how to make blogspot blog image seo friendly |
Hello dosto is post me hum yah janege ki hum apne blogspot post ke image ko seo friendly kaise bana sakte hai. lekin usse pahle sawaal ye hai ki post image ko seo friendly banane ki jarurat kyo hai. dekhiye dosto jab bhi koi user search engine me kuch search karta hai to search engine sabse pahle aapke blog ke post title ya text ko index nahi karta.
Blogspot Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Website
Search engine sabse aap ke post me jo image aap upload karte hai sabse pahle use index karta hai. uske baad wah baaki chijo ko index karta hai. isi liye dosto yah jaruri hai ki humare blog me jitne bhi image hai. wo sab ke sab seo friendly hone chahiye isse aapke blog ki rank bhi badhegi or aapke blog par traffic bhi badhega.
How To Make Blogger Image SEO Friendly
Dosto hum humesha kahte rahe hai ki aap sabhi apni har post me kam se kam ek image ka use jarur kare. iski do wajah hai pahli ye ki search engine aapke image ko index kar sakega or apki website or blog jaldi se show karegi whai dusri wajah ye hai ki blog post me image add karne se visitor ko aapke blog ke sabhi steps achhe se samajh aate hai.
Blog Se Paise/Rupaye Kaise Kamaye
Image ka use karne se aapki website or blog bhi khubsurat or aakarshait dikhte hai. jisse aapke blog par log baar baar aana pasand karte hai. isi liye yah jaruri hai ki aap apni har post me image ka use jarur kare. aab baat karte hai ki hum apni blog post me jo image lagate hai us image ko seo friendly kaise banaya ja sakta hai.
Blogger Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye?
Dosto blog post me image ko upload karne ke baad use seo friendly banane ke liye apko usme kuch settings karni padti hai. aage hum iske baar me details se bata rahe hai agar aapko fir bhi koi pareshani ho to aap comments karke puchh sakte hai.
Sabse pahle apne blog post me ek image upload kare. image upload karne ke liye image icon par click kare. jaisa ki niche picture me dikhaya gaya hai
Ek Post me Dusri Post Ka Link (URL) Kaise Add Kare
Uske baad apke samne ek naya interface open hoga jisme apko choose file par click karna hai. Choose file par click karte hi aapke saamne aapke computer ki folder open ho jayegi. ab aapka image jaha par bhi hai waha ja kar apne image ko select kijiye or open par click kijiye uske baad image add ho jaane ke baad apko image par click karke fir add selected par click karna hai. jaisa ki niche picture me dikhaya gaya hai
Aapke blog post me image aa jaane ke baad aapko apne image par click karna hai. image par click karte hi aapke samne kuch option ya yun kahe settings open hogi. sabse pahle aapko apne image ka naam badalna hoga.
Rename Image:
Jaise hi image upload ho jaaye apko sabse pahle apne image ka naam change karna hai. aisa karna jaruri hai. kyoki tabhi search engine yah samajh payega ki aapki image kis baare me hai. agar aap image ka naam change nahi karte hai to search engine ko aapki image ko samajhne me bahut time lag jaata hai. jiski wajah se image kabhi kabhi show bhi nahi hoti. waise is kaam ko aap baad me bhi kar sakte hai lekin pahle hi kar le to jyada achha hai.
Blogspot Blog Ki Har Post Me Adsense Ads Kaise Lagaye?
Aapko Properties par click karna hai jiske baad apke samne ek naya interface open ho jayega. ab aapko apne image ka title dena hai yani ki image ka naam uske baad apko apne image ke liye Alt text dena hai. iska matlab yah hai ki aapka image kis baare me hai uska detail aapko dena hai taki search engine samajh sake uske baad apko ok par click karna hai. jaisa ki niche picture me dikhaya gaya hai.
Add Caption:
Dosto is tarah se aapke image ki properties to dal gayi ab aapko apne image me caption bhi add karna hai. Dosto yah bhi bahut importent hai waise aap image ke caption ki jagah par uska pura paragraph hi likh sakte ho. isse seo par kisi tarah ka koi effect nahi padta. caption add karne ke liye Add Caption par click kijiye. uske baad apko jo bhi caption likhna hai aap likh sakte hai jaise ki upar ki baaki image me aap dekh sakte hai kis tarah se humne caption add kiya hua hai.
Blogspot Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye Full Guide in Hindi
File Size:
Dosto blog ki post me image ki size bhi bahut metter karti hai. waise image ki size ka seo se koi lena dena nahi hai lekin. chuki image ka size agar bada hoga to wah load hone me bhi time lega isse visitor ko dikkat ho sakti hai. isi liye koshish kijiye ki apke blog post me jitne bhi image hai un sab ki size 100KB ke andar hi rahe. lekin aap isse jyada ki bhi laga sakte hai apni jarurat ke hisaab se.
Image Format:
Dosto waise to seo ke liye image ka format bhi matter nahi karta lekin aapko agar apna post jaldi se jaldi download hote dekhna hai to humara sujhao hai ki aap apne sabhi post me jpg file ka hi use kare. agar aap gaur kare to humare blog par jitne bhi post hai un sabhi me jitni bhi image add hai. wo sab jpg file me hai.
Blogspot Blog Me Meta Tag Description Code Kaise Add Kare
Is tarah se dosto aap apne blogspot blog ki post me image ko insert kar sakte hai tatha use seo ke liye ready bhi kar sakte hai. umeed hai dosto apko yah article pasand aaya hoga, agar apko yah post pasand aaya to like kijiye subscribe kijiye or ha humare is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share kijiye.
0 comments:
Post a Comment