how to add AdSense ads BlogSpot blog every post |
Dosto jaisa ki hum sabhi jante hai ki blogspot google company ka ek free platform hai. lekin dosto 2016 me jab se google company blogspot par bane blogs ko bhi adsense se rupaye kamane ka elaan kiya hai .tab se log blogspot par bane apne blog ko adsense se approval lene me lage hai. blogger ki har post me adsense ke ads kaise lagate hai.
Ek Post me Dusri Post Ka Link (URL) Kaise Add Kare
Jin logo ko adsense ka approval mil gaya hai unke liye ab dusri sabse badi baadha ye hai ki, unhe adsense ke code har baar copy karke apne har post me add karna hota hai. jiski wajah se kaafi time waist hota hai or mehnat bhi lagti hai. lekin dosto aaj hum aapko aisa trick batane ja rahe hai.
Jiski madad se aap apne blogspot blog ke sabhi post me adsense ke ads ek sath laga sakte hai. aapko baar baar adsense ke code copy paste karne ki jarurat nahi padegi. lekin dosto iski kuch limitation bhi hai wah yah ki humare is trick se aapke blog ke sirf upar hi ads show honge wo bhi har post me.
Blogspot Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Website
Lekin agar aap adsense ke or bhi ads lagana chahte hai to aap dashboard me ja kar layout par click kijiye or fir agar aap right sidebar me adsense ad lagana chahte hai to add widget par click kijiye uske baad apko custom html choose karna hai or fir ek interface open hoga usme adsense ad code ko paste kar dijiye or fir save par click kar dijiye.
Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ads Kaise Lagaaye
Sabse pahle dosto apko apne blog me login hona hoga. uske baad apko apne blog ke dashboard me jaana hai. fir waha se drop down menu me theme option par click karna hai fir uske baad apko Edit HTML par click karna hai. aisa karte hi aapka blog html code ke roop me open ho jayega.
Blog Se Paise/Rupaye Kaise Kamaye
Ab aapko apne adsense account me login ho jaana hai. uske baad apko niche diye code ko copy karna hai. fir uske baad apne blog ke html code box me kahi par bhi click kijiye or fir Ctrl+F press kar dijiye. ab ak search box open hoga usme aapko <data:post.body/> is code ko search karna hai.
jaise hi apko blog ke html code box me <data:post.body/> ye code mil jaye apko niche diya code copy karna hai.
<b:if cond='data:blog.pageType == "item"'><div align="center">
AAPKO APNA ADSENSE CODE YAHAN PASTE KARNA HAI</div></b:if>
Dosto ab aapko copy kiye code ko <data:post.body/> is code ke thik uper paste kar dena hai. Aisa karte waqt aapko ek baat ka dhyaan rakhna hai ki blogger me <data:post.body/> ye code kai jagho par ho sakte hai lekin apko upar copy kiye code ko pahle or dusre ke bich me paste karna hai.
Youtube Videos Ko Blog Post Me Kaise Add (Embed) Kare
code add kar lene ke baad apko save theme par click karke theme ko save kar lena hai. Dosto is tarah se aap apne blogspot blog ke har ek post page article par ads show kar sakte hai.
Umeed hai dosto ki aapko yah jaankari pasand aayi hogi or yah aapke liye helpful bhi rahi hogi. aapko agar yah article pasand aaya to ise apne dosto ke sath social media par jarur share kare. iske sath hi agar aap ne abhi tak humare blog ko subscribe nahi kiya hai to please subscribe kar le.
0 comments:
Post a Comment