karta hai ki samsung mobile review to search engine sabhi blog or website ko index or crwal karega.
Blogspot Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Website
Aise me aapka blog bhi wah index or crwal karega or use apke blog description me milega samsung mobile review to wah aapke blog ko sabse upar show karega. dekha jaaye to blog ko search engine rank karwana or traffic lana sab kuch words topic or content ka khel hai. aapko aise word use karne chahiye jo search engine search kiye jaaye. sath hi aapko apne blog par achche se achcha content or information se bhara post likhna chahiye taki visitor jyada se jyada time tak aapke blog par bana rahe.
Meta Tag Code Me Kya Kya Hona Chahiye?
Ab sawaal ye hai dosto ki humare blog ke meta tag code me kis tarah ki information honi chahiye? Dekhiye dosto sabse pahle aapke meta tag code me yah hona chahiye ki aapka blog kis baare me hai. matlab aap ne jo apne blog ka title rakha hai wahi use kar sakte hai. dusra aata hai apka blog kis baare me hai yani aapka blog kis tarah ki topic par bana hua hai.
Tisra aata hai ki keywords yani ki apke blog par jo post hai wo kis topic par hai or agar in topic ko ek ya do word me likhna ho to wahi aapke keywords hai. jaise ki maan lijiye mere blog par samsung mobile ki review post hai to main keyword me use karunga all samsung mobile review. aapko bhi isi tarah ke chhote keywords use karne hai. key words ek word se lekar kai words ke ho sakte hai.
Blog Se Paise/Rupaye Kaise Kamaye
Uske baad apko blog ke author ke baare me likhna hai jaise ki blog ka author kaun hai ise kaun manage karta hai. jyadatar iske liye hum sirf apna naam hi likh dete hai. iske sath hi apka blog agar hindi me hai to language hindi likhe agar english me hai to english agar kisi or language me hai to aap us language ko likhe. iske sath hi apko yah bhi batana hai ki apka blog kis country se belong karta hai.
Kyoki dosto jab koi user internet par search karta hai to search engine sabse pahle us user ki location ko check karte huye uske location me bani sabhi blog or website ko show karta hai. jaise ki jab hum google me search karte hai Amazon to aap ne dhyan diya hoga ki amazon search karte hi amazon.in open hota hai na ki amazon.com, or hum sabhi jaante hai ki amazon.in india ke liye hai jabki amazon.com pura world wide ke liye.
Meta Tag Code Banaye
Dosto Meta tag code banane ke liye niche kuch steps diye hai unhe follow karte huye aap apne blog ke liye meta tag code likh lijiye.
- Description.
- Keywords.
- Author (Lekhak).
- Language.
- Country.
Youtube Videos Ko Blog Post Me Kaise Add (Embed) Kare
Umeed hai dosto in 5 steps ko follow karke aap apne blog ke liye meta tag code bana lenge. agar aap ko isme dikkat ho rahi hai to aap Meta Tag Code Generator ka use kar sakte hai. apne blog ke liye meta tag code banane ke liye. apko bas Meta tag code generator par click karna hai or aap uski website par pahunch jayenge.
Ab aapse jo bhi information maanga ja raha hai wo sab de dene ke baad apko Generate meta tag button par cick kar dena hai. aapka meta tag code uske thik niche ke box me mil jayega use copy kijiye or apne blog me add kijiye. umeed hai dosto apko humara yah article pasand aaya hoga. or jyada information paane ke liye aap humare blogspot category ke saare post padh lijiye.
Usme meta tag code ko kaha sumbit karna hai kaise karna hai wo sabhi tarah ki jaankari pahle se maujud hai. agar apko humra yah post pasand aaya to ise apne dosto ke sath social media par jarur share kare.
0 comments:
Post a Comment