Blogspot Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye Full Guide in Hindi

how to make seo friendly blogspot blog


How To Make Blogspot Blog SEO Friendly Full Guide in Hindi

Dosto jaisa ki hum sabhi jante hai ki blogspot google company ka hi ek product hai. yah aisa platform hai jahan log apna blog bana kar apna talent share karke duniya bhar ke logo ko kuch naya sikha rahe hai. dosto ab chuki blogspot google ka hi ek by product hai to aap ise kuch steps me hi puri tarah se seo friendly bana sakte hai.

Blogspot Blog Ki Har Post Me Adsense Ads Kaise Lagaye?

Dosto aapko apne blogspot par bane blog ko seo friendly banane ke liye niche bataye gaye sabhi steps ko ek ek karke follow karte jaana hai. agar apko kisi jagah par koi dikkat ho rahi hai to aap humse is post ke niche commets karke puchh sakte hai.
Dosto main apko yah nahi batane ja raha ki seo kitna jaruri hai kisi bhi website or blog ke liye. kyoki agar aap ek blogger hai to aapko yah pata hi hoga ki seo kya hai or iski kya importance hai kisi bhi blog or website ke liye. isi liye dosto jyada time na lagate huye hum sidha steps par aate hai. waise bhi yah post bahut lambi hone wali hai.

Ek Post me Dusri Post Ka Link (URL) Kaise Add Kare

( 1 ) Blog Design:
Dosto jab hum blogspot par blog bana lete hai to sabse pahle hume apne blog ke liye template yani theme ki jarurat padti hai. lekin kai baar dosto sahi theme select na karne ki wajah se ya fir theme ki achchi jaankari na hone ki wajah se hum apne blog ka template baar baar change karte hai. blogspot blog ko SEO friendly banane ki puri jankari

Blogspot Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Website

Aisa karna bilkul sahi nahi hai dosto kyoki blog ki template ko baar baar change karne se search engine me aapke blog par bura effect padta hai. isiki sabse badi wajah hai ki aapko template change karke ke baad seo se related sabhi settings fir se karni padti hai. isi liye aap apne blog ki theme soch samajh kar chune or ek baar theme upload kar dene ke baad use dubara change na kare.
( 2 ) Verify Blog To Search Engine:
Dosto blog bana lene ke baad apko apne blog ki url ko sabhi search engine me submit karke use verify kar lena chahiye. aisa karna jaruri hai kyoki tabhi search engine ko yah pata chal payega ki aapka blog maujud hai. aapko har tarah ke search engine me apne blog ko submit karna chahiye or aaj sabhi search engine yah offer karte hai wo bhi free.

Blog Se Paise/Rupaye Kaise Kamaye

Aap ise ignore na kare balki jaise hi aap apna blog bana le waise hi apne blog ko sabhi search engine me submit karke wahan verify kar le. agar aap kisi dusre blogger se bhi puchhenge to wah bhi aapko yah suggetion sabse pahle dega ki aap apne blog ko search engine me verify kare. kyoki search engine se hi apko organic traffic milega.
( 3 ) Meta Tags:
Jab aap apna blog bana le to uske baad aapko jo dusra sabse importent kaam karna hai. wo hai apne blog me apko meta tag add karna hai kyoki meta tags search engine ko aapke blog ke naam, description, language, country, keyword ke bare me sab kuch btata hai.
Meta tag search engine ko yah batata hai ki aapka blog kis tarah ke subject par bana hai. iske sath hi yah search engine ko yah bhi batata hai ki aapke blog par kis kis tarah ke post hai or kis kis tarah ke subject se related hai. Dosto agar aap apne blog ka theme baar baar change karte hai jaise ki upar humne bataya.

Youtube Videos Ko Blog Post Me Kaise Add (Embed) Kare

To aapko har baar apne blog ki theme change karne ke baad fir se meta tag add karna padta hai. kyoki blog ka template change karne par blog se meta tag bhi delete ho jaata hai. isi liye yah jaruri hai ki aap template baar baar change na kare. agar aapke blog se meta tag code hat jaata hai to search engine ko aapke blog ko samajhne or us tak pahunchne me problem hoti hai.
( 4 ) Post Meta Tag:
Post meta tag ka matlab yah hai dosto ki jab aap apne blog par post likhte ho to apke post me aise keywords hone chahiye jo yah bata sake ki aapka post kis subject par hai. post meta tag aapke blog ki post se lekar aapke blog post me maujud shabdo ke bich hona chahiye.

Apne Blog Post Content Ko Chori Hone Se Kaise Bachaye

aapko apne blog post ke title ko is tarah se rakhna chahiye jisme jyada se jyada keywords ho or jise search engine aasani se samajh sake. google search engine ne blogspot me ek feature or diya hai post ke sath 160 words me post ke bare me likhne ka. isme aapko post ke bare me ayse keyword likhne hai jo aapke post se related ho jisse apko jyada se jyada traffic hasil ho sake.
( 5 ) Sitemap:
Dosto jab aap upar ki chaar settings kar le to ab aata hai sitemap. sitemap humare blog ka summary hota hai. jisme humare blog ka url address ke sath humare blog post image content sab kuch ka link hota hai. SITEMAP ki wajah se search engine ko humare blog ka pura data sirf ek hi jagah par mil jaata hai.
sitemap ki wajah se humara blog search engine me achche se rank karne lagta hai. jiski wajah se humare blog par traffic badhti hai or iske sath hi humara income bhi increase hone lagta hai. Agar aap ne apne blog ke liye sitemap abhi tak nahi banaya hai to bana lijiye.

Top 5 SEO Optimized & Mobile Friendly Templates [Free] For Blogspot Blog

Waise sitemap banane ke liye paid or free dono tarike maujud hai lekin hum aapko free tarika aajmane ki salaah denge. iske liye aapko XMAL SITEMAP GENERATOR ki website par jaana hai. or apne blog ka url dekar sitemap bana lena hai or use submit kar dena hai.
Ek baar jab aap sitemap submit kar dete hai to aapko baar baar apne blog ya post ke liye sitemap banane ki jarurat nahi padti kyoki search engine use khud hi index kar leta hai.
( 6 ) Submit Sitemap:
Sitemap create karne ke bad bahut se blogger sochte hai ki ab sitemap ka kam free ho gaya. but important kam to sitemap create karne ke bad hota hai. sitemap ko sabhi search engine se submit karna. jisse search engine ko humare blog ke bare me or bhi jyada or jaldi pata chal sake. or hume search engine se or jyada traffic mil sake.
( 7 ) Post Content:
Dosto bahut se blogger apni post kam se kam shabdo me likhne ki koshish karte hai. wo bas adsense ki guidlines or sharto ko pura karne ke liye apni post 500 words se jyada me likhte hai. lekin dosto agar aapko apna blog high ranking me chahiye to apko apna post kam se kam 1000 se 1500 words ke sath likhna chahiye.

Blogspot Blog Ka Backup Data Download Kaise Kare

Iski wajah ye hai dosto ki jis time me aap apne blog par kisi subject par koi post likh rahe ho thik usi time par koi or bhi usi subject or topic par post likh raha hota hai. aise me search engine usi blog ke post ko top me show karta hai jisme content jyada ho yani jiski post lambi ho.
Lekin dosto ek baat ka khyaal rahe post lambi likhne ki wajah se ye na ho ki aap jo pa rahe hai wo likh rahe hai. humara kahne ka matlab yah hai ki aapka post lamba hone ke sath sath usi topic par bane rahna chahiye jis topic par aap post likh rahe hai. faltu ki udhar idhar ki baat na likhe.
( 8 ) Optimize Image:
Dosto jis tarah se hum apni post ko keywords ki madad se optimize kar lete hai thik usi tarah humare post par lagi pictures bhi search engine ke dwara optimize ki jaati hai. isi liye yah jaruri hai dosto ki aap apne har blog post me kam se kam ek image jarur add kare.
Lekin aapko dhyaan rakhna hai ki image ki size 100KB se jyada na hone paaye. kyoki usse jyada hone par image ko download hone me time lagta hai joki kisi bhi blog or website ke liye achcha nahi hai. isi liye jab bhi aap apne post me image add kare. usse pahle apko us image ki size ko compress kar lena hai.

Google Webmaster Tools Kaise Use Kare Full SEO Guide

Iske sath hi dosto apko aise image apne blog post me use karna hai jo puri tarah se free ho. copyright image ka bilkul bhi use na kare aisa karne se google apko copyright act ke tarah aapka google adsense account ko dismiss kar sakta hai.
( 9 ) Keyword Ranking:
Dosto apko har Post title or post content me jitne ho sake jyada se jyada aise keyword use kare jo sabse jyada search kiye jaate hai. aapki post me jitne jyada keyword honge aapki post ki search engine me utni hi achchi ranking hogi. keywords humare blog ke liye bahut hi faydemand rahe hai.
( 10 ) Share Your Post:
Dost jab aap apna post likh kar use publish kar de to aapko apne usi post ko apne sabhi social media account par bhi share karna hai. aisa karna jaruri hai dosto kyoki aaj social media duniya bhar me dusre rank par hai. isi liye yah jaruri haiki aapke blog ki post social media par share ki jaaye.

Blogspot Me Country Specific Redirect URL Ko Kaise Band Kare

Dosto blog post ko social media par share karne se na sirf naye log aapke blog se judte hai balki isse aapke blog par traffic bhi aati hai. jisse search engine me aapki ranking sudharti hai. isi liye yah jaruri hai har blogger ke liye ki wah apni har post ko social media par jarur share kare.
Note:
Dosto agar aap upar bataye sabhi steps ko sahi sahi kar lete hai to aapka blog 80% se 85% SEO friendly ban jayega. sabhi steps ko follow kare agar aapko kahi dikkat aati hai to aap niche comments karke humse puchh sakte hai. hume aapki madad karke behad khushi hogi.

Blogspot Blog Ka Login Email Address Kaise Change Kare

Dosto agar aapko humara yah article pasand aaya to aap humare is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kare. iske sath hi agar aap ne abhi tak humare blog ko subscribe nahi kiya hai to aap humare blog ko subscribe kar lijiye. taki isi tarah ki informational post aapko padhne ko milti rahe or aap har din kuch naya sikhte rahe.
blog ke liye seo kyo jaruri hai ? seo full guide in hindi. yaha hai apne blog ko complete seo friendly banane ki puri guide hindi me.

0 comments:

Post a Comment