why to not show Alexa rank on Blogspot.com |
Namaskaar dosto aap me se bahut se aise log honge jinhone apne blogspot par pane blog ko alexa rank ki website par ja kar submit kiya hoga. jin logo ko yah nahi malum ki alexa rank kya hai to unhe hum yah bata de ki alexa rank ek aisi website hai. jo duniya bhar ki website ki ranking batata hai ki kaun si website kitne number par hai kaun top par hai or kaun sabse low par.
Blogspot Blog Me Error 404 Page Not Found Ko Custom Redirect Kaise Kare
Alexa rank ki madad se aap apne blog or website ki rank ko dekh sakte hai or fir usi ke mutabik aap apne blog post or content me sudhaar la kar apne blog or website ko jyada se jyada upar rank kara kar apne blog or website par traffic earn kar sakte ho.
Blogspot.com par alexa rank jaldi se show kyo nahi hota is sawaal ka jawaab har wah blogger janna chahta hai. jisne apne blog ko isme rank karwaya ho or unka blog hindi me ho. aisa is liye hota hai dosto kyoki jaisa ki hum sab jante hai ki blogspot ek free platform hai blogging ke liye.
Blogspot Blog Ko WordPress Par Transfer Karne Ke Baad Kya Kare Full Guide in Hindi
Iski wajah se yah hota hai ki jab bhi koi dusri country ka user apke blog ko open karta hai to apka blog us country ke domain level par open hoga. example ke liye agar apka blog hindi me hai or america me koi user apke blog ko open karta hai to america ka country level domain .us hai to apka blog .com ki jagah .us par open hoga.
Thik aisa hi india me bhi hoga jab koi indian user apka blog open karega to indian domain level chuki .in hai to apka blog .in domain ke sath open hoga na ki .com ke sath.
Blogspot Blog Ke Liye Free HTTPS Security Enable Kaise Kare
Country level domain se blog ke open hone se aapke blog par blogspot.com domain ki ranking increasing me 50% lose hoga or aapka blog blogspot.com par kabhi bhi high ranking me nahi aa sakega. Mai iski garante nahi deta but isme bahut jyada time lag sakta hai. Ye bilkul wesa hi hoga jaise aap sabhi logo ko apne sath le kar chal rahe ho.
Is problem ka do hi hal hai pahla ye ki aap apne blog me custom domain ka use karen. or dusra yah ki aap country level domain ko band kar de jisse apka blog sirf ek domain level par open ho sake, tabhi apka blog alexa ranking me show hoga. warna ise show hone me bahut jyada samay lag jaayega.
Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare
Off Country Level Domain:
Blogspot.com domain par alexa ranking me show hone ke liye yah jaruri hai ki aap isme country level domain ko off kar de iske liye apko kuch steps follow karna hai.
Sabse pahle apko niche diya code copy karna hai uske baad apko apne blog ke dashboard>theme>edit html par click karna hai.
<script type="text/javascript">var blog = document.location.href.toLowerCase();if (!blog.match(/\.blogspot\.com/)) {blog = blog.replace(/\.blogspot\..*?\//, ".blogspot.com/ncr/"); window.location.replace(blog);} // Source:</script>
Uske baad apko apne theme ke html code me kahi bhi click karke Ctrl+F press karke <head|> ko search karna hai. or copy kiye huye code ko uske niche paste karke save theme button par click kar dena hai.
Ab aap ek baar apna blog open karke dekh sakte hai ki yah sahi se kaam kar raha hai ki nahi. dosto ab koi bhi user kisi bhi country se agar apke blog ko open karta hai to apka blog top domain level yani blogspot.com me hi open hoga.
Advanced SEO Settings Enable Kaise Kare Blogspot Blog Me
Custom Domain:
Dusra or sabse best tarika yah hai dosto ki aap apne blog me custom domain ka use karen. ek custom domain apko aaram se 500 rupaye se lekar 700 rupaye tak ke andar me saal bhar ke liye mil jaata hai. joki ghaate ka sauda nahi hai kyoki custom domain ka use karne se apke blog ki ranking me sudhaar hone ke sath sath apke blog par traffic bhi bahut jyada aane lagta hai.
Dosto agar apko yah janna hai ki apne blogspot.com par bane blog par custom domain kaise add kare to aap humara yah article padh sakte hai. Blogger में Custom Domain Name कैसे add करें
Dosto iske bawajud agar aap chahte hai ki aapki website or blog alexa me jald se jald rank kare to iske liye apko original or unique content apne blog par share karna chahiye. kyoki aisa karke hi aap apne blog par user ko la sakte hai agar aap aise content share karenge jo pahle se hi internet par maujud hai to apki ranking bahut dhire dhire aage badhegi.
Umeed hai dosto apko humara yah article pasand aaya hoga or aapke liye yah kaafi helpfull bhi raha hoga. isi tarah ki informational post padhne ke liye humare blog ko subscribe kijiye taki har nayi post ki notification apko milti rahe. iske sath hi dosto humare is post ko apne dosto ke sath social media par jarur share karen.
0 comments:
Post a Comment